jihaad ke naam par

by Pooja on December 28, 2008, 02:07:01 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 5051 times)
Pooja
Guest
Yah kavita ek Yoindia member ne likhi hai, pata nahi kyun wo khud isse post nahi kar pa raha/rahi.

So main yah uske liye post kar rahi hu:



Sochta hoon un hadso ke baare mein to neend mein chilla uthte hai sapne,
Marne waali mein kahi na kahi koi na koi the hamare apne,

Kyu samjhte nahi log ke maarne waalo ka koi dharm koi imaan nahi hota,
Agar hota unka koi khuda to unke haatho mein maut ka saaman nahi hota,

Yeh aise log hai jo paak-e-quaran ko chhod napaak insaan ki sunte hai,
Aur jihaad ki naam par namaz ko chhod hathyaar ko chunte hai...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAP KE NAAM ........................... by fakharenaveed in Ghazals « 1 2 ... 23 24 »
naam by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
NAAM by gum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
jihaad (gul) by gulzargul in Shairi - E - Zindagi
JIHAAD KA MATLAB.......masoom by Masoom Shahzada in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: December 28, 2008, 02:10:46 AM »
Pooja,

Jis member ne bhi yeh rachna likhi hai

usko meri taraf se salaam  notworthy
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 28, 2008, 02:12:37 AM »
Pooja,

Jis member ne bhi yeh rachna likhi hai

usko meri taraf se salaam  notworthy


veer ji I am sure he/she can read here all comments for his/her creation!!

Mujhe bhi yah kavita behad pasand aai hai.. simple shabdo main bahoot gahra aor ach amsg dene ki koshish ki hai. Good work dear!!!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #3 on: December 28, 2008, 02:24:43 AM »
Bahoot khoob Likha hai
Har labz me sachhayi hai
Jisne bhi likha hai Bahoot hi Sahi Likha hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: December 28, 2008, 02:26:51 AM »
us insaan ki taraf se bahoot bahoot shukaria Raj ji and Pank ji!!
Logged
Deepati
Guest
«Reply #5 on: December 28, 2008, 02:35:25 AM »
Sach mein jisne bhi likha hai, bahut hii khoob likha hai...

 Applause Applause  Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: December 28, 2008, 03:21:15 AM »
gar jihaadi yo ke dil mein khuda hota ,
toh haatho mein hathiyar na hota.
gar yeh padhthe koran,
toh maar the nahin insaan.


poojaji jis ne bhi likha hain  bahut hi achaa likha hain.....

likh ne wallo ke naam se kya hota hain,
jo bhi likha hain uske kaam se hota hain.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: December 28, 2008, 03:28:08 AM »
agree with cara and Deepati..

bahoot achi lines likhi hai apne cara ji
Logged
sunilmsn
Guest
«Reply #8 on: December 28, 2008, 05:35:07 AM »
wah wah kaya khub likha hai Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: December 28, 2008, 06:31:51 AM »
likhne wale ki taraf se bahoot bahoot shukaria sunil ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: December 28, 2008, 07:12:49 AM »
Kuch kehte hue sharam aati hain to kehta q hain
Quran aur namaz ki batein karne wala parde me rehta q hain
Kahi tujhe is baat pe afsos to nahi ke tu musalman hain
Hame din-o-duniya ki batein gairo se sunata q hain

                                    -Yeh maine likha hain-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: December 28, 2008, 07:18:29 AM »
Bahoot acha likha hai SG ji,

shayad jis ne mujhse likhwaya uske liye main gair nahi hu..

baki her kisi ki apni nature hoti hai aor reason bhi.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: December 28, 2008, 07:32:17 AM »
Kuch kehte hue sharam aati hain to kehta q hain
Quran aur namaz ki batein karne wala parde me rehta q hain
Kahi tujhe is baat pe afsos to nahi ke tu musalman hain
Hame din-o-duniya ki batein gairo se sunata q hain

                                    -Yeh maine likha hain-


hhmm... I agree to first two lines Sajid Ji..

Ki.. Kuch kehte hue sharam aati hai to kehta q hai,
Quran aur namaaz ki baatein karne waala parde mein rehta q hai.. ??

Bahoot acha likha hai SG ji,

shayad jis ne mujhse likhwaya uske liye main gair nahi hu..

baki her kisi ki apni nature hoti hai aor reason bhi.

Ab apno se aisi bhi kya majboori (reason), kya humse aisi pardedaari (nature),
Maana ki humein gair maanta hai woh shaksh, lekin sare-aam jataata q hai.. ??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: December 28, 2008, 07:38:15 AM »
wow maine socha bhi nahi tha yah post karne se pahle ki itni choti si baat koi is tarah bantgar banaya jayega.

kisi ke vicharo ko is tarah quraan aor namaj ke shabdo ko uchal kar sharminda kiya jayega.

meri request yomembers se ki wo is insaan ki likhi achi bhawna ko parre... na ki kuch shabdo ka sahara laker baat ka bantgar banaye.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: December 28, 2008, 07:43:51 AM »
pooja tumhara kam tha sirf is rachna ko post karna so tumne kar diya ab yaha jo bhi likha ja raha hain uska reply dene ka adhikar sirf rachna ke writer ko hain tumko nahi.

and dont use batangar watangar type of word.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:43:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer