jihaad ke naam par

by Pooja on December 28, 2008, 02:07:01 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Author  (Read 5000 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: December 28, 2008, 07:47:20 AM »
hhmm... I agree to first two lines Sajid Ji..

Ki.. Kuch kehte hue sharam aati hai to kehta q hai,
Quran aur namaaz ki baatein karne waala parde mein rehta q hai.. ??

Ab apno se aisi bhi kya majboori (reason), kya humse aisi pardedaari (nature),
Maana ki humein gair maanta hai woh shaksh, lekin sare-aam jataata q hai.. ??


pooja tumhara kam tha sirf is rachna ko post karna so tumne kar diya ab yaha jo bhi likha ja raha hain uska reply dene ka adhikar sirf rachna ke writer ko hain tumko nahi.

and dont use batangar watangar type of word.

let's discuss in PM,

Maine yah post shuru ki hai, so main apni jimmedari samjhati hu agar yaha per koi bhi negtive comments atte hai. comments kavita ke liye ho ya us insaan ke liye, jis per trust kar ke maine uski jagah post ki hai.

kisi ko kuch kahna hai, PM me. Do Not spoil this thread!!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAP KE NAAM ........................... by fakharenaveed in Ghazals « 1 2 ... 23 24 »
naam by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
NAAM by gum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
jihaad (gul) by gulzargul in Shairi - E - Zindagi
JIHAAD KA MATLAB.......masoom by Masoom Shahzada in Shayri-E-Dard
baadal102
Guest
«Reply #16 on: December 28, 2008, 08:02:01 AM »
 Applause Applause Applause Applause
bahut hi khoob bahut hi sachai ko likha hai. in bahut kam sabdo mai har baat ko samjhaya gaya hai.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #17 on: December 28, 2008, 10:29:07 AM »
Yah kavita ek Yoindia member ne likhi hai, pata nahi kyun wo khud isse post nahi kar pa raha/rahi.

So main yah uske liye post kar rahi hu:



Sochta hoon un hadso ke baare mein to neend mein chilla uthte hai sapne,
Marne waali mein kahi na kahi koi na koi the hamare apne,

Kyu samjhte nahi log ke maarne waalo ka koi dharm koi imaan nahi hota,
Agar hota unka koi khuda to unke haatho mein maut ka saaman nahi hota,

Yeh aise log hai jo paak-e-quaran ko chhod napaak insaan ki sunte hai,
Aur jihaad ki naam par namaz ko chhod hathyaar ko chunte hai...



Pooja Ji Subse Pahale to Main aapka Shukriya Ada Karna chahunga Ki aapne Yeh Kalaam hum Sab ke saamne la kar rakha... Aur Jisne Bhi yeh Likha Hai.. Aaj Ke haalaat ko dekhte Hue Likha Hai.. suchaai se Bhare Lafz Hain, Jazzbaat Hain.. Lajawab Alfaaz Hain..!!

Maarne Walon Ka Koi Dharam, Koi Imaan nahi Hota yeh Line Waqai Bahut Acchi lagi..!! Applause  Applause

Yeh Kalaam Likhne wale ko Tahe Din Se Mann Ki Taraf se WAH WAH WAH.!! icon_salut icon_salut Bahut Bahut Khoooob..!!Daad kubool karen..! Thumbs UP

**~** Mann **~**
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #18 on: December 28, 2008, 12:13:29 PM »
Yah kavita ek Yoindia member ne likhi hai, pata nahi kyun wo khud isse post nahi kar pa raha/rahi.

So main yah uske liye post kar rahi hu:



Sochta hoon un hadso ke baare mein to neend mein chilla uthte hai sapne,
Marne waali mein kahi na kahi koi na koi the hamare apne,

Kyu samjhte nahi log ke maarne waalo ka koi dharm koi imaan nahi hota,
Agar hota unka koi khuda to unke haatho mein maut ka saaman nahi hota,

Yeh aise log hai jo paak-e-quaran ko chhod napaak insaan ki sunte hai,
Aur jihaad ki naam par namaz ko chhod hathyaar ko chunte hai...



bahut badiya kavita likha hai hamari yoindian member ne.
unhone khud yahan post nahi ki koyi baat nahi. but aapne
is behtareen rachna ko yahan share kiya... bahut accha
kiya didi...

Jinhone likha/likhi yeh kavita... unko mere taraf se b salaam.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: December 28, 2008, 01:07:31 PM »
Dosto!
Shayar ney jo kahaa hai galt naheen hai! Alfaaz par naheen unmein chhupey ma'anii par nuktahcheenee ki jaanee chaahiye!
Mein koyee khaas jaankaar hoon, yah to naheen kahtaa, par, Quraan Pak key tarjumeyn meiney bhi padhhey hain! Beygunaahoun key qatl-o-khoon ko kaheen bhi sahee naheen thhahraayaa gayaa hai! Namaaz insaan ki bhalaayi key liye padhhi jaati hai, tabaahii key liye naheen! Insaaf ki paabandagee sikhaatee hai quraan! Dahshatgardee sey us kaa koyi ta'alluq naheen hai! Dahshatgard kisee mazhab key paaband naheen hotey! Unhain bargalaa kar kuchh log apnaa ulloo sheedhaa kar rahey hain, isey samajhney ki zaroorat hai! Aisey logoun ki pahichaan ki jaanee chaahiye, aur unhain karhaa dand diyaa jaanaa chaahiye! Aisey log insaaniyat mein phail rahey cancer ki tarah hain, jis kaa jald sey jald ilaaj kiyaa jaanaa chaahiye!
Poet key tasawwur ko samajhnaa chaahiye! Adab key lafzoun ki rooh ko padhhnaa chaahiye, unkee shaql-o-soorat ko naheen, aisa meyraa khayaal hai!
                   - abd bundeli
                                     
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #20 on: December 28, 2008, 05:13:35 PM »
 Applause Applause Applause

wonderfull creation ... Thumbs UP
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #21 on: December 29, 2008, 12:09:24 AM »
Yah kavita ek Yoindia member ne likhi hai, pata nahi kyun wo khud isse post nahi kar pa raha/rahi.

So main yah uske liye post kar rahi hu:



Sochta hoon un hadso ke baare mein to neend mein chilla uthte hai sapne,
Marne waali mein kahi na kahi koi na koi the hamare apne,

Kyu samjhte nahi log ke maarne waalo ka koi dharm koi imaan nahi hota,
Agar hota unka koi khuda to unke haatho mein maut ka saaman nahi hota,

Yeh aise log hai jo paak-e-quaran ko chhod napaak insaan ki sunte hai,
Aur jihaad ki naam par namaz ko chhod hathyaar ko chunte hai...


Jo kuch bhi likha hai sachchai hi hai
Logon ko dharam ke naam par dannga nahi karni chahaiye

Nice post Pooja Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: December 29, 2008, 01:43:07 AM »
Applause Applause Applause Applause
bahut hi khoob bahut hi sachai ko likha hai. in bahut kam sabdo mai har baat ko samjhaya gaya hai.

bahoot bahoot shukaria Baadal ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: December 29, 2008, 01:43:57 AM »
Pooja Ji Subse Pahale to Main aapka Shukriya Ada Karna chahunga Ki aapne Yeh Kalaam hum Sab ke saamne la kar rakha... Aur Jisne Bhi yeh Likha Hai.. Aaj Ke haalaat ko dekhte Hue Likha Hai.. suchaai se Bhare Lafz Hain, Jazzbaat Hain.. Lajawab Alfaaz Hain..!!

Maarne Walon Ka Koi Dharam, Koi Imaan nahi Hota yeh Line Waqai Bahut Acchi lagi..!! Applause  Applause

Yeh Kalaam Likhne wale ko Tahe Din Se Mann Ki Taraf se WAH WAH WAH.!! icon_salut icon_salut Bahut Bahut Khoooob..!!Daad kubool karen..! Thumbs UP

**~** Mann **~**

shukaria Mann ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: December 29, 2008, 01:44:58 AM »
bahut badiya kavita likha hai hamari yoindian member ne.
unhone khud yahan post nahi ki koyi baat nahi. but aapne
is behtareen rachna ko yahan share kiya... bahut accha
kiya didi...

Jinhone likha/likhi yeh kavita... unko mere taraf se b salaam.

Thanks Sonia ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: December 29, 2008, 01:45:44 AM »
Dosto!
Shayar ney jo kahaa hai galt naheen hai! Alfaaz par naheen unmein chhupey ma'anii par nuktahcheenee ki jaanee chaahiye!
Mein koyee khaas jaankaar hoon, yah to naheen kahtaa, par, Quraan Pak key tarjumeyn meiney bhi padhhey hain! Beygunaahoun key qatl-o-khoon ko kaheen bhi sahee naheen thhahraayaa gayaa hai! Namaaz insaan ki bhalaayi key liye padhhi jaati hai, tabaahii key liye naheen! Insaaf ki paabandagee sikhaatee hai quraan! Dahshatgardee sey us kaa koyi ta'alluq naheen hai! Dahshatgard kisee mazhab key paaband naheen hotey! Unhain bargalaa kar kuchh log apnaa ulloo sheedhaa kar rahey hain, isey samajhney ki zaroorat hai! Aisey logoun ki pahichaan ki jaanee chaahiye, aur unhain karhaa dand diyaa jaanaa chaahiye! Aisey log insaaniyat mein phail rahey cancer ki tarah hain, jis kaa jald sey jald ilaaj kiyaa jaanaa chaahiye!
Poet key tasawwur ko samajhnaa chaahiye! Adab key lafzoun ki rooh ko padhhnaa chaahiye, unkee shaql-o-soorat ko naheen, aisa meyraa khayaal hai!
                   - abd bundeli
                                     


bahoot he sahi likh hai apne Abd ji...bahoot bahoot shukaria!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: December 29, 2008, 01:46:17 AM »
Applause Applause Applause

wonderfull creation ... Thumbs UP


thanks Honey!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: December 29, 2008, 01:46:56 AM »
Jo kuch bhi likha hai sachchai hi hai
Logon ko dharam ke naam par dannga nahi karni chahaiye

Nice post Pooja Ji

Rajesh ji yah post meri likhi hui nahi hai. magar jis ne bhi likhi hai, bahoot achi likhi hai..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #28 on: December 29, 2008, 04:37:59 AM »
bahoot he sahi likh hai apne Abd ji...bahoot bahoot shukaria!!
You're welcome!
I'm happy you have posted the poem! Such creations must be promoted, so that a wide Consensus against the misuse and misrepresentation/misinterpretation of scriptures could be checked, at least to some extent!
                                 - abd bundeli

 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: December 29, 2008, 07:32:31 PM »
Waah Jisne Bhi Likha Hai Bohat Hi Achcha Likha Hai,.
Magar Mere Doston Quraan Aur Islaam Se Dehshatgard Ki Pehchaan Nahi Hai,.

Ye Shayari Jisne Likhi Hai Uski Main Kadar Karta Hoon,.
Magar Islaam Ka Naam Hai Aman,.
Islaam Means Peace,.

Aur Jo Aman Ka Raasta Chord De Wo Us Manzil Ka Musaafir Nahi,.
Hamaare Nabi-e-Kareem{SAWS} Ne Kabhi Talwaar Ke Bal Par Islaam Nahi Phailaaya Na Hi Kisi Muslim Baadshaa Ne,.
Islaam Phailaa Hai Pyaar Aur Mohabbat Se,.

Main Nahi Maanta Ke Aataank Wo Islaam se Jordaa Jaaye,.
Islaam Ko Badnaam Karne Ki Ye Saazish Hai,.
Aur Ye Log Islaam Ko Badnaam Kar rahe Hain,.

Inhe aap Islaam se Na Jordein,.
Please,.

Kyunki Hamara Mazhab Wafaadaari Ka sabak Seekhaata Hai,.
Aur Jo Ye Nahi Karte Wo Musalmaan Nahi,.
Jinhone Quraan Aur Namaaz Par Amal Kiya Hai, Aap Unki Tarah Nazar Daalkar dekhiye,.

Khwaja Gareebun Nawaaz,.
Baba Haji Ali,.
Aur Bohat Se Hain, Allah Ke Bande,.
Inhone Quraan Par Amal Kiya Aur Ye Mohabbat Ki Aaj Bhi Missal Dete Hain,.
Non Muslims Bhi Inki Mazaaron Par Maatha Taik Te Hain,.
ye hai Asli Islaam,.
Jo Quraan Aur Namaaz Pardhte Hain Wo Kabhi Kisi Ki Jaan Nahi Lete,.

Quraan Mein Ek Suraah {Chapter} Hai,.
Jiska Naam Nahal Hai,.
Jisme Allah Ne Chinti Ka Zikar Kiya Hai,.
Hamaare Islaam Kisi Maasoom Cheez Ko Noksaan Pahoonchaane Ki Ijaazat Nahi Deta,.

Jo Ispar Nahi Chalte Wo Musalmaan Nahi..

Bas Itna Hi Kahoonga Main,.
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:37:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer