Kanto se mile phool

by liza on October 20, 2009, 04:25:10 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1817 times)
liza
Guest
Meri raaho mein ye kaisi raah aa gayi,
zindagi ki kyun ghar se churaho par aa gayi.
kya zindagi mujhe meri manzil par le zaayegi,
ya yuhi ruswa kar jaayegi.
Man mein ek ubaal hai,
kya zindagi sach mein ek swaal hai.

Sapne sajaye yuhi in raaho mein chal rahi hoon,
man mein hai sapno ko paaoongi ya ya har khushi se ruswa ho jaaoongi.
Man mein ek josh bara hai,
har manzil mein ek khwaab saza hai.

Kabi doop mein milo chalna,
kabi bistar ke bina sofe par sona.
kabi subway or kabi logo ke ghar kaam karna,
kabi raaton ko akele sone se darna.

ye sab koshishe mujhe ek sookoon deti hai,
har pal maaa baap ke liye kush karne ka ehsaas deti hai,
ek aisi khusi jo mujhe apni fees khud dekar milegi,
wo maa baap ke paiso se kabi nahi milegi.

Ei khuda mujhe meri raahe dikhate rehna,
har ek burai se door rakhte rehna.
ye kalam ek fariyaad karti hai,
har saans mein maa- baap ke liye dua karti hai.
Zindagi kam par zaayegi unka ehsaan chukate hue,
ye aanoo dabe rahenge unhe ek muskraahat dete hue.

Na mein kavitri hoon,na mujhe kavita likhni aati hai,
par na jaane ye syaahi kaise sab kush keh jaati hai.
ehsaaso ko kabhi mujhe jatana nahi aaya,
gamo ko kabi dikhana nahi aaya.
shayad yahin dokha kha gayi ye zindagi,
ise apna hak bi zatana nahi aaya.

mun mein itne ehsaas hain,aaj kalam rokne ka man nahi kar raha,
Baarish ki boondo ki boshaar hai,fir bi beegne ka man nahi kar raha.
kahan gaye wo din jab is mausam mein itna goomti thi,
saheliyon ke sang zoomti thi.

kyun ye mausam muje mere watan ki yaad dila raha hai,
kyu ye baadal beete dino ki maala piro raha hai.
kyu ye passport har kisi ko mazboori mein baand deta hai,
kyu sarhad par desh ka batwaara ho jata hai.
kyu pardes mein aakar desh jaane ke raaste band ho jaate hai,
kyu har koi apne maa baap se door ho jata hai.
kyu har kisi ko apna barso purana aashiyana shorna par jaata hai,
kyu is anderi raat mein main akeli ro rahi hoon,
kyu koi mujhe chup karane nahi aata.

Is anderi raat mein muje kavita likhne ka koi shonk nahi hai,
kyunki muje pata hai mere aansoo o ka koi mol nahi hai..........





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KANTO KE BADLE by yoindiaking in SMS , mobile & JOKES
Kanto ki kahani by popat in Shayri for Khumar -e- Ishq
mara aur kanto ka rista by FArah in Shayri for Khumar -e- Ishq
mara aur kanto ka rista by FArah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Rose day : Phool nahi mile.. by RAJ SOLANKI in Occassion Specific Poetry
Sammual
Guest
«Reply #1 on: October 20, 2009, 04:33:33 AM »
Nice One Liza Ji.Likhte Rahiye.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: October 20, 2009, 07:00:19 AM »
Bahut bahut khoob Liza ji,i am touched,God bless you,dear.marvelous creation.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
fakhar sheikh
Guest
«Reply #3 on: October 20, 2009, 09:35:30 AM »
mashallah nice poet hain yar sab ki good
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: October 26, 2009, 08:38:42 AM »
nice and excellent poet liza ji ApplauseApplauseApplause
Logged
reyan KHAN
Guest
«Reply #5 on: October 26, 2009, 09:21:02 AM »
 icon_flower Applause very good, LIZA
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: October 27, 2009, 11:11:56 AM »
Bohat Achche LIzi Ji,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: October 28, 2009, 03:09:16 AM »
Quote

kyun ye mausam muje mere watan ki yaad dila raha hai,
kyu ye baadal beete dino ki maala piro raha hai.
kyu ye passport har kisi ko mazboori mein baand deta hai,
kyu sarhad par desh ka batwaara ho jata hai.
kyu pardes mein aakar desh jaane ke raaste band ho jaate hai,
kyu har koi apne maa baap se door ho jata hai.
kyu har kisi ko apna barso purana aashiyana shorna par jaata hai,
kyu is anderi raat mein main akeli ro rahi hoon,
kyu koi mujhe chup karane nahi aata.

 Applause Applause Applause

Bahut accha laga aapka kavita padkar. Yoindia mein aapka swagat hai. Yu hi likhte rehna
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: November 20, 2009, 11:31:11 AM »
Bahut hi achha likha hai Liza Ji. Man jhakjhor diya. Yun hi likhna aur share karna jari rakhiye. Almighty bless you.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:47:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer