Kavita.....

by mrigank on September 25, 2012, 03:16:27 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2005 times)
mrigank
Guest

jo kagazoon pe kabhi lahu sa hua karti thi...
ashq se jiskke har alfaaz saje hote the
wo kavita AC k band kamre ka saamaan ho gai hai
mir-o- ghalib ki duniya kitni viran ho gai hai

(sahitya samaj ka darpan hota hai par isme raja maharaja ki kahaniya hi milti hai )

Shabd jo  Faiz ke misre the Niraj ki rubaiya thi
kataao me chipe Jalib k inqalaab ki kahaniya thi
Aaj mehfilon me jinko garv se padha jata hai
har misre me khud ka parilok gadha jata hai
jisko log sahitya ka paryaay kehte hai
khud ko dinkar ka swaghoshit agla adhyay kehte hai
unke is kharid farokht me kavita kahi kho gai hai
ek majboor behen si har kisi k sath so gai hai
Kavita to ab mauj masti ka samaan ho gai hai
mir-o-ghalib ki duniya kitni viran ho gai hai

Kavita jo kabhi jigar thi, majrooh thi, firaq thi,
mazloome me nazir akbarabaadi to mashukon me mazaz thi
kavita jo cheen k liye dinkar ban k aai
jayprakash k vifal jivan ka parcham ban k lahrai
Kavita jo "nepali" k samyawaad ki sathi thi
Neeraj k karvaan k gubaro se ghabrati thi
Kavita shayad kahi humari aapa dhapi me
apne astitva se gumnaam ho gai hai
mir-o-ghalib ki duniya kitni viran ho gai hai

Kavita kamre me kam sadko pe jyada likhi jati hai
vyakaran se jyada bhavnaao k liye padhi jati hai
Kavita kahai tathakathit buddhijiviyon ka
samaan na ho jae
hum khud ko kavita se sajae to kahi
kavita ka apmaan na ho jae

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kavita by swati_teena in Shayri for Khumar -e- Ishq
kavita by risky in Love Poetry in Punjabi
KAVITA CHITAR by K Lakhian in Miscellaneous Poetry in Punjabi
kavita by panchi1983 in English
Kavita..... #2 by mrigank in Shairy-E-Watan
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: September 25, 2012, 03:43:03 PM »
Sundar kavita ! teekha  vyangya !!
katu  satya !!! sahi alochna !!!!
Bahut bahut badhaai ! 
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: September 25, 2012, 04:17:43 PM »
Bahut badhiya..outstanding creation
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 26, 2012, 12:17:39 AM »
bahut badhiya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 26, 2012, 04:17:06 AM »
bahut sunder
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:43:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer