|||||||||||||| Ke taras gaye watan ke waste ||||||||||||||||

by Tosha on February 15, 2006, 12:23:07 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3281 times)
Tosha
Guest
wo wadiya to machalta sama
saundhi saundhi mitti ke kushboo
chilmilati duph, sansanati hawa
desh se aapna juda hai vajood

tange, rikshe aur chamchamati car
wo bole pradusahn hum bole bahar
unhi tang sadrko pe hut thi aakhe char
chahe un gaddho ko kabhi na bhare sarkar

makke de roti sarso ka saag
khatta khatta aam ka achar
dhero dher maa ka pyaar
watan ke waste hum taras gaye yaar

collage ke masti, karna bunk class
gusse main larko pe phek ke maarna phullo ka vase
pal pal daat khana phir bhi na aan baazs
aapne watan ke baat hi hai kuch kha

....

bas yaad aarahi hai har guzare pal ke
yaad aarahi hai har us lamhe ke
aazad panchi he tarha guzare the
lambe lambe sapno ke udrane bhari thi jab

bas yaad aarahi hai ki baith ke socha karte the
kya rakha hai aapne is desh main
ke nazar uthao jaha nazar ghumao kudra nazar aata hai
ussi mausam ka ek hissa the hum yeh  aaj samajh main aata hai

bas yaad aarahi hai ki taras gaye watan ke waste hum
ke uss gand ke bhi sugandh mujhe aarahi hai
dekh lin das do pal aapni zami aab
meri ruh mere watan ke waste pyasi phadphada rahi hai
......... incomplete.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Denge Jaan Watan Ke Waste by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan « 1 2 3  All »
tARAS KHAKE PEE GAYE............ by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq
Taras gaye apke deedar ko... by Riyaan Ali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Taras gaye hain by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Har Lamha taras gaye by Iftakhar Ahmad in Miscellaneous Shayri
urs4evasomdev
Guest
«Reply #1 on: February 15, 2006, 01:10:57 PM »
wow bauhat acha likha
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: February 15, 2006, 01:44:30 PM »
thanx somedev's _______________

aab aage aur bhi likh diya hai.!!
Logged
D K
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2006, 11:06:05 PM »
awesome....

sad5

bas yaad aa rahi hain wo baatein...
wo doston se saath baat karke guzaari raatein...
jaane kahan chale gaye wo din...
roz hoti thi jab sabse mulakatein.

bas yaad aa rahe hain wo raaste...
jin  galiyon mein hum khushi se the naachte,
kya kya yaad kar ke ghamgeen hon...
ke ab taras gaye hum watan ke waaste.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: February 18, 2006, 06:26:25 PM »
Thanx D J ya!!

maaf karna .... waten ko yaad karte karte aap se takra gaye
aaj hum manzil ke ore kadam bade aur ek maye rahi se takra gaye
Logged
D K
Guest
«Reply #5 on: February 19, 2006, 07:58:44 PM »
raahi to zindagi ke har kadam pe mil jaate hain...
dheere dheere karke qaafile bante jaate hain,

ek hum hi nahi jo des ko karte hain yaad,
aur bhi apne jaise kayi dost mil jaate hain.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #6 on: March 08, 2006, 04:22:52 PM »
good... DK
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #7 on: March 08, 2006, 04:37:28 PM »
Mujh ko mere des se ik pyaar ki dor rhi hai band
yhi kehta hai dil mera "Mere des mein nikla hoga chand"


nice post Tosha !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: March 23, 2006, 08:33:34 PM »
Jo mauj mere desh main hai
wo in uchi imarato wale desho main kaha
jo sondhi khushboo aapni mitti main hai
wo kushboo yaha ke chikni sadko main kaha

wo mamta ka aachal, wo zhadte pyaar ke bauchar
kahi nahi hai aapna pan jo mere desh main hai
riyasat mere watan ke, mere watan ka ithas
jo kohinoor yaha hai duniya main kahi nahi hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: March 25, 2006, 10:21:49 PM »
superbbbb ...awesum Tosha sis.....really its been pleasure to read ur post...beautifulllllll
Logged
Tosha
Guest
«Reply #10 on: March 25, 2006, 10:51:03 PM »
Thanx Nikki ... its a pleasure to have you here.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 26, 2006, 09:27:10 AM »
Hindustaan Sone Ki Chidia Hai,..
Aur Sabne Ise Loota Hai,.
Phir Bhi Hamara Desh Aise Kayi Khazaane Lootane Tayyar hai,.
Aman Aur Pyaar Ke Waste, Aisa Desh Hai Mera,..
Logged
Tosha
Guest
«Reply #12 on: March 26, 2006, 03:03:09 PM »
Bahut acche Jaan JI

lootne wale Sona chandi loot ke le gaye
Nahi chura sake sona jo hamaro dharti dafan hai
Khud ko bana ke chand dino ka sartaj wo chale gaye
nahi mita sake wo josh aur kabliyet jo hamari rago main shamil hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 28, 2006, 08:40:07 AM »
Humne Ne Dekha Hai Zameen-e-Hindustaan Mein,..
Jisne Bhi Loota Hai Ise Khush Tha Ab So Raha Hai Kabarstaan Mein,..
Kyun Ki Mera Mulk Hai Khazaano Wala Ke Lootlo,..
Magar Naa Looto Yahan Ka Aman Aur Pyaar,..
Logged
Tosha
Guest
«Reply #14 on: April 03, 2006, 04:41:35 PM »
good yaa!!

mere bharat mahan hai
jo isse bemain kahe uske fitrat bemain hai
sona ugalne wali dharti hai hamari
vaten mera bemishal hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 03, 2025, 03:40:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer