Khauf sa ghul gaya hai hawaon mein!

by shara63 on September 23, 2013, 12:30:29 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1855 times)
shara63
Guest
Na jaane kiski nazar lag gaee, mere mulk ki fizaaoN me,
 aman ki saaNs doobhar hai, khauf sa ghul gaya hawaoN me;
 
 RagoN me bhar diya hai nafratoN ka zaher
 hausala sa aa gaya hai ab jafaaoN meiN;
 
 RishtoN me ab vo garmi  nahi rahi baaqee
 na vo kashish rah gaee hai chaahoN meiN
 
 DiloN me baaqi rahe na ab vo jazbaat
 daraareN pad gaee haiN vafaaoN meiN
 
 Goonjte the pahle kabhi jo fizaaoN me
 badal gae haiN vo naghmeN ab sard aaNho meiN
 
 Ae khuda, is bad-nazari ko door kar de tu
 aasaniyaan kar de in mushkil raahoN meiN !! .....'ainy'



NB:  Hindustaan ki Ganga-Jamuni tahzeeb, jo saari duniya ke liye ek misaal hua karti thi idhar kuchh dino se apne hi mulk ke ghaddaron aur  kuchh baahri logon ke naapak mansoobon ki wajah se taar taar hoti  jaa rahi hai...abhi pichhle dino Muzaffarpur, Merut me jo kuchh hua woh is mulk me bhaaichare ke tane-bane ka ek aur resha udher gaya…Har roz rishton ke bikharte hue reshon ko dekh kar dil zaar-zaar rota hai…ye chand laaine usi ghusse aur bekasi ka izhaar hai! …Aaiye hum sab Dua aur kosish Karen ke is mulk ka asli khoobsurat roop na bigadne paaye aur mulk me aman qaayam rahe  (Ameen)!
Logged
Dineshkumarjonty
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2013, 12:40:11 PM »
Kya baat hai khof mat khaao varna jo khof phala rahe hai will be more brave.plz be confident Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: September 23, 2013, 01:09:20 PM »
bahut khoosoorat kalaam
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: September 23, 2013, 01:26:50 PM »
Bahut khubsurti se jazbaat ka izhar kiya hai Shara ji .... chand mutthi bhar shaitaan hamaare chaman ki rangeeni khatm nahi kar sakte , sirf kuch waqt ke liye pareshaan kar sakte hain .Albatta hamein un shaitaanon se hoshyaar rahna hai jo in sharmnaak mouqon par bhi zakhmon pe marham rakhne ke bajaai apni siyasat kar aag ko aur hawa dete hain ..aapko is takhleeq par mubarakbad aur Bazm mein wapsi par khush aamdeed.  
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: September 23, 2013, 01:38:22 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut achcha likhe ho shara ji.. achchi soch aur achche khayal rahe..hazaron dili daaaaaaad...
Logged
shara63
Guest
«Reply #5 on: September 23, 2013, 01:48:02 PM »
beshak Dineshkumarjonty ji,
khauf mujhe nahi balke us mahaul me hai jahan haiwaniyat ka raqs hua..aur humara farz hai ke un shikaar hue logon ko dhadhas badhakar hausla den ....kalaam padhne aur pasand karne ke liye bahut shukria !
Logged
shara63
Guest
«Reply #6 on: September 23, 2013, 01:48:46 PM »
bahut shukria saini sb!
Logged
shara63
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2013, 02:02:20 PM »
F H Siddiqui sb, ...aaj aapki hi jaisi soch aur sab logon ko apni aankhen kholne ki zaroorat hai...beshak ye yaqeen-dahani un danga-mutassir dahshad zada logon ke liye  marham ka kaam karengi... mubaarakbaad ke liye tahe dil se aapka shukria !!
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #8 on: September 23, 2013, 02:04:31 PM »
bahut bahut khoob.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
shara63
Guest
«Reply #9 on: September 23, 2013, 02:06:37 PM »
Aqsh ji, aapko dili shukria !
Logged
shara63
Guest
«Reply #10 on: September 23, 2013, 02:08:10 PM »
Bahut bahut Shukria, Bishwajeet 'Musaahib' sb!
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: September 23, 2013, 03:09:01 PM »
Bazm me bahut dino baad aapko vapas dekhkar bahut khushi hui.
dil ko dard ko bakhoobi bayaan kiya hai aapne.

jo hua nihaayat sharmnaak hai is desh ke liye.
shayad iski vajah hamari khudgarz soch bhi hai..is toofaan ko kuchla bhi ja sakta tha..par iccha shakti ki kamee har level par..
khair..jald hi haalaat saamaanya honge..log phir se ek doosre ko gale lagaayenge.
Logged
shara63
Guest
«Reply #12 on: September 23, 2013, 04:41:50 PM »
mkv ji, bazm me mujhe waapas qubool karne aur kalam pasand karne ke liye bahut Shukria !
aur beshak, Khuda se  har haal me behtari chahte hue ummeedon ka daman thaame rakhna hi  insaan ka farz hai!
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #13 on: September 23, 2013, 05:36:01 PM »
boht boht acha aur sach likha hai bohut umda
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: September 23, 2013, 07:56:23 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 11:31:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer