Khauf sa ghul gaya hai hawaon mein!

by shara63 on September 23, 2013, 12:30:29 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1864 times)
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #15 on: September 23, 2013, 09:54:40 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Waah kya bat hai,Bahut Khoob.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #16 on: September 23, 2013, 10:00:27 PM »
Na jaane kiski nazar lag gaee, mere mulk ki fizaaoN me,
 aman ki saaNs doobhar hai, khauf sa ghul gaya hawaoN me;
 
 RagoN me bhar diya hai nafratoN ka zaher
 hausala sa aa gaya hai ab jafaaoN meiN;
 
 RishtoN me ab vo garmi  nahi rahi baaqee
 na vo kashish rah gaee hai chaahoN meiN
 
 DiloN me baaqi rahe na ab vo jazbaat
 daraareN pad gaee haiN vafaaoN meiN
 
 Goonjte the pahle kabhi jo fizaaoN me
 badal gae haiN vo naghmeN ab sard aaNho meiN
 
 Ae khuda, is bad-nazari ko door kar de tu
 aasaniyaan kar de in mushkil raahoN meiN !! .....'ainy'



NB:  Hindustaan ki Ganga-Jamuni tahzeeb, jo saari duniya ke liye ek misaal hua karti thi idhar kuchh dino se apne hi mulk ke ghaddaron aur  kuchh baahri logon ke naapak mansoobon ki wajah se taar taar hoti  jaa rahi hai...abhi pichhle dino Muzaffarpur, Merut me jo kuchh hua woh is mulk me bhaaichare ke tane-bane ka ek aur resha udher gaya…Har roz rishton ke bikharte hue reshon ko dekh kar dil zaar-zaar rota hai…ye chand laaine usi ghusse aur bekasi ka izhaar hai! …Aaiye hum sab Dua aur kosish Karen ke is mulk ka asli khoobsurat roop na bigadne paaye aur mulk me aman qaayam rahe  (Ameen)!

achchche  andaaz mein dukh ka ehsaas qalm band kiya hai.doa hai allah aman mohayaa kare aur desh ko dushmano se hifaazat farmaaye ...amin
Logged
shara63
Guest
«Reply #17 on: September 24, 2013, 04:00:18 PM »
Bahut shukria Sahlil sb.!
Logged
shara63
Guest
«Reply #18 on: September 24, 2013, 04:02:35 PM »
Thankyou Hriday ji !
Logged
shara63
Guest
«Reply #19 on: September 24, 2013, 04:03:52 PM »
Ravinder Ravi sb, bahut shukria aapka!
Logged
shara63
Guest
«Reply #20 on: September 24, 2013, 04:05:01 PM »
Adil Bechain Sb, aapka bahut bahut shukria!
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #21 on: September 24, 2013, 04:31:43 PM »
bohut khoob likha hai shara ji ,,

border per hamari hifazat ke liye fauji tainaad hai ,
lekin mulk ke under rehker jo khokla kar rahe hai,
uska kya karenge hum ....bohut mushkil halaat hai.

insaaniyat khatre me hain. .
kalaam  lajawab raha
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
shara63
Guest
«Reply #22 on: September 24, 2013, 04:53:47 PM »
Sahal ji,
bahut shukria apke jazbe aur khayalat ke liye...aaj zaroorat hai to bas is baat ki, ke mulk ka har fard koi bhi faisla lene se pahle mulk ke baare me soche ...aapsi nafrat, gussa,aur ladai-jhagda kisi bhi mulk aur khud ki bhi taraqqi ke raste me sabse bada roda saabit hote hain.
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #23 on: September 24, 2013, 05:40:53 PM »
Sahal ji,
bahut shukria apke jazbe aur khayalat ke liye...aaj zaroorat hai to bas is baat ki, ke mulk ka har fard koi bhi faisla lene se pahle mulk ke baare me soche ...aapsi nafrat, gussa,aur ladai-jhagda kisi bhi mulk aur khud ki bhi taraqqi ke raste me sabse bada roda saabit hote hain.

shara ji ,
bilkul sahi baat hai lekin jaha tak mera andaza hai ke awaam acchi hai lekin hamare hukmaraan achhe hote to mulk ki tarakki
ke kuch azbaab bante ....
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #24 on: September 25, 2013, 06:54:02 PM »
bahut khoob
Logged
shara63
Guest
«Reply #25 on: September 26, 2013, 11:52:50 AM »
Shukria Nandbahu ji!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:25:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer