bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:53 days, 9 hours and 51 minutes.
Posts: 3738 Member Since: Oct 2005
|
wah khoon kaho kis matlab ka, jisme ubaal ka naam nahi, wah khoon kaho kis matlab ka, aa sake dessh ke kaam nahi,
wah khoon kaho kis matlab ka, jisme jeevan na ravani hai, jo par-vash hokar bahta hai, wah khoon nahi hai paani hai,
us din logon ne sahi sahi, khoon ki keemat pahchani thi, jis din SUBHASH ne barma me, mangi unse kurbaani thi,
bole swatantrta ki khatir, balidan tumhe karna hoga, tum bahoot jee chuke ho jag me, lekin, aage marna hoga,
aazazdi ke charno me jo, jaimal chadai jayegi, wah suno tumhaare sheeshon ke, phoolon se gunthi jayegi,
aazadi ka sangraam kahin, paise par khela jaata hai, yah sheesh katane ka souda, nange sir jhela jata hai,
aazadi ka itihaas kahin, kaali syahi likh paati hai, isko likhne ke liye, khoon ki nadi bahai jaati hai,
yah kahte kahte wakta ki, aankhin me lahoo utar aaya, mukh rakt-varn ho damak utha, chamki unki raktim kaya,
aajanu baahu unchi karke, we bole "RAKT MUJHE DENA" iske badle me bharat ki, aazadi tum mujhse lena,
ho gai sabha me uthal puthal, seene me dil na samate the, swar inklaab ke, naaron ke, koson tak chaye jaate the,
hum denge-denge khoon, shabd bas yahi sunai dete the, ran me jaane ko yuvak khade, taiyaar dikhai dete the,
bole subhash aise nahi, baaton se matlab sarta hai, lo yah kagaz, hai koun yahan, aakar hastakshar karta hai,
isko bharne wale jan ko, sarvasv-samarpan karna hai, apna tan-man-dhan-jan-jeevan, mata ko arpan karna hai,
par yah sadharan patr nahi, azadi ka parvana hai, is-par tumko apne tan ka, kuch ujjaval rakt girana hai,
wah aage aaye, jiske tan me, bharteey khoon bahta ho, wah aage aaye jo apne ko, hindustaani kahta ho,
wah aage aaye jo is par, khooni hastakshar deta ho, mai kafan badhata hun, aaye, jo isko hanskar leta ho,
sari janata hunkaar uthi, "HUM AATE HAI, HUM AATE HAIN, mata ke charno me yah lo, hum apna rakt chadate hain,
sahas se badhe yuvak us din, dekha badhte hi aate the, chaaku, churi, katariyon se, we apna rakt girate the,
fir usi rakt syaahi me, ve apni kalam dubaate the, aazadi ke parvaane par, hastakshar karte jaate the,
us din taaron ne dekha, hindustaani itihaas naya, jab likha maha ranveeron ne, khoon se apna itihaas naya
gopal prasad vyas
|