"Khwaish" Puchta Hai Yeh Sab Se.....

by khwaish on February 28, 2011, 04:37:31 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2348 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Aaj Ek Aise Haqeeqat Se Rubaroo Hua Ke Mujhse Raha Na Gaya Aur Main Yeh kalaam Likh gaya,Isme Ek As'haar Aisa Hai Jo Aaj Ek Aisi Sachai Bayaan Kar raha hai,Jisse Suunkar Mujhe Bahut Afsos Hua Hai,Main Maanta Hoon Yeh Kalaam Ek Tanz Hai Hum Sab Par Jisme Main Bhi shaamil Hoon..


Hosh Ki Baat Badi Baat Hai Deewano mein
Kaun Zinda Hai Yahan Sahi Maano Mein

Dharam,Mazahab Ki Charcha Rehti Hai Hardum Yahan!!!
Kho gayi Hai Insaan Ki Pehchaan Pehchaano Mein

Desh Ki Azaadi Ke Liye Jo Phaansi Par Chad Gaye!!!
Unke Ghar Wale Rehte Hai Aaj Tin Ke Makaano Mein

Angrezo Se Hukumat Cheeni Apne Hi Choro Ko Haath De Di!!
Din Guzarta Hai Safed Kapdo Mein Aur Raat Guzarti Hai Maikhaano Mein


Anginat Ghotaale,Swiss bank Ke Behisaab Hawale,Croredo Ke khel Niraale
 yahan Insaaniyat Kyon Ghayal Hai Inn Haiwaano mein!!!

 "Khwaish" Puchta Hai Yeh Aaj Sab Se.....
Kya Zameer Sach mein Mar Gaya Hai Hum Insaano Mein??


                        ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 28, 2011, 04:53:56 PM »
Nirala ka jawaab hai haan---
zameer mar chuka hai hum insaano me--
mitt chuka he zameer naam ka Jhooth !
Insaniyat bhi nhi Rahi--
sab kitaabi baate hain.
bhool jao. yaad rakho--
""
hum sab chor hain aur ye kabhi badal nahi sakta--
ho sake to apni jeb bharne ki kosis karo--
jo lootne ki kubbat nahi rakhte aaj wahi Imaandaari aur Zameeriyat ki baate karte hain--
yahi sachhai hai.
humara desh--Pakistaan aur Bangladesh ke baad duniya ka No.1 bhrast desh hai--iska Certificate lekar ghoomte hain hum.
"
thanx
"
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: February 28, 2011, 05:07:44 PM »
khwaish ji....aaj ka aapka topic wakai me dil me sawal jaga gaya....
sahi hai hum zamane ko samaj ko badalne ki baat karte hain lekin jahan mauka mila hum khud hi beimani kar lete hain bhale hi wo chhooti moti hai karodon arbon ki nahin par kar rahe hain apne level pe sab chori.....
tab koi kisko kya kahe aur kya samjhaye ......aankhein mundein apne kaam nikalte raho.....yehi samaj reh gaya hai hamara...
par jab aisa kuch padhte hain to khud me hi sharm mehsus karte hain kuch secnds ko kuch pal ko hi sahi apne gunaah to yaad karte hain sab.......
thnx khwaish ji for such poetry..jo kuch pal hi sahi apne zameer ki sunati to hai......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: February 28, 2011, 05:54:16 PM »
bahut wadiya ji...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: February 28, 2011, 08:01:22 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Tu har baar sach likhta hai mager bhool jata hai Khwaish,
Iss duniya main murde jaaga nahin karte..

Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #5 on: March 01, 2011, 06:04:27 AM »
sach he khwaish ji sab 100% sach..........

ye ho raha he aur shayad hota rahega..........

jimmedar hum khud he.........
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: March 01, 2011, 06:47:44 AM »
hunnnnn.... bahut badiya khwaishij...........

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

yahi hai sach ka samna......
Logged
Road_Side_Romeo
Guest
«Reply #7 on: March 01, 2011, 10:15:59 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: March 01, 2011, 05:06:20 PM »
Bahut Khub Khwaish Ji Sach Mein Bahut Satik Likha Hai Applause Applause
Logged
Yaash
Guest
«Reply #9 on: March 03, 2011, 03:07:55 AM »
Wakai Mein Insan Ko ,Kuch Sochne Par
Majbur Kar Dene Wali Peshkash Hai Yeh

Bohat Badiya Janab Khwasih Ji.Dili Dad
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 03, 2011, 01:01:46 PM »
Nirala ka jawaab hai haan---
zameer mar chuka hai hum insaano me--
mitt chuka he zameer naam ka Jhooth !
Insaniyat bhi nhi Rahi--
sab kitaabi baate hain.
bhool jao. yaad rakho--
""
hum sab chor hain aur ye kabhi badal nahi sakta--
ho sake to apni jeb bharne ki kosis karo--
jo lootne ki kubbat nahi rakhte aaj wahi Imaandaari aur Zameeriyat ki baate karte hain--
yahi sachhai hai.
humara desh--Pakistaan aur Bangladesh ke baad duniya ka No.1 bhrast desh hai--iska Certificate lekar ghoomte hain hum.
"
thanx
"


Nirala Ji, Kya Kahoon!!! Aapki Baatein Kadwi Hai Par Bilkul Sach Hai, Kuch Haqeeqi baatein Kahi Hai Aapne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 06, 2011, 01:36:03 PM »
bahut wadiya ji...


Thankyou Hai Ji..
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: March 13, 2011, 10:01:28 AM »
Wah wah Khwaish ji bahut sachai aur khoobsurat peshkash,aapke likhe ka andaaz kuch alag hota hai,great work,keep it up,has off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: March 13, 2011, 11:55:38 AM »
KHWAISHJI BAHUT KHOOB. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
AAP ITNE PARESHAN MAT HONA INSAANIYAT ZINDA HAI ISSILIYE YE DHARTI TIKI HAI.
KUCHH LIGO KE DUM SE SABHI KUCHH CHAL RAHA HAI.
CHAL SAKTA HAI.SITARE LAKH SAHI ,
CHAND SE ROSHAN HAI SARA AASMAANN.
ANDHERE HAIN YAHAN APNA JAAL LEKE
PAR EK AAFTAAB SE ROSHAN HAI YE SARA JAHAN..
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: March 13, 2011, 12:11:28 PM »
Suresh ji aapne bhi bahut acha saath diya . Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:20:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.204 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer