Manana Jash-e-Azaadi Na Hamare Waste Rona,..

by Jaanasheen on August 09, 2006, 02:12:35 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2360 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Kasam Tum Ko Watan Waalon,..
Kabhi Mayoos Mat Honaa,..
Manana Jashn-e-Azaadi,..
Na Mere Waste Ronaa,..

Nigaahein Maut Se Bhi Hum Milaane Se Nahi Darte,..
Watan ke Naam Pe Hum Sar Kaaane Se Nahi Darte,..

Desh Mere,.
Desh Mere Meri Jaan Hai Tu,..

Desh Mere,..
Desh Mere Meri Shaan Hai Tu,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: August 09, 2006, 02:26:28 PM »
Azaadi Mili Hai Hume Veerasat Mein Kadar Nahi Hume Azaadi ki,..
Poocho Unse Kadar Tum Iski Jinhone Udhli Chadar Bardaadi Ki,..

Hum Anjaan Hai Kurbaanion Se Unki Jinhone Di Hai isko Paane Ke Liye,..
Aaj Hum Bhool Gaye Sab Naam Unke Doston Lage Hain Unke Ithaas Mitaane Ke Liye,..

Us Malik Ke Hum Sab Shukr Guzaar Hain Jisne Hume Azaad Savera Dikhaya,..
Hume Dediya Roshnion Ka Charaag Usne Aur Hamare Baap-Dada Ko Andhera Dikhaya,..

Paa Kar Bhi Hum Ujaala Azaadi Ka Kadar Nahi Karte Apne Watan Ki,..
Diye Jinhone Gul Hume Karte Nahi Hum Kadar Un Chaman Ki,..

Chalo Milkar Sab Manate Hain Azaadi ka Din Yahan,..
Jisko Dekhkar Jhoom Uthe Zameen Aur ye Asmaan,..

Milakar Haathon Se Haath Chalo Chalte Hain Hum Manzil Taraf..
Kadam Kadam Jordkar Chalo Chalte Hain Hum Mushkil Ki Taraf,.

Manao Azaadi Aur Un Shaheedon Ko Bhi Yaad Rakhna,..
Jinhone Apna Kal Gawakar Diya Hume Aaj Aur Diya Hume Tohfaa Khushiaan Ka,..

__________________________-Azeem-_______________________

 Wish U All My Freinds A Happy Independence Day,..
Which We are Going To celebrate The 59th Of Or independence,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: August 10, 2006, 12:31:22 PM »
Khushion Ki Bahaar Chaaye Ab Humare Chaman Mein,..
Chalo Laaye Ek Inquilaab Phir Se Aaj Apne Watan Mein,..

Wadaa Karo Milkar Sab Ke Watan Ko Bulandi Tak Pahoonchaayenge,..
Kar Roshan Kar Na Ho Hume Naam Iska To Ghar Bhi Apna Jalaayenge,..

Khushnaseeb Hain Hum Sab, Ke Mili Hume Panaah Is Gulistaan Mein,..
Milengi Har Rang Ki Titliyaan Yahan Pyaar Ki Is Hindustaan Mein,..

Humne Bhi Bahoot Takleefon Se Paayi Hai Azaadi Aaj Sab Ke Chehre Pe Hansi Hai,...
Kal Jo Beeta Tab Khoon Ki Nadiaan Bahi Thi Yahan Se Yahi Khushboo Ab Phooloin Mein Basi Hai,..

Phir SE Aaya Wo Din Jiska Intezaaar Hum Karte The,.
Ye Din Laane Ke Liye Jaane Kitne Log Roz Marte The,..

__________________________-Azeem-_______________________

Wish U Happy The 59th Of Our Independence
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #3 on: August 25, 2006, 07:08:12 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
Kasam Tum Ko Watan Waalon,..
Kabhi Mayoos Mat Honaa,..
Manana Jashn-e-Azaadi,..
Na Mere Waste Ronaa,..

Nigaahein Maut Se Bhi Hum Milaane Se Nahi Darte,..
Watan ke Naam Pe Hum Sar Kaaane Se Nahi Darte,..

Desh Mere,.
Desh Mere Meri Jaan Hai Tu,..

Desh Mere,..
Desh Mere Meri Shaan Hai Tu,..


BHOOT ACHAA LIKHA HAI .......

WATAN KE WASTE HAM JAAN APNEE BHEE LADA DENGE
NEGAHE KHARAAB HO GAR ON NIGAHO KO MITA DENGE
AISEE AAG SEENE MAI SEENA CHEER....DIKHA DENGE
WATAN KE WASTE HAM...........

NIGAHE FER LO APNEE,  E BOOREE NAJAR WALO
WATAN KEE AAN KE KHATIR NIGAHO KO MITA DENGE

NETRA



NETRA......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 25, 2006, 07:42:20 AM »
wah kay abaat hai lil bro... good one Netrapal ji

apka Yoindia mai sawagat hai....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 27, 2006, 12:47:37 PM »
Bahoot Khoob Netra pal,...
Aur Shukriya Pooja Didi,..,
App Agar Do Char Linews Likh Dete To Seekhna Ka accha Maukha Milta,..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: August 31, 2006, 05:55:06 AM »
Quote from: "Pooja"
wah kay abaat hai lil bro... good one Netrapal ji

apka Yoindia mai sawagat hai....


aap kaa dhanyaad poojaa jee
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 31, 2006, 06:17:18 AM »
app khud itna acha likhte hai.. such mai kamal ka likhate hai app lil bro...

Apne kaha hai to ek koshish meri kuch likhne ki....

Kis azaadi ki ajj hum baat karte hai
lakho sitam ki janjeero mai jakde hai

jis shaan se veero ne jaan qurbaan ki
na pucho ajj kitani besharmi se kitne logo ki jaan li

Jashan-e-Azadi ajj manate hui dar lagta hai
kab - kahan, nach jaaye mout ka tandav, her pal dar lagta hai

apne hi lalach mai, watan ko mitta rahe hai
na jaane kaise khud se wo ankh milla rahe hai

kasam hai ajj nigah na pherna, Julam ho jayega
kaya suchi azaadi ka matlab, ajj ka yug samjh payega

Jo jajaba tha tab, wo dekhane ko dil tarsata hai
kaya ajj ka Yuva, apni jimedaari samjhata hai

Azad-e-jashan main bhi manana chahati hu
apne desh ko suchi Azadi dilana chahati hu......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 31, 2006, 07:54:17 AM »
Waah Didi Bahoot khoob,..
Sach Apki Jo Kavita Hai Bahoot Hi Badiya Hai,...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2006, 11:49:33 AM »
Quote from: "Pooja"
app khud itna acha likhte hai.. such mai kamal ka likhate hai app lil bro...

Apne kaha hai to ek koshish meri kuch likhne ki....

Kis azaadi ki ajj hum baat karte hai
lakho sitam ki janjeero mai jakde hai

jis shaan se veero ne jaan qurbaan ki
na pucho ajj kitani besharmi se kitne logo ki jaan li

Jashan-e-Azadi ajj manate hui dar lagta hai
kab - kahan, nach jaaye mout ka tandav, her pal dar lagta hai

apne hi lalach mai, watan ko mitta rahe hai
na jaane kaise khud se wo ankh milla rahe hai

kasam hai ajj nigah na pherna, Julam ho jayega
kaya suchi azaadi ka matlab, ajj ka yug samjh payega

Jo jajaba tha tab, wo dekhane ko dil tarsata hai
kaya ajj ka Yuva, apni jimedaari samjhata hai

Azad-e-jashan main bhi manana chahati hu
apne desh ko suchi Azadi dilana chahati hu......


BHOOT ACHAA KHAA HAI POOJA JEE PAANE

DIL MERA JAL RHAA HAI DASHA DESH KEE DEKH KAR
JULM KEE INTHAA KAR RAHAA INSAAN HEE INSAAN PAR
MIT RAHE HAI JAWAAN KYAA ISEE DESH KEE AAN PAR?

NETRA......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: September 02, 2006, 06:31:05 AM »
thanks Lil bro and Netrapal...

Nice lines Netrapal
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 04, 2006, 02:11:43 PM »
Shukriya Didi And Nice Lines Netra Pal Ji,..

Doston Maine Ek Gaana Lage Raho Munna Bhi Se Suna Bahoot Hi Accha Song Hai,..
Wo Mahatma Gandhiji Ke Upar Banaya Gaya Hai,..
Sacah Bahoot Hi Patriotic Song Hai,..
Movie Mein Hai,..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:29:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer