Azaadi sabko pyaari hoti,har mazhab me insaniyat ki shumaari hoti hai
hum sabki azaadi ki dua karte hain.....ye sandesh mere desh ne mujhe diya
hum sabhi mazhab ko apna samajhte hain.....ye mazhab mujhe is desh se mila
sabke desh ne sabko pyaar karna hi sikhaya...nafraton ko to hum insaaano ne failaya
safalata ke shaamiyaanon ki muskaan....dard me bhi jahan muskurata insaan
us garib ke ghar me chand chawal ke daane....par vo kar de use mehma pe qurbaan
aisa mera desh mahaan.....bikhre andheron me bhi jahan roshni tamaam
ye mera bharat mahaaan......ye mera desh mahaan
mera bharat mahaan..................mera bharat mahaan
ye rishiyun ki gaatha,vafaon ki sabse suhaani ghata
dard sahke bhi khushiyan dena,iska bus isi se naata
jahan nadiyun ka paani bhi ishwar ki santaan......
mera bharat mahaan..................mera bharat mahaan
yahan sabr ka har su chaman,ujde phool bhi khile gulshan
yahan rishton me nahi vaham,ye vatano ka bhi vatan
kabhi na khatm hone vaale saaf dilon ki daastaan...
mera bharat mahaan..................mera bharat mahaan
behad ameer hai ye,gareebon ka zameer hai ye
ek fakeer hai ye,jo khwaabon me na aa sake vo tasveer hai ye
hindu muslim sikh isaai sabka haq hai jispe samaan.....
mera bharat mahaan..................mera bharat mahaan
ye maryadaaon ka bhushan,yahan shyaam har daal pe nutan
ye mere raam ka aabhushan,har preetam'e'ishq ka ye preetam
iski dharti me har taraf tohfon ki khaan........
mera bharat mahaan..........mera bharat mahaan
ye laxmibaai ki shahadat,ye bapu gandhi ki amanat
isse bhagat singh ki sohbat.ye subhaschandra ki bagawat
har shaheed ka jahan har dilon me maqaan...........
ye mother teresa ka apnapan,ye abdul qalaam ki shabnam
ye vivekanand ka brahm,humdardi yahan sabhi ko aadatan
jo ise na chahe ye uspe bhi meherbaan...........
mera bharat mahaan..........mera bharat mahaan
mera bharat mahaan..........mera bharat mahaan