~*~ Mera shaher aj bhi utna hi acha hai ~*~ by Rahim

by dead heart on December 28, 2011, 04:59:36 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3736 times)
dead heart
Guest
"Ek shaher isiliye khubsoorat lagta hai, kyun ki usme rehne wale khubsoorat hai"

Meri yeh philosophy se thorra alag hai meri yeh kalam..Mujhe apne shaher se mohobat hai kyun ki mera shaher khubsoorat hai..Mujhe yeh shaher acha lagta hai kyun ki main yahan paida hua hoon..Ek apnapan sa hai iss shaher se..Yahan koi rahe ya na rahe, mere liye mera yeh shaher hai..Iss shaher ne mujhe zindagi jeena seekhaya hai ek tarikke se..Main zada nahin raha hoon idher mager ek ajeeb, khamosh si mohobat hai iss shaher se mujhe..

Meri yeh kalam, mere shaher-e-Karachi ko dedicated hai..!

Toota hai, bikhra hai, phir jur’ra hai,
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

Deewarein aj bhi pan ki pichkarion se sajhi hai,
Shenahion kay saath yahan maut ki gunj bhi baji hai,
Parindon se sajha asmaan aj bhi hai,
Chhat se uttar, milne ka ashiqon ka armaan aj bhi hai,
Kayi ilzamon se sana hai yeh par masoom ek bacha hai,
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

Galiyon main bachon ka woh cricket khelna,
3 baje soyi hui maa ka 7 baje roti belna,
Kayi logon kay liye sabab-e-sukoon hai,
Bhale kayi baar daman pe iske laga khoon hai,
Hai sisayat iski khokli par andhon jaisa sacha hai,
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

Koi bhi ajaye, yeh shaher usse apna leta hai,
Har ek ko mano jaise apna khud ka bana leta hai,
Raaton ko roshnion se yeh saj’jata hai,
Bas kuch logon ki wajah se yeh badnaam hojata hai,
Ilzam lagte rahe mager ‘Khamosh’ raha yeh shaher,
Daag lagaye dikhta ek khubsoorat sa bacha hai,
Mera shaher-e-Karachi…
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mera janaja teri barat se acha hoga...... by deepak_mittal143 in Shayri-E-Dard
~Kya koi mera bhi hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Mujhe bada acha lagta hai ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Mera basera hai ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera Shaher Bekasoor Hai by Rahim by dead heart in Shairy-E-Watan
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #1 on: December 28, 2011, 06:55:49 AM »
"Ek shaher isiliye khubsoorat lagta hai, kyun ki usme rehne wale khubsoorat hai"

Meri yeh philosophy se thorra alag hai meri yeh kalam..Mujhe apne shaher se mohobat hai kyun ki mera shaher khubsoorat hai..Mujhe yeh shaher acha lagta hai kyun ki main yahan paida hua hoon..Ek apnapan sa hai iss shaher se..Yahan koi rahe ya na rahe, mere liye mera yeh shaher hai..Iss shaher ne mujhe zindagi jeena seekhaya hai ek tarikke se..Main zada nahin raha hoon idher mager ek ajeeb, khamosh si mohobat hai iss shaher se mujhe..

Meri yeh kalam, mere shaher-e-Karachi ko dedicated hai..!

Toota hai, bikhra hai, phir jur’ra hai,
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

Deewarein aj bhi pan ki pichkarion se sajhi hai,
Shenahion kay saath yahan maut ki gunj bhi baji hai,
Parindon se sajha asmaan aj bhi hai,
Chhat se uttar, milne ka ashiqon ka armaan aj bhi hai,
Kayi ilzamon se sana hai yeh par masoom ek bacha hai,
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

Galiyon main bachon ka woh cricket khelna,
3 baje soyi hui maa ka 7 baje roti belna,
Kayi logon kay liye sabab-e-sukoon hai,
Bhale kayi baar daman pe iske laga khoon hai,
Hai sisayat iski khokli par andhon jaisa sacha hai,
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

Koi bhi ajaye, yeh shaher usse apna leta hai,
Har ek ko mano jaise apna khud ka bana leta hai,
Raaton ko roshnion se yeh saj’jata hai,
Bas kuch logon ki wajah se yeh badnaam hojata hai,
Ilzam lagte rahe mager ‘Khamosh’ raha yeh shaher,
Daag lagaye dikhta ek khubsoorat sa bacha hai,
Mera shaher-e-Karachi…
Mera shaher-e-Karachi aj bhi utna hi acha hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

bahut bahut Khooob Dost Rahim...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Apne Shehar,Apne Mulk Ke Liye Aapke Jazbaat Kaabil-e-Taarif Hai..

Aur Haan Aapne BIlkul Dil Se Aur Bilkul Sach Likha Hai.. Kuch Chuninda Log

,Kuch Dirty politics Ke Kaaran Shehar par Ilzaam Aate Hai.. Main Apni baat Kahoon To Mere Fore-Fathers Bhi Karachi Ke Hai..Batwaare Ke Waqt Hum Hindustan Ke Hyderabad Shehar mein Aa Base..Main Kuch Saal pehle karachi Bhi Gaya Tha..Par uss Waqt Bhi Kuch Maahol Kharaab Hone Ki Wajeh Karachi Shehar Bahut Sunsaan Sa mehsoos Hua..Khair Aapne Bahut Acha Likha Hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: December 28, 2011, 01:07:43 PM »

Teh teh dil se shukriya Khwaish dost..
Haan halaat hote rehte hai yahan aise..
Insh'Allah ek dinn dobara aiyega yahan..Mujhe yakeen hai,
apko apna sa lagega yeh shaher..
Dobara apka shukriya ada karunga main..
Saath dete rahiyega..
Khush rahiye..!
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: December 28, 2011, 05:12:27 PM »
Bahut Bahut khoob Rahim Bhai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 28, 2011, 07:41:10 PM »
Bahut Bahut khoob Rahim Bhai
Teh teh dil se shukriya MKV jee..
Khush rahiye..!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: December 28, 2011, 09:51:24 PM »
Aaj maine yea post 3-4 baar padi , bahoot acha laga yea pad kar , iss kalam mea bahoot aare aise bhaav chupe hai jo tumne aaj kaale aksharo mea tumne kahi saare jazbaat jod diye

bahoot bahoot khoob !!!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: December 29, 2011, 02:54:41 AM »
wah dost--
kya ehsaas aur jazbat bayan kia aapne--
har ek rang dikh gaya bilkul live video ki tarah--

kabhi kabhi aap nagmo ko parhte nhi--bas feel krte hain--
aaj wesa hi hua.

aapke iss sache aur khalish ehsaason ko Salaam

khus rahen
muskurate rahen
Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 29, 2011, 01:14:10 PM »
Aaj maine yea post 3-4 baar padi , bahoot acha laga yea pad kar , iss kalam mea bahoot aare aise bhaav chupe hai jo tumne aaj kaale aksharo mea tumne kahi saare jazbaat jod diye

bahoot bahoot khoob !!!
Teh teh dil se shukriya Nysha jee..
Ager koi ek kalam ko ek baar se zada parre,
toh likhne wale kay liye is'se badkar kya..
Bahaut khushi mili apka comment parr kar..
Saath dete rahiyega..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: December 29, 2011, 01:16:17 PM »
wah dost--
kya ehsaas aur jazbat bayan kia aapne--
har ek rang dikh gaya bilkul live video ki tarah--

kabhi kabhi aap nagmo ko parhte nhi--bas feel krte hain--
aaj wesa hi hua.

aapke iss sache aur khalish ehsaason ko Salaam

khus rahen
muskurate rahen
Usual Smile
Mere dost, yehi toh sun'na chahta tha main..
Kay meri kalam ko parra nahin, mehsoos kiya gaya ho..
Jaise koi Karachi ko puri tarha mehsoos karle..
Teh teh dil se shukriya mere dost..
Bahaut bada compliment hai mere liye..
Saath dete rahiyega..
Khush rahiye..!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: December 29, 2011, 07:33:41 PM »
Rahim Sahaab Aadaab!

Waah janab kia kaheN waah waah waah.. behad khub aur behad
dil azeez rahi aapki yeH kalaam hume.. janab aik hasad aur
jalan si ho rahi hai hume ke kaash yeH kalaam humne apne
shahar ke liye likhi hoti..

Bahut khub janab.. behad achche sachche aur khub khayaaloN
ko aapne kis khubi se piroyaa hai kia kaheN ..

bus dil se waah waah aur waah hi nikal rahi hai.. Usual Smile
Likhate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye..
Aate rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile   

Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: December 30, 2011, 03:51:55 PM »
Bahut Bahut Khub Rahim Bhai...

Shad o Aabad Rahiye...

Shihab
Teh teh dil se shukriya Shihab Bhaijan..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: December 30, 2011, 04:16:44 PM »
Rahim Sahaab Aadaab!

Waah janab kia kaheN waah waah waah.. behad khub aur behad
dil azeez rahi aapki yeH kalaam hume.. janab aik hasad aur
jalan si ho rahi hai hume ke kaash yeH kalaam humne apne
shahar ke liye likhi hoti..

Bahut khub janab.. behad achche sachche aur khub khayaaloN
ko aapne kis khubi se piroyaa hai kia kaheN ..

bus dil se waah waah aur waah hi nikal rahi hai.. Usual Smile
Likhate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye..
Aate rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile   

Aadaab Parwaaz Sahab..
Teh teh dil se shukriya apka..
Jo lines main red main quote ki hai,
woh bahaut hi BADA compliment hai mere liye..
Bahaut unchi baat kehdi hai apne..
Bahaut dili dili shukriya..
Yunhi saath dete rahiyega..
Khush rahiye..!
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #12 on: October 19, 2012, 10:02:56 AM »
Bohot his khoobsurat kalam pesh kiya hai.

Har ek misre main jaadu hai.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: November 01, 2012, 01:48:37 PM »
Bohot his khoobsurat kalam pesh kiya hai.

Har ek misre main jaadu hai.
Bahaut bahaut shukriya Zehra jee..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:11:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer