Mere Bharat Ke Khiladi

by Abul Asad on December 06, 2011, 07:16:09 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1369 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
yeh meri pehli post hai yanhaan par, issay maine likha tha jab haal hi 2011 mein India World Cup criket ka jeeti thi . Aik Los Angeles main function par mujh se kaha gaya tha ke koi sehra pesh karon, India ki jeet par, ussi waqt yeh nazm mein ne likh kar padh di.
Bahut hi josh aur kharosh se is ka isteqhbal hua. Meri ghalatiyon ka main Maazarat khwan hoo. Aap ke islah ki darkhwast hai aur kissi bhi feedback ka muntazir hoon.
 

JAB UTRAY SHEHZAADE MERE BHARAT KE MAIDAAN-E KHEL MEIN
TO ZAMEEN LAGI KAMPNE HUA AIK SHOR US MAIDAAN MEIN

ABHI KHADAM BHI NA PARDA THA PEHLA US MAIDAAN MEIN
KE KANPNE DUSHMAN KE HAATH UNKAY HI GHAAR MEIN

KEHNE LAGE VOH, KIA KAREN HUM AISAY VAAR KE?
JAWAAB KAISE DAIN UNKAY HATYAAR KAY?

NAAM-E SACHIN 0 SEHWAAG JO BAJA UNKE KAANON MEIN
HUA HOSH GUM KAISE KAISE NAMVAR GAIND BAAZON KE

LE AAYA DHONI JO PAYALA DUNIYA SE JEET KAR
LE AAYA DHONI JO PAYAALA DUNIYA SE JEET KAR
KEHNE LAGE PADOSI, HOTE HUM BHI HINDUSTAAN MEIN

MAAR KE AIK AISA CHEKKA US MAIDAAN MEIN
UTARA MERE JAWAAN NE KHANJAR SENA-E DUSHMANAAN MEIN

LETE HO NAAM ZAHEER O MUNAAF, YOUSUF PATHAAN KA
KAUN EHMAQ REH GAYA HAI JO KAHE GA, NAHIN ABAD MUSALMAN HINDUSTAN MEIN.

HINDU HO YA MUSALMAAN BATAON EHLE MEHFIL TUM
AAJ KIYA RANG HAI KHOON -E JIGAR KA MITTI -E HINDUSTAN MEIN

PHIR BANDHI JO PAGDI HARBHAJAN NE AISAY SHAAN SE
KEHNE LAGA SAARA JAHAAN, HAI YEH KIA BAAT HINDUSTAAN MEIN

KEHDE KOI ISS MUSALMAAN KO KE HINDU NAHI HAI BHAI TERA
RAGON MEIN DAUDTEY KHOON SE AAYGI YEH SADA ....HAAI

TU NAHIN INSAAN JO NA SAMJHA INSANIYAT KO MERE BHAI
DAIKH ZARA KHILADIYON KO BHARAT KE MERE

BATA KIYA JEETA HAI VOH PIYALA-E JEET  
HINDU YA MUSALMAAN NE?

PYAASE HAIN HUM SAB,JAAM-E MUHABBAT KE
PYAASE HAIN HUM SAB, JAAM -E MUHABBAT KE
TU KIYON UCHALE HAI PHIR LAHU KA PIYALA MERE BHAI?

ABUL ASAD
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bharat by @kaash in Shairy-E-Watan
BHARAT-MAA..mb by marhoom bahayaat in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Bharat ke Sur... by chaarmee in Shairy-E-Watan
Bharat by @kaash in Shairy-E-Watan
Jago jago mere bharat ke pyare vashindo by nandbahu in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #1 on: December 07, 2011, 06:23:28 AM »
Meri khwaish hai ke isse main compose karoon, mere paas aik dhun bhi hai. Kissi ko agar musiqi kaa shauq hai to main uss se zaroor baat karna chahta hoon.

Abul Asad
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: December 15, 2011, 09:52:36 AM »
yeh meri pehli post hai yanhaan par, issay maine likha tha jab haal hi 2011 mein India World Cup criket ka jeeti thi . Aik Los Angeles main function par mujh se kaha gaya tha ke koi sehra pesh karon, India ki jeet par, ussi waqt yeh nazm mein ne likh kar padh di.
Bahut hi josh aur kharosh se is ka isteqhbal hua. Meri ghalatiyon ka main Maazarat khwan hoo. Aap ke islah ki darkhwast hai aur kissi bhi feedback ka muntazir hoon.
 

JAB UTRAY SHEHZAADE MERE BHARAT KE MAIDAAN-E KHEL MEIN
TO ZAMEEN LAGI KAMPNE HUA AIK SHOR US MAIDAAN MEIN

ABHI KHADAM BHI NA PARDA THA PEHLA US MAIDAAN MEIN
KE KANPNE DUSHMAN KE HAATH UNKAY HI GHAAR MEIN

KEHNE LAGE VOH, KIA KAREN HUM AISAY VAAR KE?
JAWAAB KAISE DAIN UNKAY HATYAAR KAY?

NAAM-E SACHIN 0 SEHWAAG JO BAJA UNKE KAANON MEIN
HUA HOSH GUM KAISE KAISE NAMVAR GAIND BAAZON KE

LE AAYA DHONI JO PAYALA DUNIYA SE JEET KAR
LE AAYA DHONI JO PAYAALA DUNIYA SE JEET KAR
KEHNE LAGE PADOSI, HOTE HUM BHI HINDUSTAAN MEIN

MAAR KE AIK AISA CHEKKA US MAIDAAN MEIN
UTARA MERE JAWAAN NE KHANJAR SENA-E DUSHMANAAN MEIN

LETE HO NAAM ZAHEER O MUNAAF, YOUSUF PATHAAN KA
KAUN EHMAQ REH GAYA HAI JO KAHE GA, NAHIN ABAD MUSALMAN HINDUSTAN MEIN.

HINDU HO YA MUSALMAAN BATAON EHLE MEHFIL TUM
AAJ KIYA RANG HAI KHOON -E JIGAR KA MITTI -E HINDUSTAN MEIN

PHIR BANDHI JO PAGDI HARBHAJAN NE AISAY SHAAN SE
KEHNE LAGA SAARA JAHAAN, HAI YEH KIA BAAT HINDUSTAAN MEIN

KEHDE KOI ISS MUSALMAAN KO KE HINDU NAHI HAI BHAI TERA
RAGON MEIN DAUDTEY KHOON SE AAYGI YEH SADA ....HAAI

TU NAHIN INSAAN JO NA SAMJHA INSANIYAT KO MERE BHAI
DAIKH ZARA KHILADIYON KO BHARAT KE MERE

BATA KIYA JEETA HAI VOH PIYALA-E JEET 
HINDU YA MUSALMAAN NE?

PYAASE HAIN HUM SAB,JAAM-E MUHABBAT KE
PYAASE HAIN HUM SAB, JAAM -E MUHABBAT KE
TU KIYON UCHALE HAI PHIR LAHU KA PIYALA MERE BHAI?


ABUL ASAD



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaah ZINDABAAD.! ZINDABAAD!!
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #3 on: December 15, 2011, 09:57:17 AM »
Adil Sahab,

Itni taaliyan, Shukriya, gaal bhi surkh horahe hain
bhai kuch zyaada hogaeen hai daad aapki.

Mamnoon aapke, ke khabil-e taarif samjha

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:05:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer