Mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge

by @kaash on August 11, 2009, 07:07:33 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2019 times)
@kaash
Guest
mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge

kahin park kahin maidan kahin khud apni pratimaayen
kahin swiss bank me jama kari rakam aur bhoole maryadayen

e mere desh ke netaon zara sochie
kitni ki desh ki sewa zara sochie

shaheed hue ho unki vidhwaaon ke lie kya kia aapne
itne paise laga die paark maidan,pratimaaon,jalson me
watan ko dilayi azaadi unki kitni pratimayen hain
shaheedon ki gaathaen ab kitaabon me padhayi jaati kitni hain



kabhi paanche saal me hota tha chunaav
aaj to 5 saal me paanch baar hota hai chunaav
ye desh ki janta ka paisa janta se hi to vasoola jayega
mere desh ke netaon desh kab savantra ho payega

kahin beemari kahin nirdhanta kahin chorbazari hai
police par se bharosa utha sabka ye lagti jaali hai

kab tak janta shak ki nazron se police ko dekhti rahegi
kab tak police aapke ishaaron par mazloomon ke khoon choosti rahegi

aakhir kab tak aap satya ko juthlaayenge

mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge


kahin durachaar kahin vyabhichaar kahin ghor manavta ka patan hai
aaj desh ka har naujawaan videshi company ki naukari me magan hai

kaise tum apne desh ko aage badhaoge
janta ne kitne dil se vote kia,kab tak ise bhool jaoge

aye netaaon kab aap desh ki shakti ko badhayenge
kab aap desh ke udhhyogon ko aage badhayenge


aakhir kab tak hum aap desh jhoothi badhotari dikhayenge

mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge



mandir masjid ka kissa aisa banaya
jisne vota chaha ise bhunaya


masoomon ka  khoon kise nazar aaya
mar gaye jo nahak unka kahan zikar aaya


aakhir kab aap dilon me pyaar panpayenge

ram rahim ek hain kab ek manch se bol jayenge

mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge

mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge
Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2009, 02:52:14 PM »
Quote
kabhi paanche saal me hota tha chunaav
aaj to 5 saal me paanch baar hota hai chunaav
ye desh ki janta ka paisa janta se hi to vasoola jayega
mere desh ke netaon desh kab savantra ho payega

kahin beemari kahin nirdhanta kahin chorbazari hai
police par se bharosa utha sabka ye lagti jaali hai

kab tak janta shak ki nazron se police ko dekhti rahegi
kab tak police aapke ishaaron par mazloomon ke khoon choosti rahegi

aakhir kab tak aap satya ko juthlaayenge

mere desh ke netaon kab hum sawantrata payenge
[/b]

Excellant work @Kaash ji  Applause Applause Applause
Bahut kuch kehdiya aapne ..... Overall very good  Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2009, 03:27:29 PM »
bahot shukria Roja ji,aap un senior members me se hain
jinhone hamesha hi kavita padhi aur response dia.
aap jaise members na hon to shayad itna man
lagake likhe na.
Roja ji i think u r out of India

posts me padha humne ek so i want to tell
u that in first stanza i wrote abt parks
its a fact that nowadays in India and particularly
in some states some ministers are spending
more than 3000 crs sirf maidan aur pratimayen
banane me jo ki takleefdey hai,
unhe hamare shaheedon ke statues lagane chahiye
jinhone desh ko azaad karaya islie maine likha.
i have also posted it in Tanz shayri forum.
aapne saraha tahe dil se aapka shukriya  Usual Smile


Welcome @kaash ji. and aapko keh du k mai bilkul
India mein hi hu. Aur rahi baat about Ministers spending crores of
rupees......... Is matter pe mai kuch comment karna nahi chahti
Bas itna zarur kahungi ke yehan ke politicians jo kuch nahi they
wo sab aajkal dhanwan hai.
 

Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2009, 11:41:27 AM »
NICE COMPOSITION Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:09:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer