Mumbai Attack

by Kagaj_Kamal on April 29, 2009, 06:39:26 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2946 times)
Kagaj_Kamal
Guest

Uda Gaye Khushboo Uda Gaye Mehak
November 2008 Ke Mumbai Attack

Bhule Se Na Bhool Payenge Hum Wo Din, Wo Taarikh Aur Wo Saal Mere Yaar|
26 November 2008 Ka Tha Wo Din, Jis Roz Machi Mumbai Mein Hahakaar||
Aansoo Behte Hai Aankhon Se, Choor-Choor Ho Gayi Sab Ummeedein Aur Aashaye|
Na Jaane Kya Mila In Aantankwadiyon Ko, Jo In Jaalimo Ne Massomo Ke Khoon Se Bhar Di Sab Galiyan Aur Dishayen||
Banaya Apna Target In Jaalimo Ne Nariman House, Oberoi Hotel Aur Landmark Hotel Taj|
Marne Walon Ki Sankhya Hai 188 Jisme 31 Hai Videshi Log Aur Sabke Parijon Hai Mumbai Sarkar Se Bahut- Bahut Naraz||
Kuch Ki Ujdi Kok Hai Isme Aur Kuch Ka Mita Mathe Ka Sindoor Na Bajegi Ab Unke Pairon Ki Payal |
Marne Wale To Hai 188 Is Hamle Mein Per  Kum Se Kum 293 Nirdosh Log Ho Gaye Isme Ghayal ||
Ek Din Na Chala Ye Hamla, Chala Poore Chaar Din Aur Pareshaan Tha Hindu, Muslim, Sikh, Isai Aur India Ka Bhai Jaat |
26 November 2008 Ko Hui Is Hamle Ki Shruaat Aur Antim Din Tha Is Hamle Ka 29 November 2008 ||
Is Hamle Ki Li Jimmedaari “Indian Mujahideen Terrorist Group” Ne Jiska Heart Nahi Hai Soft Hai Bilkul Hard |
Antim Pal Tak Dushman Se Datkar Kiya Muqabla Jisne, Wo Thi Apni NSG Arthat “National Security Guard” ||
Golibazi Hui Dono Taraf Se Khoob Datkar, Maare Gaye  Saare Terrorist Bacha Keval Ek,Jaan Lo Ye Baat Sabhi Sahab|
Jo Bacha Hai Jinda Terrorist Uska Link Hai Pakistan Based Lashker-E-Taiba Group Se Aur Uska Naam Hai Azam Amir Kasav ||
In Aantank Ke Chahne Walon Ke Iraade Kabhi Na Hove Poore, Ishwar Se Keval Yahi Gujarish Hai|
Is Khoonkhar Hamle Mein 14 Policeman Aur  03 NSG Ke Commando Ke Rakt Ki Hui Baarish Hai||
Is Din Ko Jab Yaad Kiya Jayega To Bhoole Se Bhi Nahi Bhulaya Jayega Un Naamo Ko Jo Huye Desh Ke Khatir Shahid|
MR. ASHOK KAMTE, VIJAY SALASKAR, SHASHANK SHINDE, SANDEEP UNNIKRISHNAN, CHANDER, GAJENDER SINGH AUR MR. HEMANT KARKARE JO   Anti-Terrorism-Squad Ke The Chief||                                               



Hamari Khamoshi Ko Aatankvaad Ke Janamdata Hamari Kamjori Na Maane,
Ab Jaldi Se Marne Ke Liye Ho Jao Tayaar Kyonki Ghar Mein Ghuskar Maarne Ke Iraade Humne Hai Thaane.




Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 29, 2009, 07:02:34 AM »
Kamal ji aapne apne alfaso se Mumabi attack ka pura vakaya fir se humari ankho k saamne la kada kiya.. bahoot hi khoob kamal ji

Mere Pass tho alfas hi nahi bache aage kuch kehne k liye


Salute to all the Soldiers ...

GOd bless All jo Log iss attack mea shahid ho gaye...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 29, 2009, 07:53:23 AM »
Well i have to say exactly what Sophi said...... Clapping Smiley
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: April 29, 2009, 10:00:41 AM »
Very nice Kamal ji... Well expressed Thumbs UP
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: April 29, 2009, 07:56:45 PM »
Kamal Ji,

Aapne apne shabdon se uss din ki poori tasveer kheench di....!!

A salute to all the martyrs  icon_salut

Bohot Khoob !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 29, 2009, 08:14:23 PM »
Us Manzar Ko Jab Yaad Karoon, Dil Mein Ek Baarish Hoti Hai,.
Kaash Ke Main Bhi Hota Shaheed Wahaan Par, Aisi Khwaish Hoti Hai,.

Desh Ke Main Bhi Kaam Aata, Shaheedon Mein Mera Bhi Naam Aata,.
Har Kisi Ko Nahi Milta Mukhaam Shahadat Ka, Har Ek Se Aisi Kahan Aazmaaish Hoti Hai,.


A Saltute Aur Great Soldiers,.

May There Soul REst In Peace
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: April 29, 2009, 08:24:01 PM »
sab se pahle apki bhawnaao aor apki kalam ko mera salaam... bahoot he dil se apne ek ek shabd ko Kavita main piroya hai... padte waqat aise laga jaise sab ankhon ke samne ek movie ki tarah chal rtaha hai....

apki last line se main sehmat nahi hu... agar hum ne unke ghar main ghus kar marne ki thani hai to unmain aor hum main kaya fark rah gaya...... kai baar sahi rasta waqat leta hai... magar sahi rasta he thik hota hai....

sabhi shaeedo ko mera dil se salaam!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: April 29, 2009, 08:24:40 PM »
Us Manzar Ko Jab Yaad Karoon, Dil Mein Ek Baarish Hoti Hai,.
Kaash Ke Main Bhi Hota Shaheed Wahaan Par, Aisi Khwaish Hoti Hai,.

Desh Ke Main Bhi Kaam Aata, Shaheedon Mein Mera Bhi Naam Aata,.
Har Kisi Ko Nahi Milta Mukhaam Shahadat Ka, Har Ek Se Aisi Kahan Aazmaaish Hoti Hai,.


A Saltute Aur Great Soldiers,.

May There Soul REst In Peace

bahoot khoob Lil bro....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 29, 2009, 08:27:20 PM »
bahoot khoob Lil bro....

Shukriya Didi Jaan,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: April 29, 2009, 08:29:08 PM »
                                             
Hamari Khamoshi Ko Aatankvaad Ke Janamdata Hamari Kamjori Na Maane,
Ab Jaldi Se Marne Ke Liye Ho Jao Tayaar Kyonki Ghar Mein Ghuskar Maarne Ke Iraade Humne Hai Thaane.



Aapki iss baat se main bhi sehmat nahin hoon....Wo bura karte hain...Lekin hum kyun bura karen jab hum bure nahin ! Agar hum bhi khoon bahayenge to kya hum bhi atankwaadi nahin ho gaye, unke jaise !
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: April 29, 2009, 08:29:58 PM »
Us Manzar Ko Jab Yaad Karoon, Dil Mein Ek Baarish Hoti Hai,.
Kaash Ke Main Bhi Hota Shaheed Wahaan Par, Aisi Khwaish Hoti Hai,.

Desh Ke Main Bhi Kaam Aata, Shaheedon Mein Mera Bhi Naam Aata,.
Har Kisi Ko Nahi Milta Mukhaam Shahadat Ka, Har Ek Se Aisi Kahan Aazmaaish Hoti Hai,.


A Saltute Aur Great Soldiers,.

May There Soul REst In Peace

Bohot Khoob Azeem
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 29, 2009, 08:39:19 PM »
Bohot Khoob Azeem

Shukriya Didi.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: April 30, 2009, 07:02:40 AM »
Us Manzar Ko Jab Yaad Karoon, Dil Mein Ek Baarish Hoti Hai,.
Kaash Ke Main Bhi Hota Shaheed Wahaan Par, Aisi Khwaish Hoti Hai,.

Desh Ke Main Bhi Kaam Aata, Shaheedon Mein Mera Bhi Naam Aata,.
Har Kisi Ko Nahi Milta Mukhaam Shahadat Ka, Har Ek Se Aisi Kahan Aazmaaish Hoti Hai,.


A Saltute Aur Great Soldiers,.

May There Soul REst In Peace

Bohat khoob Azeem.... Clapping Smiley
Logged
Kagaj_Kamal
Guest
«Reply #13 on: May 02, 2009, 05:46:09 AM »
thank you all
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: May 03, 2009, 03:47:58 AM »
Bahut accha likha hai aapne Kamal ji.
and Azeem bro aapne b bahut accha aur sahi kaha
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:09:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer