per mera hindustaa kahan hai..... ParwaaZ

by ParwaaZ on October 01, 2011, 06:30:07 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1853 times)
ParwaaZ
Guest
DostoN bazm ko mera salam,

Waise toH yeH bahut purani kalaam hai... bus aaj ke din ke liye likhi thi so
Aap sab se shar kar raha huN .......

Aaj 2 october Mohandas Karamchand Ghandhi hamare desh ke rashtra pita
Bapu ki aaj 142 vi janam tithi hai..... Aaj agar woh yahan hote to muluk ke badale hua
haal dekh sahayd yehi khayal unke zahen mein aate... Shayad Yehi sawal woh
hum se puchte...... ?

Meri yeh koshish hai ke bus unke khayalon ki aaj bhi hume zarurat hai yehi
batane ki hai... unke khayaloN ko maine apne lafzoN mein dhal ne ki koshish
ki hai.. gustakhi hui to maufi ka haqdar huN.....



Mana ke yeh muluk hai per mera hindustaaN kahan hai
Mera is jahaa ke siva aur dusra jahaaN kahan hai

Kyun yeh log sabhi chal rahe hai tanha tanha
Chala tha jo sath mere woH karwaaN kahan hai

Bana rahe hai log yahan naye naye alam e resham
Mere tirange per tha jo woh mera nishaaN kahan hai

Jang e aazaadi se bhari padi hai tareeqi kitaabeN
Aman se hasil aazaadi ki woh dastaaN kahan hai

Mahek uthti thi fizayen jisse kaynat ke zarre zarre ki
Khilaya tha maine jo chaman woh gulistaaN kahan hai

Khile khile the chehare jo mere muluk ke washindon ke
Aazaad hind ne bakshi thi inhe woh khushiyaaN kahan hai

Yeh maharashtra ye uttar yeh punjaab yeh dakkhaN
Ekta ki misaal tha jo woh mera hindustaaN kahan hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERA HUMSAFAR KAHAN HAI by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Kahan hai Mera Hindustan by qadeer_junaid in Shairy-E-Watan
parwaaz sahaab ke liye( pehli line parwaaz ki hai) rest by taasir by Taasir siddiqui in Ghazals
mera dil mera kahan by nitin raghuwanshi in Other Languages
Yar mera kahan khoya by nandbahu in Share:Poetry of Separation
drpandey
Guest
«Reply #1 on: October 01, 2011, 07:14:03 PM »
Janaab ParwaaZ sahab Aadaab..!!
Mulk ke mauzuda haalat per aapki aur ham sab longon ki chinta waazib hai..
Aaj ke halat aise hain jisme hamare mulk ki shiyasat "Divide and Rule" per chal rahi hai jo kisi bhi civilized socity ke liye theek nahin hain..!!

Aapki her ibaarat se Gandhi ji ka dard  tapak raha hai...!!


 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed
Khair mai kuchh koshish karta hoon batane ki jo ho sakta hai kabhi kaam aaye..!!

Haalaat badalne ka farmaan nikala jaaye..!
Aadmi ko naye saanche mein hi dhaala jaaye..!!

Ye Der-o-Haram, jaat, ye mazhabi masley,
Seene mein kisi bachhe ke aur Na paala jaye..!

Iemaan, yaqin, sach, kuchh pyar ke ristey,
Taleem mein enko bhi 'Adab' kahin to dala jaaye..!!     

Mana ke yeh muluk hai per mera hindustaaN kahan hai
Mera is jahaa ke siva aur dusra jahaaN kahan hai

Kyun yeh log sabhi chal rahe hai tanha tanha
Chala tha jo sath mere woH karwaaN kahan hai

Bana rahe hai log yahan naye naye alam e resham
Mere tirange per tha jo woh mera nishaaN kahan hai

Jang e aazaadi se bhari padi hai tareeqi kitaabeN
Aman se hasil aazaadi ki woh dastaaN kahan hai

Mahek uthti thi fizayen jisse kaynat ke zarre zarre ki
Khilaya tha maine jo chaman woh gulistaaN kahan hai

Khile khile the chehare jo mere muluk ke washindon ke
Aazaad hind ne bakshi thi inhe woh khushiyaaN kahan hai

Yeh maharashtra ye uttar yeh punjaab yeh dakkhaN
Ekta ki misaal tha jo woh mera hindustaaN kahan hai
[/quote]
Logged
Gyan Prakash
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 14 minutes.

Solitude..!!

Posts: 465
Member Since: Jun 2011


View Profile
«Reply #2 on: October 01, 2011, 08:38:45 PM »


Badi ghambhir baat utha di aaj aapne Parwaaz Ji...Sach kabhi-kabhi lagta hai jinhone humein aazadi dilayee..Jo lade apne desh k liye...wo aaj humein dekh kar kya sochte honge



Apne khoon se sincha jis watan ki mitti ko..
Kuchha dalal use fir bechne ko amaada hain..!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2011, 10:48:03 PM »
Dhero daad Parwaaz jee iss behad,
sanjeeda mager sachayi se bhar pur topic
par likhne kay liye..
Bahaut bahaut bahaut khoob likha hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: October 02, 2011, 04:26:55 AM »
Bahut khoob,Parwaz saheb.Khoobsurat andaz mein aap ne eik Amn ke farishte,eesar o qurbani ke paikar,aur mulk ke misali rahbar ko khiraj e aqeedat pesh ki hai aur uska dard bayan kiya hai.Kash hamaare rahnuma sirf uske naam ko cash karne ke bajai uske karmon ko apna rahnuma banayen .Aur kash hamari nai peedhi kuch khiladion aur adakaaron ko icon banaane ke bajaai Gandhi jaise faqiron ki bhi kuchh baatein jaanein aur apnain . 
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: October 02, 2011, 05:22:35 AM »
DostoN bazm ko mera salam,

Waise toH yeH bahut purani kalaam hai... bus aaj ke din ke liye likhi thi so
Aap sab se shar kar raha huN .......

Aaj 2 october Mohandas Karamchand Ghandhi hamare desh ke rashtra pita
Bapu ki aaj 142 vi janam tithi hai..... Aaj agar woh yahan hote to muluk ke badale hua
haal dekh sahayd yehi khayal unke zahen mein aate... Shayad Yehi sawal woh
hum se puchte...... ?

Meri yeh koshish hai ke bus unke khayalon ki aaj bhi hume zarurat hai yehi
batane ki hai... unke khayaloN ko maine apne lafzoN mein dhal ne ki koshish
ki hai.. gustakhi hui to maufi ka haqdar huN.....



Mana ke yeh muluk hai per mera hindustaaN kahan hai
Mera is jahaa ke siva aur dusra jahaaN kahan hai

Kyun yeh log sabhi chal rahe hai tanha tanha
Chala tha jo sath mere woH karwaaN kahan hai

Bana rahe hai log yahan naye naye alam e resham
Mere tirange per tha jo woh mera nishaaN kahan hai

Jang e aazaadi se bhari padi hai tareeqi kitaabeN
Aman se hasil aazaadi ki woh dastaaN kahan hai

Mahek uthti thi fizayen jisse kaynat ke zarre zarre ki
Khilaya tha maine jo chaman woh gulistaaN kahan hai

Khile khile the chehare jo mere muluk ke washindon ke
Aazaad hind ne bakshi thi inhe woh khushiyaaN kahan hai

Yeh maharashtra ye uttar yeh punjaab yeh dakkhaN
Ekta ki misaal tha jo woh mera hindustaaN kahan hai

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah aur waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah kya kalaam pesh kiya hai
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: October 02, 2011, 06:16:22 AM »
Parwaaz sahab--namaskaar!!

wese to Sarfira kabhi desh aur mahaan logo par likhi gai post nahi padhta--khaskar desh ki maujuda haalatoN par likhi baate mai padhta hi nhi kabhi--

lekin aapki ye post itni sanjeedgi se likhi gai hai ki bas--
kuch kuch sanjeeda sa ho gaya apna bhi Sarfira dimaag Usual Smile
bahot bahot saari daad kubul kareN
aur haan--
behad se jaada sahi soch likhi aapne Gandhiji ke dil ki baate--shayd ve aur saare mahaan logo ki yahi soch hoti aaj ke haalaton ko dekh kar.
muskurate raheN
khus raheN
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: October 02, 2011, 06:36:06 AM »
Pandey Jee Aadaab!

Bahut bahut shukriyaa janab.. kalaam ko padhne ke liye aur
houNsla afzaai ke liye.. Janab aapke vichaar bhi bahut khoob
rahe.. Behad sahiN kaha aapne...

Aap bhi is kalaam ko pura kijiye... Likhate rahiye..
Aate rahiye... khush O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile



Janaab ParwaaZ sahab Aadaab..!!
Mulk ke mauzuda haalat per aapki aur ham sab longon ki chinta waazib hai..
Aaj ke halat aise hain jisme hamare mulk ki shiyasat "Divide and Rule" per chal rahi hai jo kisi bhi civilized socity ke liye theek nahin hain..!!

Aapki her ibaarat se Gandhi ji ka dard  tapak raha hai...!!


 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed
Khair mai kuchh koshish karta hoon batane ki jo ho sakta hai kabhi kaam aaye..!!

Haalaat badalne ka farmaan nikala jaaye..!
Aadmi ko naye saanche mein hi dhaala jaaye..!!

 Applause Applause Applause

Ye Der-o-Haram, jaat, ye mazhabi masley,
Seene mein kisi bachhe ke aur Na paala jaye..!

 Applause Applause Applause

Iemaan, yaqin, sach, kuchh pyar ke ristey,
Taleem mein enko bhi 'Adab' kahin to dala jaaye..!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

     



Logged
khujli
Guest
«Reply #8 on: October 02, 2011, 07:20:34 AM »
DostoN bazm ko mera salam,

Waise toH yeH bahut purani kalaam hai... bus aaj ke din ke liye likhi thi so
Aap sab se shar kar raha huN .......

Aaj 2 october Mohandas Karamchand Ghandhi hamare desh ke rashtra pita
Bapu ki aaj 142 vi janam tithi hai..... Aaj agar woh yahan hote to muluk ke badale hua
haal dekh sahayd yehi khayal unke zahen mein aate... Shayad Yehi sawal woh
hum se puchte...... ?

Meri yeh koshish hai ke bus unke khayalon ki aaj bhi hume zarurat hai yehi
batane ki hai... unke khayaloN ko maine apne lafzoN mein dhal ne ki koshish
ki hai.. gustakhi hui to maufi ka haqdar huN.....



Mana ke yeh muluk hai per mera hindustaaN kahan hai
Mera is jahaa ke siva aur dusra jahaaN kahan hai

Kyun yeh log sabhi chal rahe hai tanha tanha
Chala tha jo sath mere woH karwaaN kahan hai

Bana rahe hai log yahan naye naye alam e resham
Mere tirange per tha jo woh mera nishaaN kahan hai

Jang e aazaadi se bhari padi hai tareeqi kitaabeN
Aman se hasil aazaadi ki woh dastaaN kahan hai

Mahek uthti thi fizayen jisse kaynat ke zarre zarre ki
Khilaya tha maine jo chaman woh gulistaaN kahan hai

Khile khile the chehare jo mere muluk ke washindon ke
Aazaad hind ne bakshi thi inhe woh khushiyaaN kahan hai

Yeh maharashtra ye uttar yeh punjaab yeh dakkhaN
Ekta ki misaal tha jo woh mera hindustaaN kahan hai




 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #9 on: October 02, 2011, 07:50:29 AM »
DostoN bazm ko mera salam,

Waise toH yeH bahut purani kalaam hai... bus aaj ke din ke liye likhi thi so
Aap sab se shar kar raha huN .......

Aaj 2 october Mohandas Karamchand Ghandhi hamare desh ke rashtra pita
Bapu ki aaj 142 vi janam tithi hai..... Aaj agar woh yahan hote to muluk ke badale hua
haal dekh sahayd yehi khayal unke zahen mein aate... Shayad Yehi sawal woh
hum se puchte...... ?


Meri yeh koshish hai ke bus unke khayalon ki aaj bhi hume zarurat hai yehi
batane ki hai... unke khayaloN ko maine apne lafzoN mein dhal ne ki koshish
ki hai.. gustakhi hui to maufi ka haqdar huN.....



Mana ke yeh muluk hai per mera hindustaaN kahan hai
Mera is jahaa ke siva aur dusra jahaaN kahan hai

Kyun yeh log sabhi chal rahe hai tanha tanha
Chala tha jo sath mere woH karwaaN kahan hai

Bana rahe hai log yahan naye naye alam e resham
Mere tirange per tha jo woh mera nishaaN kahan hai

Jang e aazaadi se bhari padi hai tareeqi kitaabeN
Aman se hasil aazaadi ki woh dastaaN kahan hai

Mahek uthti thi fizayen jisse kaynat ke zarre zarre ki
Khilaya tha maine jo chaman woh gulistaaN kahan hai

Khile khile the chehare jo mere muluk ke washindon ke
Aazaad hind ne bakshi thi inhe woh khushiyaaN kahan hai

Yeh maharashtra ye uttar yeh punjaab yeh dakkhaN
Ekta ki misaal tha jo woh mera hindustaaN kahan hai

PArwaaz Saheb Aadaab!

BAhut Hi KhoobSurat Kalam Likhi HAi Janab

Dil Se Bahut Si Daaaaaaaaaaaaaad KAbool Kijye
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: October 02, 2011, 07:13:21 PM »


Badi ghambhir baat utha di aaj aapne Parwaaz Ji...Sach kabhi-kabhi lagta hai jinhone humein aazadi dilayee..Jo lade apne desh k liye...wo aaj humein dekh kar kya sochte honge



Apne khoon se sincha jis watan ki mitti ko..
Kuchha dalal use fir bechne ko amaada hain..!!


GP Jee Aadaab!

Exacty correct... You got my massage.. Hum badi khushi huyi..
aapne jo kahaa woHi humara kahna hai.. ke kia se kia haal ho
gaya hai humare mulk ka..

Waise is mudde par bahas karne se kuch hasil nahi.. sad5
Wel aapne bhi behad khoob aur sahiN sher kaha hai daad..

Aate rahiye.. hounslaa afzai karte rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
Khudaa Hafez.. Usual Smile         

Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: October 04, 2011, 02:37:22 AM »
Parwaaz bhai adaab
2 dino se apki ye post padne ki koshish me tha. 9 bar khola bhi lein har bar hang problem. aj safalta mili.
bahut sanjeeda khayal likha hai apne. sabne itna likh diya hai ki age mere pas shabd nahi..
apki deshbhakti ko salaam.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:34:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer