phir wahi INQUILAB chaahiye... Intezar !

by Intezar on August 14, 2011, 05:47:04 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 7651 times)
Intezar
Guest


Watan par ho rahe zulmo ka ab hume hisaab chaahiye
watan ke rakhwaalon se waada khilaafi ka jawab chaahiye

Ek arsa huaa sarhade hain ek hi ghar me aye watan ke logo
hume wahi puraana Kashmir, wahi puraana punjaab chaahiye

nafratoN ke kaante boye bahut, siyayasat daaron ne yahan
ek hi mitti mein khilta hume ek khubsurat gulaab chaahiye

dhundli si neende dab gayi hai nafrat ke dhuein tale
phir khushnuma aankhon me kuch sunahre khwaab chaahiye

kaun bayaan kare kisse qurbaani ke mere watan ke khaatir
Sarfaroshi lahu me bharde jo, gazal ki wo purani kitaab chaahiye

watan ke pairon se tod de jo saazishon ki bediyaaN Intezar
phir wahi Sukhdev, Rajguru, Bhagat wala Inquilab chaahiye… !


Shukriya
Intezar !


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Phir wahi raat ayi! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Phir wahi raat ayi hai! by salma786 in Shayri for Dard -e- Judai
Phir bhi geet wahi purana gata hun by rawattanha in Share:Miscellaneous Shayari
!!!..Phir se wahi zindagi..!!! by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
!!!..Phir se wahi zindagi..Nice Song and video..!!! by nashwani in Share Video
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 14, 2011, 05:48:56 PM »
bahut khub


Watan par ho rahe zulmo ka ab hume hisaab chaahiye
watan ke rakhwaalon se waada khilaafi ka jawab chaahiye

Ek arsa huaa sarhade hain ek hi ghar me aye watan ke logo
hume wahi puraana Kashmir, wahi puraana punjaab chaahiye

nafratoN ke kaante boye bahut, siyayasat daaron ne yahan
ek hi mitti mein khilta hume ek khubsurat gulaab chaahiye

dhundli si neende dab gayi hai nafrat ke dhuein tale
phir khushnuma aankhon me kuch sunahre khwaab chaahiye

kaun bayaan kare kisse qurbaani ke mere watan ke khaatir
Sarfaroshi lahu me bharde jo, gazal ki wo purani kitaab chaahiye

watan ke pairon se tod de jo saazishon ki bediyaaN Intezar
phir wahi Sukhdev, Rajguru, Bhagat wala Inquilab chaahiye… !


Shukriya
Intezar !


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2011, 06:22:38 PM »
Intezaar Sahaab Aadaab!

Janab kia kahne aapke is umdaa kalaam ke Usual Smile
Aap bhi behad gehri soNch rakhte hai janab
badi gehrai se soch samjh kar aapne kalaam
ko anjaam diyaa ... Waah janab waah Usual Smile

         





Watan par ho rahe zulmo ka ab hume hisaab chaahiye
watan ke rakhwaalon se waada khilaafi ka jawab chaahiye

Ek arsa huaa sarhade hain ek hi ghar me aye watan ke logo
hume wahi puraana Kashmir, wahi puraana punjaab chaahiye

Bahut khoob Janab Kia gazab ki soch kahi hai daad Usual Smile         

nafratoN ke kaante boye bahut, siyayasat daaron ne yahan
ek hi mitti mein khilta hume ek khubsurat gulaab chaahiye

dhundli si neende dab gayi hai nafrat ke dhuein tale
phir khushnuma aankhon me kuch sunahre khwaab chaahiye

kaun bayaan kare kisse qurbaani ke mere watan ke khaatir
Sarfaroshi lahu me bharde jo, gazal ki wo purani kitaab chaahiye

Masha Allah bahut khoob ... daad daad daad Usual Smile         

watan ke pairon se tod de jo saazishon ki bediyaaN Intezar
phir wahi Sukhdev, Rajguru, Bhagat wala Inquilab chaahiye… !

  Applause Applause Applause Applause Applause         


Shukriya
Intezar !



Kia baat hai janab behad Inqalaabi kalaam kahi hai
aapne... humari dheroN daad aur mubarakbaad kabul kijiye Usual Smile


Likhate rahiye.. Khush O aabaad rahiye
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 14, 2011, 07:56:56 PM »
Waah Waah waah Intezar Ji..

Umda peshkash..bahut bahut Khoooooob

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: August 14, 2011, 08:00:05 PM »


Watan par ho rahe zulmo ka ab hume hisaab chaahiye
watan ke rakhwaalon se waada khilaafi ka jawab chaahiye

Ek arsa huaa sarhade hain ek hi ghar me aye watan ke logo
hume wahi puraana Kashmir, wahi puraana punjaab chaahiye

nafratoN ke kaante boye bahut, siyayasat daaron ne yahan
ek hi mitti mein khilta hume ek khubsurat gulaab chaahiye

dhundli si neende dab gayi hai nafrat ke dhuein tale
phir khushnuma aankhon me kuch sunahre khwaab chaahiye

kaun bayaan kare kisse qurbaani ke mere watan ke khaatir
Sarfaroshi lahu me bharde jo, gazal ki wo purani kitaab chaahiye

watan ke pairon se tod de jo saazishon ki bediyaaN Intezar
phir wahi Sukhdev, Rajguru, Bhagat wala Inquilab chaahiye… !


Shukriya
Intezar !




bahut khoob intezaar sahab


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #5 on: August 15, 2011, 06:42:36 AM »
bht hi umda peshkash intezaar ji.....
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: August 15, 2011, 10:22:01 AM »
bahut khoob,intezar saheb !
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: August 15, 2011, 05:08:05 PM »
bahut bahut shukriya manoj ji...

Intezar !

bahut khub
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: August 15, 2011, 05:13:00 PM »
parwaj sahab... main aapka tahe dil se shukra gujaar hun... aapne meri koshish ko kisi kaabil samjha... bahut bahut shukriya...

Intezar !

Intezaar Sahaab Aadaab!

Janab kia kahne aapke is umdaa kalaam ke Usual Smile
Aap bhi behad gehri soNch rakhte hai janab
badi gehrai se soch samjh kar aapne kalaam
ko anjaam diyaa ... Waah janab waah Usual Smile

         



Kia baat hai janab behad Inqalaabi kalaam kahi hai
aapne... humari dheroN daad aur mubarakbaad kabul kijiye Usual Smile


Likhate rahiye.. Khush O aabaad rahiye
Khuda Hafez Usual Smile         


Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: August 15, 2011, 05:16:03 PM »
shukriya khwaish bhai... har baar saath dene ke tahe dil se shukriya... yun hi saath rehiyega...

Intezar !

Waah Waah waah Intezar Ji..

Umda peshkash..bahut bahut Khoooooob

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: August 15, 2011, 05:16:40 PM »
Sheba ji aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !


bahut khoob intezaar sahab


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: August 15, 2011, 05:18:05 PM »
shukriya Priya ji.. aapne ne chhoti si koshish ko pasand kiya...

Intezar !

bht hi umda peshkash intezaar ji.....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:52:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer