Plestine ke liye Awaz Uthate Kyoon Nahi !!

by abdulqadeer on January 11, 2009, 10:25:22 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3573 times)
abdulqadeer
Guest
Ye Ghazal maine Phlestine ki basbasi ko khuli ankhoon se dekhne wale har wo arab country ko dyhan me rakhte howe likhi hai !! aur kiske against me likhi app mere isharoon se samjh jayen agar ghazal tak pahonch gaye to !!tawajo chahonga !!


Sub milke uske qilaaf awaz uthate kyoon nahi !!
Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Agar eak ho ja-o-ge tum to gazi kahela-o-ge !!
Apni taqath ko eak baar azmate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Tumhari sar zameen pe paida howe umar aur hussain !!
Leke howi jazba had se guzar jate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Duniya ke har daur me tumne fate payi  hai !!
Is daur me bhi ayyub ki tariq dahorate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon  nahi !!

Tumhari sarzameen se milti hai pure alam ko raushni !!
Fir apne andheroon me charag jalate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Allah bakshe ga unhe hussain ke hausle qadeer !!
Bus eak baar wo apne hausloon ko azamate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon  nahi !!

Sub milke uske qilaaf awaz uthate kyoon nahi !!

Qadeer Toopchi
An Indian
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Uthate hai jab ye haath dua ke liye by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
aansuon ke chalne ki awaz nahi hoti by jaswinder singh jassi in Shayri-E-Dard
**~~~**KYOON**~~~** by vikrant29 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
KYOOn KAREn HUM GILA by GURCHARAN NARANG in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Awaz nahi dete by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: January 11, 2009, 10:27:52 AM »
Another nice one Qadeer Ji
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 11, 2009, 11:06:09 AM »
Another nice one Qadeer Ji

Thanks A lot Rajesh Ji !!

Qadeer Toopchi
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #3 on: January 11, 2009, 11:14:51 AM »
Ye Ghazal maine Phlestine ki basbasi ko khuli ankhoon se dekhne wale har wo arab country ko dyhan me rakhte howe likhi hai !! aur kiske against me likhi app mere isharoon se samjh jayen agar ghazal tak pahonch gaye to !!tawajo chahonga !!


Sub milke uske qilaaf awaz uthate kyoon nahi !!
Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Agar eak ho ja-o-ge tum to gazi kahela-o-ge !!
Apni taqath ko eak baar azmate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Tumhari sar zameen pe paida howe umar aur hussain !!
Leke howi jazba had se guzar jate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Duniya ke har daur me tumne fate payi  hai !!
Is daur me bhi ayyub ki tariq dahorate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon  nahi !!

Tumhari sarzameen se milti hai pure alam ko raushni !!
Fir apne andheroon me charag jalate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon nahi !!

Allah bakshe ga unhe hussain ke hausle qadeer !!
Bus eak baar wo apne hausloon ko azamate kyoon nahi !!

Jo zinda ho agar to zinda nazar ate kyoon  nahi !!

Sub milke uske qilaaf awaz uthate kyoon nahi !!

Qadeer Toopchi
An Indian


Jee abdulqadir saab...aapke Ishaare bahot kuch Nishan dehi farma rahe hai..Daur e HaziraaN ki Sabse badi baat ko aapne ba'khoobi rakha hai..Insha allah Hazrat e Sultaan salahuddin ibne Najamuddin Ayyubi..." sultan Yusuf " Ki Taarikhi Dastawez se kuch Unk Khutbaat pesh Karuga Kuch Poem or Dastaan e Missra Mein..waqt ki kaafi Qillat hai aaj..Fir Kabhi Insha allaah..

allah aapki in qaavisho k badle Jazaa e Khair ata Farmaye..amin  
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: January 11, 2009, 11:21:26 AM »
Jee abdulqadir saab...aapke Ishaare bahot kuch Nishan dehi farma rahe hai..Daur e HaziraaN ki Sabse badi baat ko aapne ba'khoobi rakha hai..Insha allah Hazrat e Sultaan salahuddin ibne Najamuddin Ayyubi..." sultan Yusuf " Ki Taarikhi Dastawez se kuch Unk Khutbaat pesh Karuga Kuch Poem or Dastaan e Missra Mein..waqt ki kaafi Qillat hai aaj..Fir Kabhi Insha allaah..

allah aapki in qaavisho k badle Jazaa e Khair ata Farmaye..amin  

Shukran Janab !! Urdu me bade ustaab lagte hai muhammaed bhai app !! chalo apne mere isharoon ko baqubi samjha aur apki is izzath afza-e-ka shukar guzar hon !! allah apko hamesha is shirin tahezib se jude rakhe !! aur hamesha salamath rakhe Ameen!!

Qadeer Toopchi
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: January 11, 2009, 11:45:13 AM »
Abdul ji bohat khoob... Applause
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2009, 12:00:16 PM »
Shukran Janab !! Urdu me bade ustaab lagte hai muhammaed bhai app !! chalo apne mere isharoon ko baqubi samjha aur apki is izzath afza-e-ka shukar guzar hon !! allah apko hamesha is shirin tahezib se jude rakhe !! aur hamesha salamath rakhe Ameen!!

Qadeer Toopchi

Thanks  a lot Honey Ji

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 11, 2009, 12:24:51 PM »
Abdul ji bohat khoob... Applause

Thanks A lot Honey Ji Apne Meri Har Ghazal Ko Izzath Di Hai Janab Apka Ahesan mand hon mai !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 11, 2009, 12:41:24 PM »
Subhan Allah Subhan Allah,.
Bohat Hi Badhiya Likha Hai Bhaijaan Aapne,.

Kaash Ke Arab Mulkon Ke Badshaa, Pupet Na Hote,.
Wo Bhi Jigar Rakhte, Hazar Umar {RZ}, ALI {RZ}, Ka,.
Wo Bhi Angrezon KO Shikast Dete, Hazrat Sultan Ayyubi Ki {RA} Ki Tarah,.

Jaane Kyun ye Log, Samajh Nahi Paa Rahe Hain, Ke Aag Jis Chataai Ke Kone Me Lagi Hai, Wo Aag Beech Tak Pahoonch Chaayegi,.
Kyun Ye Log, Us AAG kO Bujhaa Nahi Paa Rahe hain,.
Kyun Ye Log, Islaam Ka Naam Badnaam Kar Rahe Hain,.
Apni Is Buzdilaana Harkat Se,.

Allah Hi Bachaaye,.
Allah Hi Jaane,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 11, 2009, 12:56:58 PM »
Ek Wo The, Arab Ki Zameen Par, "Azeem,.
Jinse Duniya To Duniya, Shaitaan Bhi Daraa Karte The,.

Ek Wo The, Arab Ki Zameen Par, "Azeem,.
Jo Talwaaron Ke Beech Rehkar Bhi, Lakdiyon Se Lardaa Karte The,.

Ab Kya Hua Hai, Us Zameen Par Basne Waalon Ko,.
Sher"on Ki Zameen Par, Dekho Gidaar Rehne Lage,.

Angrezon Ki Ghulaami Karli, Inhonem,
Ab To In Sabke, Zulm-o-Sitam Bhi Sehne Lage,.

______________________-Jaanasheen-



Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: January 11, 2009, 12:58:26 PM »
Subhan Allah Subhan Allah,.
Bohat Hi Badhiya Likha Hai Bhaijaan Aapne,.

Kaash Ke Arab Mulkon Ke Badshaa, Pupet Na Hote,.
Wo Bhi Jigar Rakhte, Hazar Umar {RZ}, ALI {RZ}, Ka,.
Wo Bhi Angrezon KO Shikast Dete, Hazrat Sultan Ayyubi Ki {RA} Ki Tarah,.

Jaane Kyun ye Log, Samajh Nahi Paa Rahe Hain, Ke Aag Jis Chataai Ke Kone Me Lagi Hai, Wo Aag Beech Tak Pahoonch Chaayegi,.
Kyun Ye Log, Us AAG kO Bujhaa Nahi Paa Rahe hain,.
Kyun Ye Log, Islaam Ka Naam Badnaam Kar Rahe Hain,.
Apni Is Buzdilaana Harkat Se,.

Allah Hi Bachaaye,.
Allah Hi Jaane,.




Bahoth Bahoth Shukriya Azeem Bhai apne mere Kalam izzath bakshi banda apka ahesan mand hai !! May allah peace upon plestine !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #11 on: January 11, 2009, 01:02:28 PM »
Ek Wo The, Arab Ki Zameen Par, "Azeem,.
Jinse Duniya To Duniya, Shaitaan Bhi Daraa Karte The,.

Ek Wo The, Arab Ki Zameen Par, "Azeem,.
Jo Talwaaron Ke Beech Rehkar Bhi, Lakdiyon Se Lardaa Karte The,.

Ab Kya Hua Hai, Us Zameen Par Basne Waalon Ko,.
Sher"on Ki Zameen Par, Dekho Gidaar Rehne Lage,.

Angrezon Ki Ghulaami Karli, Inhonem,
Ab To In Sabke, Zulm-o-Sitam Bhi Sehne Lage,.

______________________-Jaanasheen-





Mashallah Bahoth Sahilikha hai apne azeem !!allah apke kalam izzath bakshe !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 11, 2009, 01:38:28 PM »
Shukriya Qadeer Bhaijaan,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: January 11, 2009, 02:48:29 PM »
Bohat Khoob Qadeer bas ek choti si gustakhi kar raha hu....

Teri baat pasand aayee, teri soch samaj nahi aayee
Q bhoolta hain nabi ka kaul har musalman aapes me hain bhai

Nahi behtar koi gora kisi kale se
Nahi behtar koi arab kisi aur zameen me rehne wale se

Agar man bhi le GHAYEL zinda nahi arab
Tum bhi to musalman ho kya kiya tumne ab talak

               -SG-
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #14 on: January 12, 2009, 04:31:32 AM »
Bohat Khoob Qadeer bas ek choti si gustakhi kar raha hu....

Teri baat pasand aayee, teri soch samaj nahi aayee
Q bhoolta hain nabi ka kaul har musalman aapes me hain bhai

Nahi behtar koi gora kisi kale se
Nahi behtar koi arab kisi aur zameen me rehne wale se

Agar man bhi le GHAYEL zinda nahi arab
Tum bhi to musalman ho kya kiya tumne ab talak

               -SG-


Sajid bhai Apki Ghazal padi maine aur usko samjha bhi maafi chahata hon ke maine khuch aisa mahesoos kiya ke Apko Shayad ye bura laga ke maine arab ki sarzameen ko bada chada ke bolo !! magar wo sarzameen hai tareef ke qabil mere bhai !! Mai manta hon ke duniya me rahene wale insaan sub eak jaise hain koi bada nahi aur koi chuta nahi magar koi sarzamee ko us sarzamee se na mila-o-to bahetar hai.


Aisi Bahoth si Qusisiyaten hain uss zameen jo inshallah kabhi ghazal me pesh karonga sajid bhai !!

Allah ne ussi zameen pe nabiyoon ko utara kyoon hai !!
Ussi zameen pe uski rahemat ka qazana kyoon hai !!
Agar nahi maante zameen ki qusosiyath ko tum !!
To bolo fir ussi zameen pe banaya “Kaaba”  kyoon hai !!

Wo zameen na kabhi  napaak thi, na hai, na hogi !!
Ye is bath ki daleel hai ke “isa” (Alssw ) ki fir se wahin amad hogi !!

Aisi Bahoth si Qusisiyaten hain uss zameen ko jo inshallah kabhi ghazal me pesh karonga sajid bhai !!

Har zameen ko us zameen se na mila-o- wahan gumbade qidra hai!!
Har jagah sirf insaan rahete hain wahan nabiyon ka basera hai!!

Agar maine khuch galath kaha ho to maafi chahata hon sajid bhai !! Allah Hum sub ko taufiq ata farmaye Ameen Sum Ameen !!

Qadeer Toopchi
An Indian
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:09:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer