plz do read n post ur comments

by shayara__udita on September 29, 2005, 10:17:57 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 9010 times)
shayara__udita
Guest


mujhe garv hai ki main hu ek aurat,
usse bhi badkar garv hai ki mera desh hai bharat.
bharat ek aisa desh hai jahan auraton ko devi ka darza diya jata,
aur bharat hi wahi desh hai jahan adhiktar auraton ka balatkar kiya jata.
ek taraf school-collego me ladkiyo ke liye special reservation rakha jata hai,
dusre taraf ladki ki nabalik awastha me shaadi kar diya jata hai.
ajeeb se kuch rasme hai,
bharat me hi jo dikhte hai.
aurat ko agar beta huya to usse zyada khushnaseeb aur koi nahin,
lekin galti se gar ladki hui to-"kalmuhi,tu mar kyu nahi gayi".
arrey!chodo yeh dikhavat,
har bat me milavat.
do auraton ko unka asli darza,
hai humme itna dum ki utar denge apka sara karza.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 29, 2005, 08:27:39 PM »
nice try shayara__udita!! apka subject bahoot hi acha hai..
Logged
anitha
Guest
«Reply #2 on: October 25, 2005, 05:00:22 AM »
nice one shayara_udita...welcome to yoindia
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #3 on: February 04, 2006, 08:21:07 AM »
nice thinking udita...........keep writing
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #4 on: February 13, 2006, 09:41:23 PM »
nice udita.........
i love being a woman!
and wheneva im upset or sad
i always say im a woman......
and make myself feel better!

really very nice
Logged
D K
Guest
«Reply #5 on: February 16, 2006, 11:19:38 PM »
thats was really nice...

difference in culture, perceptions exist everywhere ... u shud be proud tht u r a women ... one of the most wonderful creations of God .... so sophisticated yet so simple .. so soft yet so strong ... so beautiful yet so humble ...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: February 23, 2006, 01:01:10 PM »
Quote from: "shayara__udita"


mujhe garv hai ki main hu ek aurat,
usse bhi badkar garv hai ki mera desh hai bharat.
bharat ek aisa desh hai jahan auraton ko devi ka darza diya jata,
aur bharat hi wahi desh hai jahan adhiktar auraton ka balatkar kiya jata.
ek taraf school-collego me ladkiyo ke liye special reservation rakha jata hai,
dusre taraf ladki ki nabalik awastha me shaadi kar diya jata hai.
ajeeb se kuch rasme hai,
bharat me hi jo dikhte hai.
aurat ko agar beta huya to usse zyada khushnaseeb aur koi nahin,
lekin galti se gar ladki hui to-"kalmuhi,tu mar kyu nahi gayi".
arrey!chodo yeh dikhavat,
har bat me milavat.
do auraton ko unka asli darza,
hai humme itna dum ki utar denge apka sara karza.


"Aapke Lafzon ne mere Zehan ko kuch iss kadar Zhikzhor diya hai
Likhna padd raha hai phir bhi jabki maine kalam karna chor diya hai"

Har ek aurat ko diya hai bhagwaan ne maa ka darZa
Gar bana pahna.oun aapni khal ka juta to bhi na utar pa.un meri maa karZa
Kaisa ye samaj hai ? Kyun dushit harr beej harr anaaj hai?
mamta ki talaash mein bhataka dil aaj hai
fhir yaad aaya beete dino ki uske swargwas ka dinn aaj hai
matt khona bhaiyon isse mamta to ek taaj hai
khushnasbi hai aapni ki mamta ne diya humko Soorveeron ka darza
Veervaan hone ka darza . . . . . . . . . . karamveer hone ka darza
Kaise karun shukriya ey-maa kaise chuka.oun tera karza!!!!


Hai Gujarish tumse ey-shayara_udita ..... iss dhar ko
Iss kranti ko...Iss ILm ko tum rakha yunhi barkarar
Maine suni hai cheekhein maine suni hai kahin pukar
Matretav ki Jahan baat ho aaunga mai cheer har ek deewar!!
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #7 on: February 23, 2006, 07:06:03 PM »
kya kahe koi jawab nahi.... mind blowing shayaraji.... keep it up.... bahot aachiii likhtee hai aap..... gr8....

& gr8 one neer bhai... kya likha hai dono ki likhawat me koi milawat nahi hai..... really too much good...... ab kya kahoooo choti moo badi baat..... really amazing..... Usual Smile
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #8 on: March 02, 2006, 05:53:17 AM »
Quote from: "shayara__udita"


mujhe garv hai ki main hu ek aurat,
usse bhi badkar garv hai ki mera desh hai bharat.
bharat ek aisa desh hai jahan auraton ko devi ka darza diya jata,
aur bharat hi wahi desh hai jahan adhiktar auraton ka balatkar kiya jata.
ek taraf school-collego me ladkiyo ke liye special reservation rakha jata hai,
dusre taraf ladki ki nabalik awastha me shaadi kar diya jata hai.
ajeeb se kuch rasme hai,
bharat me hi jo dikhte hai.
aurat ko agar beta huya to usse zyada khushnaseeb aur koi nahin,
lekin galti se gar ladki hui to-"kalmuhi,tu mar kyu nahi gayi".
arrey!chodo yeh dikhavat,
har bat me milavat.
do auraton ko unka asli darza,
hai humme itna dum ki utar denge apka sara karza.



Oas ki boond si hoti hai..betiyan..
Sparsh khurdara ho to roti hai..betiyan...
Roshan karega beta to bus ek hi kul ko..
Do do kulon ki laaz ko dhoti hai..betiyan.
Koi nahi e doston ek dusre se kam...
Heera agar hai beta, to sucha moti hoti hai.... betiyan...
Kanton ki raah pe ye khud hi chalti rahengi...
Auron ke liye phool hi boti hai...betiyan..
Vidhi ka vidhan hai,yahi, duniya ki rasam hai... Muthi bhar neer si
hoti hai... BETIYAN..


nm...
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2006, 05:41:18 AM »
very nice post shayara... hmmmm. very good thinking...

mera bharat mahaan...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 19, 2006, 02:20:45 PM »
Quote from: "shayara__udita"


mujhe garv hai ki main hu ek aurat,
usse bhi badkar garv hai ki mera desh hai bharat.
bharat ek aisa desh hai jahan auraton ko devi ka darza diya jata,
aur bharat hi wahi desh hai jahan adhiktar auraton ka balatkar kiya jata.
ek taraf school-collego me ladkiyo ke liye special reservation rakha jata hai,
dusre taraf ladki ki nabalik awastha me shaadi kar diya jata hai.
ajeeb se kuch rasme hai,
bharat me hi jo dikhte hai.
aurat ko agar beta huya to usse zyada khushnaseeb aur koi nahin,
lekin galti se gar ladki hui to-"kalmuhi,tu mar kyu nahi gayi".
arrey!chodo yeh dikhavat,
har bat me milavat.
do auraton ko unka asli darza,
hai humme itna dum ki utar denge apka sara karza.


bahut aachi kosis hai udita ji... per shabd hum bhi kehna chahenge...sehmat ho to reply dena asahmat ho to virod kerna..

humko garv hai ki hum bharat vashi hai.
kuch cheeje hai inki jo ek dum avinashi hai.
mana ki aurat devi hai ghar ke kaston ki taran hai.
per jitne jhagre hote jag mein aurat hi unki karan hai.
kuch ko abla kaha gaya aur.. kuch ko shakti kaha gaya.
saath badi jub mardo ke usay atirokti kaha gaya.
shadi ker ke bete aapne hi dukh ko bte hai.
sab se zada jhare kyn ki saas bahu mein hote hai
ladki ke sarir ka soshan ho to her ghar mein jaana aata.
aur.. ladki ladke ka soshan kare to balatkaar nhi maana jaata
kya kare hum desh ki is vyavastha per hum hersh.
per phir bhi dil se kehna perta aapna pyaara bharatvarsh
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2006, 04:10:54 PM »
bahoot khoob Mili, Neer and Dost Kavi ji.. sabhi ne ek se bad ker ek kamaal ka likha hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 21, 2006, 01:20:47 PM »
thank you pooja ji per kuch likh ke jaati to aacha lagta..
Logged
sukha
Guest
«Reply #13 on: August 09, 2006, 12:44:33 AM »
Quote from: "shayara__udita"


mujhe garv hai ki main hu ek aurat,
usse bhi badkar garv hai ki mera desh hai bharat.
bharat ek aisa desh hai jahan auraton ko devi ka darza diya jata,
aur bharat hi wahi desh hai jahan adhiktar auraton ka balatkar kiya jata.
ek taraf school-collego me ladkiyo ke liye special reservation rakha jata hai,
dusre taraf ladki ki nabalik awastha me shaadi kar diya jata hai.
ajeeb se kuch rasme hai,
bharat me hi jo dikhte hai.
aurat ko agar beta huya to usse zyada khushnaseeb aur koi nahin,
lekin galti se gar ladki hui to-"kalmuhi,tu mar kyu nahi gayi".
arrey!chodo yeh dikhavat,
har bat me milavat.
do auraton ko unka asli darza,
hai humme itna dum ki utar denge apka sara karza.




Guru Nanak ji ne 500 saal pehle hi ye keh diya tha jab koi essa sochta bhi tha to kano mein brahman log sikka dal dete the
" so kyon manda akhiye jit janme rajan"

use bura kyon kehte ho jo rajaon ko janam dene wali hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: August 09, 2006, 04:32:49 AM »
wah  Udita  ji.........aap  ne  bahot sahi  kaha.....mujhe  acchi lagi  aap ki  baat.....  nice  thinking......
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:37:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer