raaj neta aur raajniti

by bekarar on January 18, 2009, 07:32:24 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2482 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
shruaati chaar lines me maine aaj ki aantanki ghatnaaon ko zehan me rakha hai aur fir ek rajneta ki soch hai ..jisme maine jodhpur mandir me hue hadase aur aaye din hone wale traffic jaam ko bhi sametne ki koshish ki hai.......

Pashuon ki si mansikta ko apnaate saare Dharam
Tode mandir, masjid giraye, todte ye sab bharam,

Haathon me talwar liye, visfotakon ko dho rahe,
Socho bhala kya samajh saken hain ye dharma ka maram

Mujhe puchte hain log kuch kya hai tumhara dharma,
Insaniyat hai dharm mera kah gaya mai besharam,

Har dhrm se kathin dagar hai janta hun thik se,
Fir kahne me jaata bhi kya hai, rahne bhi do ye bharam,

Nahi kampta mera kaleja, in laashon ko dekhkar,
cheekhon ko sunkar bhi mera, Nahi hua hriday naram

laashon ke dher lage hain, aur mai khamosh hun
meri chuppi ka mat-lab hai, mahoul hai abhi garam

bhul jayenge chand dino me kya hua, kitne mare,
usake baad ye kahan, mai kahan, kaise ghaav, kaisa mar-ham,

har waqt videshi taakton ke naam se bharmata raha,
desh jaaye bhaad me, salamat rahe mera haram,

antank-waadiyon ka safaya, kyun-kar bhala karenge hum
humare hi dum se hai wo, aur unke dum se hum

meri vajah se mandiron me jane gar jaati bhi hai to,
kya pooja karma chod dun, kya yahi hai mera dharma

traffic gar hotr hain jam to kya ghar se bhi na nikle hum
tumhe badalni hogi raahen, door hat be besharam,

bewkoofon tumhe dekhkar hansta hun mai kabhi kabhi
tumhi jaise logon se to lahra raha mera parcham,

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Humaare Neta...! by sharmaarunkumar in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Aaj ke neta ke naam!!! by Talat in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
raaj by gstyagi in Shayri-E-Dard
Raaj Pathar ka! by nirbhay in Miscellaneous Shayri
EK TO MEHANGAI UPAR SE YEH RAAJNITI !!! by khwahish in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 18, 2009, 07:38:49 AM »
 Applause Applause Applause

wah kaya baat hai Bekarar ji her ek line kamaal ki aor poori tarah se such ki tasveer dikhati hui... bahoot he acha likha hai apne....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: January 18, 2009, 07:42:07 AM »
bahoot shukriya pooja ji.....aapne pasand kiya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 20, 2009, 06:33:08 AM »
Bahut Khoob Sanjeev Bro..Aaj Ke Halaat Ko Aapne iss Kavita mein bahut khoobi se Darshaya hai.. Applause Applause
Logged
salma786
Guest
«Reply #4 on: January 20, 2009, 07:45:27 AM »
Bahoot acha likha hai apne bekarar ji Applause
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: April 05, 2009, 07:11:26 AM »
shruaati chaar lines me maine aaj ki aantanki ghatnaaon ko zehan me rakha hai aur fir ek rajneta ki soch hai ..jisme maine jodhpur mandir me hue hadase aur aaye din hone wale traffic jaam ko bhi sametne ki koshish ki hai.......

Pashuon ki si mansikta ko apnaate saare Dharam
Tode mandir, masjid giraye, todte ye sab bharam,

Haathon me talwar liye, visfotakon ko dho rahe,
Socho bhala kya samajh saken hain ye dharma ka maram

Mujhe puchte hain log kuch kya hai tumhara dharma,
Insaniyat hai dharm mera kah gaya mai besharam,

Har dhrm se kathin dagar hai janta hun thik se,
Fir kahne me jaata bhi kya hai, rahne bhi do ye bharam,

Nahi kampta mera kaleja, in laashon ko dekhkar,
cheekhon ko sunkar bhi mera, Nahi hua hriday naram

laashon ke dher lage hain, aur mai khamosh hun
meri chuppi ka mat-lab hai, mahoul hai abhi garam

bhul jayenge chand dino me kya hua, kitne mare,
usake baad ye kahan, mai kahan, kaise ghaav, kaisa mar-ham,

har waqt videshi taakton ke naam se bharmata raha,
desh jaaye bhaad me, salamat rahe mera haram,

antank-waadiyon ka safaya, kyun-kar bhala karenge hum
humare hi dum se hai wo, aur unke dum se hum

meri vajah se mandiron me jane gar jaati bhi hai to,
kya pooja karma chod dun, kya yahi hai mera dharma

traffic gar hotr hain jam to kya ghar se bhi na nikle hum
tumhe badalni hogi raahen, door hat be besharam,

bewkoofon tumhe dekhkar hansta hun mai kabhi kabhi
tumhi jaise logon se to lahra raha mera parcham,



sanjiv bhai Kaafi Vyathit shabdo ka prayog kar k Likhi hai aapne ye kavita..Ni sandeh sundar rachna hai aap ki..!!!

Lekin Aap aajkal Ho Kahaan Yaar ??
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: April 05, 2009, 10:34:41 AM »
Wah wah kya baat hai sanjeev ji. bahoot hikhoob likha hai. apni kavita k zariye hakkikat se vakya karaya hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:20:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer