Remembering Bismil

by Karan.sri on February 20, 2006, 04:10:23 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 10545 times)
Karan.sri
Guest
Fasana-e-Bismil

It’s a very long poem written by Pandit Ram Prasad Bismil, whose inspiring poems inspired many young men to become revolutionaries and fight for freedom of our country. He was a revolutionary himself and was given death by hanging for being the mastermind of Kakori Train Dacoity. He was just 30 years old at the time of his death. He also managed to write his autobiography, while in Jail, which somehow came out. His autobiography is also very inspirational and clearly explains the benefits of attending regular Satsang.

I do not remember the complete poem. It contains about 80 lines. Whatever lines I remember, I am writing here.

Fida Dil Karte Hain, Kurbaan Jigar Karte Hain
Paas Jo Kuch Hay, Maata Ki Nazar Karte Hain
Khana-e-Viraan Dekhiye Kahaan Ghar Karte Hain
Khush Raho Ehle Watan, Hum To Safar Karte Hain
Jaakar Aabaad Karenge Kisi Viraane Ko!

Hum Bhi Aaraam Utha Sakte The Ghar Par Rehkar
Hum Ko Bhi Maa-Baap Ne Paala Tha Dukh Seh Seh Kar
Waqt-e-Rukhsat Unhe, Itna Bhi Na Aaye Keh Kar
Godd Mein Ashq Jo Tapke Rukh Se Beh Kar
Tifl Unko He Samajh Lena, Jee Behlane Ko!

Naujawano, Jo Tabiyat Mein Tumhari Khatke
Yaad Kar Lena Kabhi Hum Ko Bhi Bhule Bhatke
Aapke Azbe-Watan Honve Juda Kat Kat Ke
Aur Sad Chak Ho Mata Ka Kaleja Fat Ke
Par Chehre Par Shikan, Na Aaye Kasam Khane Ko!

Apni Kismat Mein To Azal Hee Se Sitam Rakha Tha
Gum Rakha Tha, Muhim Rakkhi Thi, Ranz Rakha Tha
Kis Ko Parvah Thi, Aur Kis Mein Yeh Dum Rakha Tha
Humne Jab Vadi-e-Gurbat Mein Kadam Rakha Tha
Durr Tak Yaade Watan Aayee Thi Samjhaane Ko!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 20, 2006, 05:08:01 PM »
Good one Karan!!!
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #2 on: February 21, 2006, 02:12:21 PM »
Thank you ma'am!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2006, 02:30:52 PM »
Good one Karan, I am stilled bowled over by the lovely words and the patriotism it instills in me whenever i read his best......"Sarfaroshi ki tamanna". I am glad u shared yet another of his creations.
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #4 on: February 22, 2006, 02:11:01 PM »
glad you like it thycreator...i will try to find and post more of his creations...read quite a lot about him...bhagat singh par jitne films bani hain, unme se agar ek bhi panditji par bana dete to abhi tak ki superhit movies mein se ek hoti...koi baat nahi, kabhi humare paas itna finance hua to hum zaroor movie banayenge, panditji par...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #5 on: April 28, 2006, 04:41:29 AM »
haif ham jispe ki taiyaar they mar jaane ko
jiite jii hamane chhu.Daayaa usii kaashaane ko
kyaa na thaa aur bahaanaa koii ta.Dapaane ko
aasmaa.n kyaa yahii baaqii thaa sitam Dhaane ko
laake Gurbat mei.n jo rakkhaa hame.n tarsaane ko

phir na gulshan me.n hame.n laayegaa saiyaad kabhii
yaad aayegaa kise yah dil-e-naashaad kabhii
kyo.n sunegaa tuu hamaarii koii fariyaad kabhii
ham bhii is baaG me.n the qaid se aazaad kabhii
ab to kaahe ko milegii ye havaa khaane ko

dil fidaa karate hai.n qurbaan jigar karate hai.n
paas jo kuchh hai vo maataa kii nazar karate hai.n
Khaanaa viiraan kahaa.n dekhiye ghar karate hai.n
khush raho ahal-e-vatan, ham to safar karate hai.n
jaake aabaad kare.nge kisii viraane ko

na mayassar huaa raahat se kabhii mel hame.n
jaan par khel ke bhaayaa na koii khel hame.n
ek din kaa bhii na ma.nzuur huaa bel hame.n
yaad aayegaa aliipur ka bahut jel hame.n
log to bhuul gaye ho.nge us afasaane ko

a.nDaman Khaak terii kyo.n na ho dil mei.n naazaa.n
chhake charaNo.n ko jo pi.ngale ke huii hai jiishaa.n
maratabaa itanaa ba.Dhe terii bhii taqdiir kahaa.n
aate aate jo rahe 'baal tilak' bhii mehamaa.n
'maa.nDale' ko hii yah a'izaaz milaa paane ko

(Bal Tilak was in a prison named Mandale between 1908-1914)

baat to jab hai ki is baat kii zidde.n Thaane.n
desh ke vaaste qurbaan kare.n ham jaane.n
laakh samjhaaye koii, usakii na harGiz maane.n
bahate hue Khuun me.n apnaa na Garebaa.n saane.n
naasehaa, aag lage is tere samjhaane ko

apnii qismat me.n azal se hii sitam rakkhaa thaa
ra.nj rakkhaa thaa, mehan rakkhaa thaa, Gam rakkhaa thaa
kisko parvaah thii aur kisme.n ye dam rakkhaa thaa
hamne jab vaadi-e-Gurbat me.n qadam rakkhaa thaa
duur tak yaad-e-vatan aaii thii samjhaane ko

ham bhii aaraam uThaa sakte the ghar par rah kar  
ham bhii maa.n baap ke paale the, ba.De duhkh sah kar
vaqt-e-ruKhsat unhe.n itnaa bhii na aaye kah kar
god me.n aa.nsoo jo Tapke kabhii ruKh se bah kar
tifl unko hii samajh lenaa ji bahlaane ko

desh-sevaa kaa hii bahataa hai lahuu nas-nas me.n
ham to khaa baiThe hai.n chittaur ke ga.Dh kii qasame.n
sarafaroshii kii adaa hotii hai.n yo.n hii rasame.n
bhaal-e-Kha.njar se gale milate hai.n sab aapas me.n
bahano, taiyaar chitaao.n me.n ho jal jaane ko

ab to ham Daal chuke apne gale me.n jholii
ek hotii hai faqiro.n kii hameshaa bolii
Khuun me.n phaag rachaayegii hamaarii Tolii
jab se ba.ngaal me.n khele hai.n kanhaiyaa holii
koii us din se nahii.n puuchhataa barsaane ko

apanaa kuchh Gam nahii.n par hamako Khayaal aataa hai
maadar-e-hind par kab tak javaal aataa hai
'haradayaal' aataa hai 'yuurop' se na 'laal' aataa hai
desh ke haal pe rah rah malaal aataa hai
muntazir rahte hai.n ham Khaak me.n mil jaane ko

naujavaano.n, jo tabiiyat me.n tumhaarii khaTake
yaad kar lenaa hame.n bhii kabhii bhuul-e-bhaTake
aap ke juzve badan hove**** judaa kaT-kaT ke
aur sad chaak ho maataa ka kalejaa phaTake
par na maathe pe shikan aaye qasam khaane ko

dekhe.n kab tak ye asiiraan-e-musiibat chhuTe.n
maadar-e-hind ke kab bhaag khule.n yaa phuuTe.n
'gaandhii aafriikaa kii baazaaro.n me.n sa.Dake.n kuuTe.n
aur ham chain se din raat bahaare.n luuTe.n
kyo.n na tarjiih de.n is jiine pe mar jaane ko

koii maataa kii ummido.n pe na Daale paanii
zindagii bhar ko hame.n bhej ke kaale paanii
mu.nh me.n jallaad hue jaate hai.n chhale paanii
aab-e-Kha.njar kaa pilaa karke duaa le paanii
bharne kyo.n jaaye.n kahii.n umr ke paimaane ko

maiqadaa kiskaa hai ye jaam-e-subuu kisakaa hai
vaar kiskaa hai javaano.n ye guluu kisakaa hai
jo bahe qaum ke Khaatir vo lahuu kisakaa hai
aasmaa.n saaf bataa de tuu aduu kisakaa hai
kyo.n naye ra.ng badaltaa hai tu ta.Dpaane ko

dardmando.n se musiibat kii halaavat puuchho
marne vaalo.n se zaraa lutf-e-shahaadat puuchho
chashm-e-gustaaKh se kuchh diid kii hasarat puuchho
kushtay-e-naaz se Thokar kii qayaamat puuchho
soz kahte hai.n kise puuchh lo parvaane ko

naujavaano.n yahii mauqaa hai uTho khul khelo
aur sar par jo balaa aaye Khushii se jhelo
qaum ke naam pe sadaqe pe javaanii de do
phir mile.ngii na ye maataa kii duaae.n le lo
dekhe.n kaun aataa hai irshaad bajaa laane ko
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 04, 2006, 08:26:12 AM »
Nice One Bahoot Hi Acha Likha Hai App Dono Ne
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 02:16:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer