Rota hai Hindustan....

by NETRAPAL on July 27, 2007, 01:10:44 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 5242 times)
NETRAPAL
Guest
Rota hai hindustaan aaj apnee hee dasha ko dekh kar
Tadapta hai dil jalte hooe jismo kee dasha ko dekh kar
Martee hai manvata ab bhee desh me insaniyat ko rondkar
Karte hai raj rawan hee  nahi miltaa hai ram kahee
Rota hai hindusaatn aaj bhee apnee hee dash ko dekh kar

Mele bhee lagte hai  sajatee hai bazaar bhee desh me
Biktee hai masoom kai aaj bhee  chand sikko ke bhav me
Attahas karte hai dawan desh me  manavtaa ko mar kar
Rota hai desh mera aaj apne hee halaat par…………..

Samay dekha indira se aaj prathibha patil tak ka
Nahi hooa sudhar desh me  aurat  kee durdasha tak ka
Jaltee hai aaj bhee dahej roopee aganee me wo
Tahraa uthee hai manvata aaj bhee balatkaar ko dekha kar
Rota hai hindusttan aaj apnee hee dash ko dekh kar

Manate swatantrata divas har saal har khushee se ham
Antaraatam se poocho kya hoogaye hai ajaad aaj bhee ham
Kabhi the gulam fringiye ke aaj apno ke hee hai gulam
Kaya hogyee hai dasha hamare kay kahe ab kisee ko ham

Kahiltee thee kaliyee kabhi aaj khoon katre hai
Lagte the bhangade jaha aaj uddsi ka manjar hai waha
Goonjte the rahat ke swar jaha waha goliyi kee awwaj hai yaha
Hanste hai haiwan yaha aaj bharat maa ko cheer kar
Rota hai hindustaan aaj apnee hee dahsa ko dekh kar


netra..
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #1 on: July 27, 2007, 05:26:55 PM »
Kya hai iss desh ka antarman,
Kisi ko naa uski uljhan,
Kya iski ichchaayen hain,
Kisi ko naa wo vichlit karr payen hain,
Kab aayega aisa bhi parivartan,
Swayam bhaav se jab hoga desh pratham,
Milenge jab hradaye se hradeye ke bandhan
..Hoga Rashtriyata ka tab Atoot Sangam !

Netra Je,
Aap ka likha hamesha samarpan ki bhavna ki yaad dilata hai ki jis tallinta se aap apne vishaya pe karya karte hain !
Yuhin likhte rahiye !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 27, 2007, 08:47:12 PM »
too Good Netra ji!!

Nice lines Ricky!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: July 28, 2007, 02:56:53 AM »
Quote from: "NETRAPAL"
Rota hai hindustaan aaj apnee hee dasha ko dekh kar
Tadapta hai dil jalte hooe jismo kee dasha ko dekh kar
Martee hai manvata ab bhee desh me insaniyat ko rondkar
Karte hai raj rawan hee  nahi miltaa hai ram kahee
Rota hai hindusaatn aaj bhee apnee hee dash ko dekh kar

Mele bhee lagte hai  sajatee hai bazaar bhee desh me
Biktee hai masoom kai aaj bhee  chand sikko ke bhav me
Attahas karte hai dawan desh me  manavtaa ko mar kar
Rota hai desh mera aaj apne hee halaat par…………..

Samay dekha indira se aaj prathibha patil tak ka
Nahi hooa sudhar desh me  aurat  kee durdasha tak ka
Jaltee hai aaj bhee dahej roopee aganee me wo
Tahraa uthee hai manvata aaj bhee balatkaar ko dekha kar
Rota hai hindusttan aaj apnee hee dash ko dekh kar

Manate swatantrata divas har saal har khushee se ham
Antaraatam se poocho kya hoogaye hai ajaad aaj bhee ham
Kabhi the gulam fringiye ke aaj apno ke hee hai gulam
Kaya hogyee hai dasha hamare kay kahe ab kisee ko ham

Kahiltee thee kaliyee kabhi aaj khoon katre hai
Lagte the bhangade jaha aaj uddsi ka manjar hai waha
Goonjte the rahat ke swar jaha waha goliyi kee awwaj hai yaha
Hanste hai haiwan yaha aaj bharat maa ko cheer kar
Rota hai hindustaan aaj apnee hee dahsa ko dekh kar


netra..


Wah netra ... bahut khoob likha aur dil se likha hai aapne.
Wonderful.... keep up dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: July 28, 2007, 03:01:24 AM »
Quote from: "Ricky"
Kya hai iss desh ka antarman,
Kisi ko naa uski uljhan,
Kya iski ichchaayen hain,
Kisi ko naa wo vichlit karr payen hain,
Kab aayega aisa bhi parivartan,
Swayam bhaav se jab hoga desh pratham,
Milenge jab hradaye se hradeye ke bandhan
..Hoga Rashtriyata ka tab Atoot Sangam !

Netra Je,
Aap ka likha hamesha samarpan ki bhavna ki yaad dilata hai ki jis tallinta se aap apne vishaya pe karya karte hain !
Yuhin likhte rahiye !!


Ricky ji... nice reply...esp....last two lines.. superb...

Pavan dhara main khile rehein Maa-Bharati ke Phool
Shahadat main Gandhi .., Nehru ke armaan chirayu ho
Aan-Baan-Shaan se gagan main lehraye Tiranga
Amar rahe Gantantra Desh ka Samvidaan chirayu ho...

Roja
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #5 on: July 28, 2007, 03:49:05 AM »
thanks ricky, pooja ji, roja ji aapne bhee khoob likha hai

netra....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 28, 2007, 07:53:41 AM »
Bahoot Hi Sundar I Cant Express My Thoughts Just I Can Say Excelent,..
Yunhi Likhte Rahiyo Netra Bhai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: July 28, 2007, 08:10:41 AM »
Rota Hai Hindustaan,.

Halat Bangayi Hai Dekho Kya Apne Desh Ki,.
Har Koi De Raha Hai Dhoka Banke Yaar Yahan,..

Kabhi Lardte Hain Mazhab ke Naam Par Kabhi Haq ke Naam Par,.
Jaane Kahan Chup Gaya "Jaanasheen" Pyaar Yahan,.

Pehle To Khazaane The Ab Bhi Khazaane Hain Magar,..
Berozgaar Hai Koi Beemar Hai Koi Hai Jeena Dushwaar Yahan,..

______________________-Azeem-_____________________
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: July 28, 2007, 02:25:29 PM »
jansheen ji bhoot bhoot shukriya aapka to likhne ka andaj hee nirala hai..

netra.............
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: July 28, 2007, 02:49:08 PM »
wah Jaanasheen sis

Wafa se mila toh imaan bhag gaye
Jafa se mila toh saitan bhag gaye
Log line lagakar milne ko aaye
Mandir main gayee toh Bhagwan bhag gaye
Gandhi ne gumaya azadi ka aisa lat
Angrez chor ke Hindustan bhag gaye
Tum kisii lutere se kam nahi hai "Roja"
Dilli main dikha toh Sultan bhag gaye

 Usual Smile
[/color][/size]
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #10 on: July 28, 2007, 03:08:45 PM »
Quote from: "Roja"
wah Jaanasheen sis

Wafa se mila toh imaan bhag gaye
Jafa se mila toh saitan bhag gaye
Log line lagakar milne ko aaye
Mandir main gayee toh Bhagwan bhag gaye
Gandhi ne chumaya azadi ka aisa lat
Angrez chor ke Hindustan bhag gaye
Tum kisii lutere se kam nahi hai "Roja"
Dilli main dikha toh Sultan bhag gaye

 Usual Smile
[/color][/size]


wah roja jee kya bat hai......

ham to kayal the pahle hee kalam kee aapke
aaj jo dekha tahree ko kurban hogaye
likthe rahe aise hee aap alfaas bhee saj jayenge aapke.....

netra...

sach aap jaise writer se kafee kuch seekhne ko milta hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: July 28, 2007, 03:23:12 PM »
Quote from: "NETRAPAL"
Quote from: "Roja"
wah Jaanasheen sis

Wafa se mila toh imaan bhag gaye
Jafa se mila toh saitan bhag gaye
Log line lagakar milne ko aaye
Mandir main gayee toh Bhagwan bhag gaye
Gandhi ne gumaya azadi ka aisa lat
Angrez chor ke Hindustan bhag gaye
Tum kisii lutere se kam nahi hai "Roja"
Dilli main dikha toh Sultan bhag gaye

 Usual Smile
[/color][/size]


wah roja jee kya bat hai......

ham to kayal the pahle hee kalam kee aapke
aaj jo dekha tahree ko kurban hogaye
likthe rahe aise hee aap alfaas bhee saj jayenge aapke.....

netra...

sach aap jaise writer se kafee kuch seekhne ko milta hai


oh netra ji..  Mai b seekh hi rahi huji.. and thank you very much
for reading me..

Jane kiski goli se ho jaye kiska kaam hai
Bachna zara ye rehbaron hitlist main jinka naam hai.,
Bagawat ki aag faili hai aaj charon tarah desh main
kuch deshon ke "Ladakon" se "Delhi" ki neend haram hai
Siyasat ke janib "roja" ke namurad meet hai
Wafa ki ismain har hai jafa ki ismain jeet hai...
Itihas ke fasano main Bharat ka ye ateet hai
Wafa ki ismain haar hai jafa ki ismain jeet hai..!!
[/color][/size]
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #12 on: July 29, 2007, 06:55:28 AM »
nahi socha tha veeran hojayege vadiya bhee kabahi
kahte hai sawarg dahrti ka jise dushman bhee kabhi
jaha bhata tha pani nadiyo me waha bahega lahoo bhee kabhi
nahi socha tha jaeena pdega hame usee laho ko dekh kar
rota hai hindustaa mera apnee heee dasha ko......

netra......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 30, 2007, 09:16:14 AM »
Quote from: "NETRAPAL"
jansheen ji bhoot bhoot shukriya aapka to likhne ka andaj hee nirala hai..

netra.............


Shukriya Netra Ji,..
Ye Sab To Aap Se Seekhi Hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 30, 2007, 09:23:29 AM »
Quote from: "Roja"
wah Jaanasheen sis

Wafa se mila toh imaan bhag gaye
Jafa se mila toh saitan bhag gaye
Log line lagakar milne ko aaye
Mandir main gayee toh Bhagwan bhag gaye
Gandhi ne gumaya azadi ka aisa lat
Angrez chor ke Hindustan bhag gaye
Tum kisii lutere se kam nahi hai "Roja"
Dilli main dikha toh Sultan bhag gaye

 Usual Smile
[/color][/size]

Dekhte Agar Hum Bhi Aapko To Shayad Bhaag Jaate,..
Magar Hindustaan Chordkar Hum Jaaye Bhi To Kahan Jaayein,..

Hai Aisa Desh Mera Ke Har Ek Ko Panaah Deta Hai,..
Iske Anchal "ROJA" Hum Kaise Chudaa Paayein,..

______________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:24:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer