salaam ai watan

by harashmahajan on October 19, 2005, 09:14:53 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1755 times)
harashmahajan
Guest
salaam

salaam un jawaano ko, jo desh pe mite chale
woh zindagi ka kaarwaan jo ghar se le ke the chale.

watan ki abroo liye, jawaan aage bad chale,
ye kaafile jo unke dekh, dushmano ke dil jale,
woh seene mein apne sehte, golion ke jaljale
woh zindagi ka kaarwaan woh ghar se le ke the chale.

woh mouj dil jawaan the, jo desh ko pukaarte,
woh apne mukh se ek baar bhi aah na nikaalte,
desh hit ke waaste woh jawaaniya luta chale,
woh zindagi ka kaarwaan jo ghar se le ke the chale.

wata ke waaste jo, jaan ke baazi tak laga haye,
golion ke her woh waar, seene pe kha gaye,
woh tukde the jo apni-apni maaon ke ladle,
wo zindagi ka kaarwaan jo ghar se le ke the chale.

watan ko jaga ke, jaane khud woh kahaan gaye,
juda hue, amar hue azaadi ke woh dil diye,
bahaduri se ser pe apne, le ke the kafan chale,
woh zindagi ka kaarwaan , jo ghar se le ke the chale.

Harash Mahajan 'harsh'©
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
salaam-e-watan by zindagi_kal_ho_na_ho in Shairy-E-Watan
Yaad Watan Ki,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan
AEY PAK WATAN by ekshayar81 in Shairy-E-Watan
AYE WATAN TERE CHAMAN, TERI BAHARON KO SALAAM by pradeep srivastava raunaq in Shairy-E-Watan
anitha
Guest
«Reply #1 on: October 25, 2005, 04:55:25 AM »
Wow.......
Wah...wah harsh ji bahut koob likhe hain aapne
Isi baat pe humaari taraf se ye choti si .......

Yaad rakko un jawaanon ko
Aur unki qurbaaniyon ko

Shaan hain inn-pe apne desh ko
Jo chale hain raksha karne, desh ke imaan ko

Na kuch hai maayna inko is desh ke siva
Na maata-pitha na koi aur, is desh ke siva

Ye tho mit-the hain desh ki raksha karte
Chod chalte hain apne parivaaron ko yaad karte

Agar na karsake inke jaisa koi desh keliye
Tho kuch tho kare inke pariwaaron keliye
[/b]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #2 on: October 26, 2005, 05:55:34 AM »
bahoot sunder ati sunder....bas kaafia doondna baaki hai..bahoot achhay bol hain anitha ji....aapke bhaav bahoot pasand aaye....apne desh ke liye udgaar bhi pasan d aaye...


kutchh our bhi abroo hai watan ki...


aabroo watan ki aaj yuin bachi ki kya kahein,
fouz apni kaargil main yuin karhi ki kya kahein.

dushmano ke kaafile jab hind ki zamee pe the,
aoulad-e-hind shola ban yuin larhi kimkya kahein.

dehlte the, laadlon ki maaon ke wo dil hi the,
teen rang mein dekh tan ke yuin kharhi ki kya kahein.

ek taraf jung kaargil ki, dooji thi siyasati,
siyasaton ne dono jung yuin larhi ki kya kahein.

dushmano ke sang dosti nibha raha tha hind,
dosti ab chhal ke mehengi yuin parhi ki kya kahein.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:42:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer