Siyasat

by raajaindra on September 02, 2011, 02:55:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1326 times)
raajaindra
Guest

Jinhone haansil kie hai kai darze (degreeiyan)
Haansil hain jinhe zamaane bhar ki khoobiya
Aise taleemzada hamaare naujawan,
In anpadh siyasat daaron ke neeche naukri karte hain

Kasme khaate hain kahin nau-jawan
Hamari Sarhadon ki hifazat karne ki
To kahin ye na-maqool siyastdaar
Chand sikkon ke liye
Har roz is mulk ka sauda karte hain

Kal tak jo kahi kisi chaurahe par
Omlete ka thela lagate the
Thaane ke har chhote bade sipahi ko
Muft Omlete khilate the
aur phir bhi unhi ko Salaam maarte the

Wohi rafeek bhai "omlette wale" aaj
Unhi police waalon ki hifazat me ghoomte hain
Chauthi zamaat fail un rafeek bhai ko
Bade Bade padhe likhe afsar, salam thokte hain
jo kabhi tooti ek cycle pe dar-b-dar ghoomte the
aaj wo hi laal batti lagi, sarkari gaadi me ghoomte hain

Har gali kunche ke nukkar par
paan aur bidi peete wo maamooli se aadmi
aaj achanak vvip ho gaye
zinhone khud kabhi akhbar nahi padha
aaj achanak
har akhbar ki surkhiyon me darj ho gaya

Aise behisab log hai is mulk me jo
Har roz apnee taqreer me
mulk pe qurban hone ki baat karte hain magar
Watan se wo har roz behisaab gaddari karte hain
Jo kasme to khaate hain avaam ke tarakki ki magar
Har aam-o-awaam ko wo khilona samajhte hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*Siyasat Ke Nange* by Roja in Shairy-E-Watan
Ahle siyasat by Asif samani jaunpuri in Shairy-E-Watan
siyasat by sanidhya sharma in Occassion Specific Poetry
siyAsat by charanjit chandwal in Shairy-E-Watan
Haaay siyasat aa gayi.......#amritanshu by Amritanshu Singh in Shairi - E - Zindagi
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: September 02, 2011, 03:46:26 PM »
boht sacha likha apne yeh syasat chalane wale desh ko bhi syasat samjte hain
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: September 02, 2011, 04:54:24 PM »
GD

Jinhone haansil kie hai kai darze (degreeiyan)
Haansil hain jinhe zamaane bhar ki khoobiya
Aise taleemzada hamaare naujawan,
In anpadh siyasat daaron ke neeche naukri karte hain

Kasme khaate hain kahin nau-jawan
Hamari Sarhadon ki hifazat karne ki
To kahin ye na-maqool siyastdaar
Chand sikkon ke liye
Har roz is mulk ka sauda karte hain

Kal tak jo kahi kisi chaurahe par
Omlete ka thela lagate the
Thaane ke har chhote bade sipahi ko
Muft Omlete khilate the
aur phir bhi unhi ko Salaam maarte the

Wohi rafeek bhai "omlette wale" aaj
Unhi police waalon ki hifazat me ghoomte hain
Chauthi zamaat fail un rafeek bhai ko
Bade Bade padhe likhe afsar, salam thokte hain
jo kabhi tooti ek cycle pe dar-b-dar ghoomte the
aaj wo hi laal batti lagi, sarkari gaadi me ghoomte hain

Har gali kunche ke nukkar par
paan aur bidi peete wo maamooli se aadmi
aaj achanak vvip ho gaye
zinhone khud kabhi akhbar nahi padha
aaj achanak
har akhbar ki surkhiyon me darj ho gaya

Aise behisab log hai is mulk me jo
Har roz apnee taqreer me
mulk pe qurban hone ki baat karte hain magar
Watan se wo har roz behisaab gaddari karte hain
Jo kasme to khaate hain avaam ke tarakki ki magar
Har aam-o-awaam ko wo khilona samajhte hain
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: September 03, 2011, 03:29:06 AM »
raaajindra ji,Hamaare system ki kadvi sachchai bayaan ki hai.bahut khoob.
Logged
raajaindra
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2011, 05:37:25 AM »
shukriya siddique saaheb.
Kya kare... dard bahut hai magar sehane ke alawa koi raasta nahi
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2011, 11:07:10 AM »
Dil me jo ye dard ki shama hai ise jalte rahna chahiye.
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #6 on: September 03, 2011, 05:30:15 PM »
DIL MEI JO HAI SHAMA JO JALAYE RAKHNA
MEHFILE DARDE HASI SE BUS SAJAYE RAKHNA
Dil me jo ye dard ki shama hai ise jalte rahna chahiye.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:23:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.376 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer