Main qaidi number 786 jail ki salako sai bahar dekhta hoo
din mahinai saal ko yug mai badalte dekh ta hoon
Is miti sai meri bauji kai kheto ki kushboo aati hi
Yai chau meri maati ki tandi chaas yaad dilati hai
Yai barish merai sawon ki jhoolo ko sang lati hai
Yai Sardi meri lodi ki aag sekh kar jaati hai
Wo kehtai hai yai mera des nahi, phir kyon merai des jesa lagta hai
Wo kehtai hai mai us jesa nahi, phir kyon wo merai jaisa lagta hai
Main qaidi number 786 jail ki salako sai bahar dekhta hoo
Sapno kai gaon sai utri huwi, eik nani si pari ko dekhta hoo
Hai bilkul begani mager karti hai apno sai zid
Uski sachi batai sun kai, phir sai jeenai ko man karta hai
Uski kasme vaade sun kar kuch karne ko jee karta hai
Wo kehtai hai kai wo koi nahi meri, phir kyon merai liyai duniya sai larti hai woh
wo kehtai hai, mai us jesa nahi, phir kyon mujh jaisi lagti hai woh
Main qaidi number 786 jail ki salako sai bahar dekhta hoo
Apni gaon ki rango mai lipti huwi, aik nayi zaara ko dekhta hoo
Merai khwab purai karte karte, apnai khwab bhula chuki hi wo
Merai log ki seva karte karte, apnai log ko chor chuki hai wo
Uskai damon ko kushiyo sai bharne ko jee karta hai
Uskai liyai eik aur zindagi jeenai ko jee karta hai
Wo kehtai hai mera des uska nahi, phir kyon merai ghar rehti hai wo
Wo kehtai hai mai us jaisa nahi, phir kyon mujh jaisi lagti hai wo
Main qaidi number 786, jail ki salako sai bahar dekhta hoon..
wah!!!!!!!!!!!!!!1 vikarant.............. ismein to bahot touching words hain........... wonderful........... mian jitna dekhta hoon ... utna dil aur karta hai........ dekhne ke liye..........