Ye patra Arvind ke naam

by mrigank on October 09, 2012, 05:22:31 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1038 times)
mrigank
Guest


Inqalaab kaha ho ? Sadko pe
Sab tumne sikhaya
soyi hui janta, har taraf faili vishamta
Arth Purusharth ka , phal swarth ka
loktantra ke yatharth ka
Sab tumne sikhaya

Gyan ab shabd pustak nahi
hathiyaar ban gae
Jo astra the sadachar ke
virodh ka vyavahaar ban gae
Ladai to bas ab sidhi hai
satya aur asatya ki
samvidhaan ki garima
aur har bhrast ki
us subah ki jab
kanoon ka badan tavayaf sa
na dukhta ho
Jo zaruraton k liye
todi marori jati hai
Gundon ke hatho
kaudiyon k daam
bik jati hai
Kisne har nazar ko
Us subah ke par ka
Manzar dikhaya
Sab tumne sikhaya

Neta ko bhi ho
Ab baat loktantra ki
Na kisi kamal ki
Na kisi parivar ki
Na cycle pe hathiyon ka
sapna dhone wali sarkaar ki
Na hasue hathore se
kate yue waado ki
Teer se chalani kiye hue iraadon ki
Baat ab tumhare mantra ki
yani baat logo ki jantantra ki

Na ab wo sampraday me lipta hua kal hoga
Na Aarakshan se jalta krodh ka jungle hoga
Na waadon ke sahare wali sarkaar hogi
Na kanoon se aparichit janta lachar hogi
Tumhare har kadam pe
lakho yuvaon ka salaam
Ye patra Arvind ke naam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:::::Prem Patra ::::::::::::::: by fakharenaveed in SMS , mobile & JOKES
ek patra mitra ke naam by sanchit in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
PREM PATRA by pritam tripathi in Share:Love Poetry
DOSTI ke naam wishwas patra by r.k in The Wishes and Celebrations
patra by Tuhina in Share:Miscellaneous Shayari
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 09, 2012, 05:42:19 PM »


Inqalaab kaha ho ? Sadko pe
Sab tumne sikhaya
soyi hui janta, har taraf faili vishamta
Arth Purusharth ka , phal swarth ka
loktantra ke yatharth ka
Sab tumne sikhaya

Gyan ab shabd pustak nahi
hathiyaar ban gae
Jo astra the sadachar ke
virodh ka vyavahaar ban gae
Ladai to bas ab sidhi hai
satya aur asatya ki
samvidhaan ki garima
aur har bhrast ki
us subah ki jab
kanoon ka badan tavayaf sa
na dukhta ho
Jo zaruraton k liye
todi marori jati hai
Gundon ke hatho
kaudiyon k daam
bik jati hai
Kisne har nazar ko
Us subah ke par ka
Manzar dikhaya
Sab tumne sikhaya

Neta ko bhi ho
Ab baat loktantra ki
Na kisi kamal ki
Na kisi parivar ki
Na cycle pe hathiyon ka
sapna dhone wali sarkaar ki
Na hasue hathore se
kate yue waado ki
Teer se chalani kiye hue iraadon ki
Baat ab tumhare mantra ki
yani baat logo ki jantantra ki

Na ab wo sampraday me lipta hua kal hoga
Na Aarakshan se jalta krodh ka jungle hoga
Na waadon ke sahare wali sarkaar hogi
Na kanoon se aparichit janta lachar hogi
Tumhare har kadam pe
lakho yuvaon ka salaam
Ye patra Arvind ke naam
gd
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: October 10, 2012, 12:46:15 AM »
good
Logged
Aarish
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2012, 03:25:13 AM »
ati sunder,  Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: October 10, 2012, 07:21:52 AM »
bahut khoooooob...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:56:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer