Zameen e she'r hai, baHr e sukhan hai buknala. (Apne waTan ke liye)

by Ghulam Haider on October 07, 2012, 08:06:40 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 988 times)
Ghulam Haider
Guest
Zameen e she’r hai, baHr e sukhan hai Buknala.
Tareeq e I’lm o rah e fikr o fan hai Buknala.
===============================================

Hai jis ke naam ka charchaa har ek maHfil meN,
Adab-shia’ar wohi anjuman hai Buknala.
===============================================

Z’iyaa paate haiN jis se falak pe shams o qamar,
Zameen e hind ki aisi kiran hai buknala.
================================================

HaseeN hai meraa taSavvur Jamaal se is ke,
Mere khayaal pe saayah-figan hai buknala.
================================================

Wo jis ke saamne TooTe baRoN baRoN ke ghuroor,
Jabeen e waqt ki aisi shikan hai Buknala.
================================================

HaiN rang pyaar ke Khushboo wafaa ki hai is meN,
Sadaa-bahaar guloN ka chaman hai Buknala.
================================================

Hai fakhr mujh ko ke hindostaN hai mulk mera,
Sharaf hai ye bhi ke meraa waTan hai buknala.
================================================

Nigaah e naaz uThaao, qalam rakho Haider,
Ye kam nahiN hai ke rashk e zaman hai Buknala.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
IS WATAN KE LIYE - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shairy-E-Watan
watan ke lye hazir hai apne jan by nadia brohi in Shairy-E-Watan
marna hai watan k liye ?? by ishu_singh10 in Shairy-E-Watan
Apne liye jee leiN to kya, apne liye mar leiN to kya by harashmahajan in Shayri-E-Dard
Jiska apne watan pr imaan nhi hai... by kavyadharateam in Miscellaneous Shayri
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: October 07, 2012, 08:41:14 AM »
haidar bhaai aapke watanparastee ko mere laakhon salaam
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #2 on: October 07, 2012, 09:36:47 AM »
wah Haider ji bahut badhiya likha hai aap ne...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 07, 2012, 10:21:30 AM »
wah khoob haider ji .... Thumbs UP

          i m also from kuwait ,,,salmiya...
               nice to see u here....on yo india ...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: October 07, 2012, 12:51:37 PM »
bahut khoob haider ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #5 on: October 07, 2012, 04:18:49 PM »
Waaah ... Waqai kamaal ki ghazal hai Haider sahab .... Iski khoobsurti aur rawaanee ki aur apke fan ki taareef karne ke liye koi alfaaz kaafee naheen .... Apko hazaron lakhon daad aur mubarakbaad !!!
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: October 07, 2012, 04:32:29 PM »
haidar bhaai aapke watanparastee ko mere laakhon salaam
MoHtaram sksaini ji,
Aap ka shukriya ke aap ne khulooS, moHabbat aur jaz'baat ka is TarH iZhaar farmaya. Haqeeqat yehi hai ke har insaan ke dil meN ye jaz'bah shiddat se paya jata hai. Bas maiN ne usi ko alfaaZ ka sahara le kar munaZZam shakl meN pesh kiya hai. Aap ki daad mere liye qaabil e qadr hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: October 07, 2012, 04:40:12 PM »
wah Haider ji bahut badhiya likha hai aap ne...
Intihaaie masarrat ki baat hai ke aap ne banda e Haqeer ke kalaam par naZar e karam farmaa kar i'zzat bakhshi, sadaa khush raheN aap.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2012, 04:46:30 PM »
wah khoob haider ji .... Thumbs UP

          i m also from kuwait ,,,salmiya...
               nice to see u here....on yo india ...
Sahal ji mujhe ye jaankar bohot khushi huie ke aap bhi Kuwait/Salmiya meN muqeem haiN. Aap ke deedaar ka intiZaar hai...
kalaam ko pasand karne ke liye shukrguzaar hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: October 07, 2012, 05:01:46 PM »
bahut khoob haider ji

MoHtaram aqsh ji aap ki navaazish ke liye tah e dil se shukr guzaar hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: October 07, 2012, 05:12:21 PM »
Waaah ... Waqai kamaal ki ghazal hai Haider sahab .... Iski khoobsurti aur rawaanee ki aur apke fan ki taareef karne ke liye koi alfaaz kaafee naheen .... Apko hazaron lakhon daad aur mubarakbaad !!!
MoHtaram zarraa ji, Ye aap ki moHabbat hai ke kalaam ko is qaabil samjha, khoobSooarat alfaaZ ke z'ari'eh Haseen khayaalaat ka jameel kalimaat meN iZhaar farmaya. Aap ki dili daad aur pur khulooS mubaarakbaad ke liye tah e dil se shukrguzaar hooN, jazaak Allaho alfa khairin wa alfa a'afiyah
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: October 07, 2012, 07:52:57 PM »
Haider Sahaab Aadaab!

Masha Allaah janab kia kahne aapke... bade hi khoob sukhan shinaas
hai aap.. behad gazab ke khayaalaat aur bade pyaare labo lahje meiN
ashaaroN ko baNdha hai aapne... Usual Smile

Behad khoob janab... sabhi ashaar qabil e daad hai... Usual Smile
Huamri dheroN dili daad o mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye.. aate rahiye.. Bazm ko roshan karte rahiye.. Usual Smile

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
                   

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: October 08, 2012, 05:22:58 AM »
Haider Sahaab Aadaab!

Masha Allaah janab kia kahne aapke... bade hi khoob sukhan shinaas
hai aap.. behad gazab ke khayaalaat aur bade pyaare labo lahje meiN
ashaaroN ko baNdha hai aapne... Usual Smile

Behad khoob janab... sabhi ashaar qabil e daad hai... Usual Smile
Huamri dheroN dili daad o mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye.. aate rahiye.. Bazm ko roshan karte rahiye.. Usual Smile

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
                   


MoHtaram ParwaaZ ji tasleemaat,
Aap kalaam par khul ke daad dete haiN ya aap ki faraagh-dili aur SharH e Sadr ki daleel hai. MaiN ise aap ki pur-khulooS moHabbat samajhta hooN. Yaqeenan aHbaab ke darmiyaan khushi milti hai is liye yahaN HaaZ'iri dena laazimi hai. Allah aap ko salaamat rakhe, dua'a e khair ka Taalib hooN.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:20:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer