saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629 Member Since: Jun 2009
|
|
|
mohabat , dosto ek aisa lafz aise chand alfaaz jise parhne wala sunne wala likhne wala sochne wala mehsoos karne wala our ise dekhne wala shayad hi koi aisa ho jo is ki gehraaye mein na jaye ,,, kehtey hain bohut hi kismat wale hote hain woh log jo is chand alfaaz ke andhar ki gehrayee mein khud ko daal lete hain ,,,,, jannat ka ehsaas kisi ke paas hone ka ehssaas , jindagi ko jee lene ki khawaish , kisi ka armaaan kisi ki pehchaan har koi ise apna banana chahta hai ,,,,,,, hum bhi kabhi is mohabbat ki anokhi dunya mein gaye humne bhi woh mehsoos kiya dekha suna jo kabhi kitabon mein kahanaaiyon mein parhtey they ,, sach mein ek alag hi kasak hai is lafz mein , jindagi ko khoobsurat dikhne mehsoos karne ki azmaish hai yeh ,,,, ek aisi chahat jiske ke gehrey sagar mein insaan doobta chala jaata hai phir bhi use lagta hai woh sehra mein hai , mohabbat ki manjil ko paane mein woh un katien bhari rahon par chalne lagta hai jis par chalkar kabhi paon chalni to kabhi dil jakhmi ho jaata hai ,,,,,,,,, aise hi kuch jakham humne bhi liye hain aisa kuch dard hum bhi apne dil mein samaaye hain , shayad yeh zakham kabhi bhar jaieyn magar woh nishaan shayad jindagi bhar hammaey sath hi rahenge ,,,,,,,,, aakhir mein ek sheyar sunakar apko is ehsaas tak lejaana chahunga ,,,
dekhkar is pyar ki kashish ko hum bhi luta baithey apne dil ko dekhkar is pyar ki kashish ko hum bhi luta baithey apne dil ko lagi chot jab is mohabbat mein to jaana humne kyun na mitne wale nishaan dil par lagaa liye humne kyun tarpaaya humne unse dil laagakar kyun hum is mohabbat mein zakham laga baithey apne dil ko kyun hum is mohabbat mein zakham laga baithey apne dil ko
|