Kohinoor
Guest
|
|
|
Mohabbat ous ki surat,,, pyasi pankhuri k hontho'n ko seraab krti hai.. Gulon ki aastino'n me anokhe rang bharti hai... Seher k ujale me, gungunati,jgmagati,muskurati hai.. Mohabbat k dino me, dasht bhi mehsoos hota hai kisi firdaus ki surat! Mohabbat ous ki surat!! !! Mohabbat abr ki surat,,, dilon k sarjmi pe ghir k aati hai aur barasti hai.. Chaman ka jarra-jarra jhoomta hai,muskurata hai.. Mohabbat aon ko bhi abaad aur shadaab krti hai, Jo dil hain kabr ki surat! Mohabbat abr ki surat!! !! Mohabbat aag ki surat,,, bujhe seeno'n me jalti hai, To dil bedaar hote hain.. Mohabbat ki tapish me kuch ajab asraar hote hain, k jitna ye bhadakti hai,, mayus jaan mehakti hai.. Dilon k sahilo'n per jma hoti aur bikharti hai.., mohabbat jhaag ki surat! Mohabbat aag ki surat!! !! Mohabbat khwaab ki surat,,, nigahon me utarti hai, kisi mehtaab ki surat.. Sitare aarzu k is trah se jagmgate hain, k pehchani nhi jati dil betaab ki surat! Mohabbat k sajar pr, khwaab k panchi utarte hain to, shakhen jaag uthti hain! Thake hare sitare jb zami se baat karte hain to,, kb ki muntajir aankhon me, shaame'n jaag uthti hain! Mohabbat inme jaag uthti hai chiraag-e-aab ki surat! Mohabbat khwaab ki surat!! !! Mohabbat dard ki surat,,, guzista mausamo'n ka istiara ban k rehti hai... Mundero'n pr chiraago'n ki lau'wen tb thartharati hain, gali me jb koi aahat,koi saya nhi rehta! Gamo'n k bojh se tootne lgte hain jb shaney, to ye aun pe hath rkhti hai,, kisi hmdard ki surat! Gujarte hain sare kafile, jb dil ki bsti se,, fiza me tairti hai der tak ye gard ki surat! Mohabbat dard ki surat!! nm
|