Saba_Saba is back
Guest
|
Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota Tu Bade Payar Se Chao Se Bade Maan K Saath Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko Aur Bay Taabi Se Furqat K Khizaa Lamho Mein Tu Kisi Soch Mein Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko Mein Tere Hath Ki Khushboo Se Mehek Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti Tere Honton Ki Hiddat Se Dahek Sa Jaata Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon K Safar Pe Jaati Mar_maree Haath Ka Takiya Banaya Karti Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baatein Karta Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta
Mujh Ko BeTaab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha Mai Teri Rooh K Gulshan Mein Mehakta Rehta Mai Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta Kuch Nahi To Ye Benaam Sa Bandhan Hota
Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
By Wasi Shah Disclaimer: The graphis/photos are not mine
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #1 on: April 02, 2010, 11:04:41 AM » |
|
Simply superb... nice sharing Saba ji...!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba is back
Guest
|
|
«Reply #2 on: April 02, 2010, 12:29:13 PM » |
|
Simply superb... nice sharing Saba ji...!!! Shukriya Kapil Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba is back
Guest
|
|
«Reply #3 on: April 02, 2010, 12:36:58 PM » |
|
Mai hu tera khayal hai aur chand raat hai Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai
Aankho me chubh gayi teri yaadon ki kirchiya Kandho pe gum ki shaal hai aur chand raat hai
Dil tod ke khamosh nazaro ka kya mila? Shabnam ka yeh sawal hai aur chand raat hai
Campus ki neher par hai tera hath, hath me Mausam bhi la_zawal hai aur chand raat hai
Har ek kali ne odh liya maatmi libas Har phool pur malal hai aur chand raat hai
Chhalka sa pad raha hai Wasi wehshaton ka rang Har cheez par zawal hai aur chand raat hai By Washi Shah Disclaimer: the graphics/photos are not mine
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #4 on: April 02, 2010, 12:49:13 PM » |
|
Nice sharing Saba ji...!!! Mai hu tera khayal hai aur chand raat hai Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai
Aankho me chubh gayi teri yaadon ki kirchiya Kandho pe gum ki shaal hai aur chand raat hai
Dil tod ke khamosh nazaro ka kya mila? Shabnam ka yeh sawal hai aur chand raat hai
Campus ki neher par hai tera hath, hath me Mausam bhi la_zawal hai aur chand raat hai
Har ek kali ne odh liya maatmi libas Har phool pur malal hai aur chand raat hai
Chhalka sa pad raha hai Wasi wehshaton ka rang Har cheez par zawal hai aur chand raat hai By Washi Shah
Disclaimer: the graphics/photos are not mine
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #5 on: April 02, 2010, 01:30:25 PM » |
|
Awesome sharing Wasi Shah indeed is a gr8 peot & nice selection.........!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba is back
Guest
|
|
«Reply #6 on: April 02, 2010, 07:06:24 PM » |
|
Thank you Kapil ji and Imran ji I like most of his creations
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba is back
Guest
|
|
«Reply #7 on: April 02, 2010, 07:20:19 PM » |
|
Kaash mai tere bun-e-gosh me bunda hota Raat ko be khabri me jo machal jata mai
Toh tere kaan se chup chaap nikal jata mai Subah ko girte teri zulfon se jab baasi phool
Mere kho jane pe hota tera dil kitna malool Tu mujhe dhoondti kis shauq se ghabrahat me
Apne mehke huye bistar ki har silwat me Junhi karti teri narm ungliya mehsoos mujhe
Milta is gosh ka phir gosha-e-manoos mujhe Kaan se tu mujhe hargiz na utara karti
Tu kabhi meri judayi na gawara karti Yu teri qurbat-e-rangeen ke nashe me madhosh
Umar bhar rehta meri jaaN me tera halqa bagosh Kaash mai tere bun-e-gosh me bunda hota
bun-e-gosh = earlobes Graphics/photos r not mine
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #8 on: April 02, 2010, 09:35:23 PM » |
|
Nice sharings Saba Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #9 on: April 03, 2010, 05:20:52 AM » |
|
Beautiful poems thanks for sharing Saba ji.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba is back
Guest
|
|
«Reply #10 on: April 03, 2010, 12:40:40 PM » |
|
Beautiful poems thanks for sharing Saba ji. Nice sharings Saba Ji
Thank You Kaash Ji.. Rajesh Ji and Madhu ji... Thanx for appreciation
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba is back
Guest
|
|
«Reply #11 on: April 03, 2010, 12:42:15 PM » |
|
Shihab Ji superb choice ....
Thanx for adding some beautiful ones
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #13 on: April 03, 2010, 12:52:52 PM » |
|
Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai
Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoyee Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai
Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai
Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai
Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai
Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai
Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai
Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay Dil Ne Mud'dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai
Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.!
----Wasi Shah-----
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #14 on: April 03, 2010, 12:58:21 PM » |
|
Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed wo kuch na kahte magar honth to hila dete
----Wasi Shah----
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|