My Fvt. Poet .. Wasi Shah

by Saba_Saba is back on April 02, 2010, 10:59:22 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 19639 times)
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #15 on: April 05, 2010, 10:18:55 AM »
Reply with quote


Thanx Koyal & Shihab Ji for adding ... Beautiful poems Usual Smile

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PERODY OF WASI SHAH by ekshayar81 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
syed wasi shah by NOOR41 in Other Languages
written by Wasi Shah by a.r.hashmi in Ghazals
Wasi shah by ataab in Urdu Poets
gurunanak shah (nam) by poonamA in Shayari-e-Parastish
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #16 on: April 05, 2010, 10:21:01 AM »
Reply with quote

...Not Mine...

Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha
Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha

Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Hoay Khawab Dekhta Raha
Koi Yaadon Mein Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha

Meri Aankhon Mein Sab Saatein Jaagti Hein Abhi
Nehr Pay Tu Mein Saath Chalta Raha,Chand Jalta Raha

Mein Tau Yeh Jaanta Houn Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey
Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha

Raat Aai Tau Kia Kia Tamashay Hoay,Tumhein Maaloom Hay
Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha

Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay
Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha

Yeh December Kay Jis Mein Karri Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagay
Tum NahinTau December Sulagta Raha,Chand Jalta Raha

Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hoi Hay Wasi
Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #17 on: April 05, 2010, 10:36:00 AM »
Reply with quote

.... Not Mine ...

Koi Umeed jo Hoti Tere Laut Aane ki,
Phir na hoti Aisi Halat-e-Dil Deewane ki,

Main to Har Haal Mai Khush Rehne ki Justju Mai Raha,
Na gai Teri Aadat Woh Sataane ki,

Zindgi Jabr-e-Musalsal ki Tarah Kat raha hon,
Nahi deta koi Dua b Mar Jane ki,

Tere Sang Beeta Har Lamha Yaad Aata Hai,
Jab b Koshish ki Tujhe Bhulane ki,

Ab to Aksar yahi Sochta Rehta hu Tanha
Tujh ko Maangu ya Maangu Dua Tujhe Bhulane ki.
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #18 on: April 05, 2010, 10:42:32 AM »
Reply with quote
You are welcome Saba-di....



Thanx Koyal & Shihab Ji for adding ... Beautiful poems Usual Smile


Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #19 on: April 05, 2010, 10:45:17 AM »
Reply with quote

...Not Mine...

Baandh lein Haath pe, Seene pe saja lein Tum ko
Jee me aata hai k Ta'weez bana lein tum ko

Phir Tumhein Roz sanwarey, Tumhein badhta dekhien
Kyu na Aangan mai Chameli sa laga lein Tum ko

Kabhi Khwabon ki tarah Aankh k parde mai raho
Kabhi Khuwahish ki tarah Dil me Bula lein Tum ko

Jis tarah Raat k Seene mai hai Mehtaab ka Noor
Apne Taareek Makanon mai Saja lein Tum ko

Kya Ajeeb Khuwahishein uthti hain Hamare Dil me
Kar k Munna sa Hawao mai uchhalein Tum ko

Is qadar toot k Tum par Humein Pyaar aata hai
Apni Bahon mai bharein Maar hi dalein Tum ko
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #20 on: April 23, 2010, 08:48:12 AM »
Reply with quote

...img/graphics are not mine...

Tum meri kaun ho tum se hai talluq kaisa....?
Tum kisi dhund me lipti huyi tanhayi ho
Meri shohrat ho,dua ho, meri ruswayi ho
Baat karti ho kabhi chup me bikhar jati ho
kyu meri rooh k goshon pe sitam dhaati ho

Tum meri kaun ho tum se hai talluq kaisa....?

Gungunati ho to mehsoos yeh hota hai mujhe
Jaise dariyaon ke sahil se sada aati ho
Duur jata hu to daaman se lipat jaati ho
Paas aata hu to khawabo me utar jati ho
Tum mere paas ho na duur ho mere dil se

Tum meri kaun ho tum se hai talluq kaisa....?
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #21 on: April 23, 2010, 09:14:01 AM »
Reply with quote


Apne ehsas se chhoo kar mujhe sandal kardo
main ke sadiyon se adoora hoon mukammal kardo

Na tumhe hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
Iss kadar toot ke chaaho mujhe paagal kardo

Tum hatheli ko mere pyaar ke mehendi se rango
apni aankhon me mere naam ka kaajal kardo

Dhoop hi dhoop hoon main toot ke barso mujhpar
Main to sehra hoon mujhe pyaar ka baadal kardo

Uske saaye mein mere khwab mehek uthenge
mere chehre pe umeedo bhara aanchal kardo

Apne hoton se koi mohar lagao mujh par
Ek nazar pyar se dekho mujhe ghaayal kardo
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #22 on: October 07, 2013, 06:43:23 PM »
Reply with quote

img/graphics are not mine

Dard ki Dil pe hukumat thi, kaha.n tha us waqt
Jab mujhe teri zarurat thi, kaha.n tha us waqt

Maut ke sukh me chala aay mujhe dekhne ko
Zinda rehne ki musibat thi, kaha.n tha us waqt

Dil ke daryao.n me ab ret hai sehrao.n ki
Jab mujhe tujh se Mohabbat thi, kaha.n tha us waqt
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #23 on: October 08, 2013, 04:13:24 PM »
Reply with quote

graphic/image is not mine



Chhord diya hum ne Aitbar Qismat ki lakeeron pe ~Wasi~
Jo Dilon me bas jaye Wo lakeeron me nahi mila karte

Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:38:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer