Phir bhi sukoon hai..

by Shalu RV on May 31, 2011, 07:01:57 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1212 times)
Shalu RV
Guest
Reply with quote
Phir bhi Sukoon hai...

Phir bhi sukoon hai dil ko,
jo ye toota nahi hai, reh gaya akela magar,
apno ke dilon se rutha nahi hai,
mohabbat toh karwati hai intezaar,
par bemuravvat waqt se iska daaman choota nahi hai...

Phir bhi Sukoon hai,
Is aazmaish ke baad woh hume bula hi lenge,
apna chahe na banaye par dunia se humein juda hi rakhenge,
dil mein kitna hi bhar denge dard,par aankhon se pyar bayaan kar hi denge,
Betakalluf na honge hamare sanam, par humein kisso mein kaha karenge...

Phir bhi Sukoon hai,
Mehfil mein woh aaj bhi hamara naam pukaara karte hai,
hum wahan rahe na rahe, par unke nain hamara intezaar karte hai,
chilman se dekh kar unhe hum, apne dil ki tees ko daba dia karte hain,
par jaise hi hum unke deedar kare, jaane kyun woh mooh mod lia karte hain...

Phir bhi Sukoon hai Dil ko Janaab...
Woh hamare hai, aur hum inki Zindagi kehlate hain,
Aaj agar na samjhe hain toh phir samjhaane ka vaada hum hi uthaate hain,
Gum nahi humein ki woh aaj tak humein jaan nahi paaye,
Yeh dil hai hi itna manchala ki hum unhe aaj tak hamara pyar bata hi nahi paaye...

Phir bhi Sukoon hai...
Ye dil jo aaj hamara hai...shayad kal unka hoga,
Is bhare zamaane mein sabse haseen unhe hamara chehra hoga...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SUKOON by Arifa in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
sukoon by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
Sukoon na tha by medha_jain3 in Miscellaneous Shayri
sukoon.. by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
SUKOON by shab in Shayri-E-Dard
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010

View Profile
«Reply #1 on: May 31, 2011, 07:03:15 AM »
Reply with quote
Phir bhi Sukoon hai...

Phir bhi sukoon hai dil ko,
jo ye toota nahi hai, reh gaya akela magar,
apno ke dilon se rutha nahi hai,
mohabbat toh karwati hai intezaar,
par bemuravvat waqt se iska daaman choota nahi hai...

Phir bhi Sukoon hai,
Is aazmaish ke baad woh hume bula hi lenge,
apna chahe na banaye par dunia se humein juda hi rakhenge,
dil mein kitna hi bhar denge dard,par aankhon se pyar bayaan kar hi denge,
Betakalluf na honge hamare sanam, par humein kisso mein kaha karenge...

Phir bhi Sukoon hai,
Mehfil mein woh aaj bhi hamara naam pukaara karte hai,
hum wahan rahe na rahe, par unke nain hamara intezaar karte hai,
chilman se dekh kar unhe hum, apne dil ki tees ko daba dia karte hain,
par jaise hi hum unke deedar kare, jaane kyun woh mooh mod lia karte hain...

Phir bhi Sukoon hai Dil ko Janaab...
Woh hamare hai, aur hum inki Zindagi kehlate hain,
Aaj agar na samjhe hain toh phir samjhaane ka vaada hum hi uthaate hain,
Gum nahi humein ki woh aaj tak humein jaan nahi paaye,
Yeh dil hai hi itna manchala ki hum unhe aaj tak hamara pyar bata hi nahi paaye...

Phir bhi Sukoon hai...
Ye dil jo aaj hamara hai...shayad kal unka hoga,
Is bhare zamaane mein sabse haseen unhe hamara chehra hoga...
KHUB
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #2 on: May 31, 2011, 07:04:41 AM »
Reply with quote
Shukriya Janab...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: May 31, 2011, 08:59:57 AM »

waaah waaah waaah shalu aapne bahut positive nazariye se iss tahreer ko likha hai. daaad qabul karein

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #4 on: May 31, 2011, 09:03:33 AM »
Reply with quote
Shukriya...Janaab...
Logged
nirala
Guest
«Reply #5 on: May 31, 2011, 06:29:32 PM »
Reply with quote
hamaare jese aire gaire ke bas  ki bat nai ki isme 2 line ka bhi jawab de saken…

bht khub salu sahiba…
good energy…
keep it up Usual Smile

sukoon ye hai ki unki khairiyat ki khabar mil jati hai
………bhale hi saari saari raat unki yaade bht tadpaati hain!!!!
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: June 02, 2011, 11:07:58 AM »
Reply with quote
......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: June 02, 2011, 12:15:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob..
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #8 on: June 02, 2011, 12:57:28 PM »
Reply with quote
aapki soch mujhe pasand aaya
yunhi likhte rahiye
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #9 on: June 02, 2011, 01:21:21 PM »
Reply with quote
Shukriya.. Usual Smile
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #10 on: June 09, 2011, 08:07:29 AM »
Reply with quote
good work
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #11 on: June 09, 2011, 10:13:50 AM »
Reply with quote
Thanks a lot !
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:22:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.269 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer