Tumhare Siwa

by Roja on September 07, 2009, 03:13:47 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3640 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: September 16, 2009, 04:36:59 PM »
Reply with quote
wow good one Roja!!

Thank you di
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ik ham ke siwa by soniya shetti in Shayri-E-Dard
*~*Hum Tumhare Hain....Tumhare Sanam ! *~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ek Terai Siwa by always_love_mother in Other Languages
***Aap Ke Siwa*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Tumhare Siwa*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
Roja
Guest
«Reply #16 on: September 16, 2009, 04:39:35 PM »
Reply with quote

Meri Mohabbat Diwangi
Nahi Junoon Hai Mera

Wo Meri Jaan Hi Nahi
Balke Sukoon hai Mera

Gar Chaha hai Usse Apni
Jaan Se Bi Jyada Maine

To Bata Aye Khuda Ismein
Kya Qasoor Hai Mera


 
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: September 20, 2009, 12:42:38 PM »
Reply with quote
Lamha lamha azaab ho jaise
Dil ghamon ki kitab ho jaise

Khushbu pheli hui hai charon taraf
Zakhm dil ka gulaab ho jaise

Ek chehra hai jo tasawer mey
Aap apna jawaab ho jaise

Jal raha hoon mein thundi chaon mein
Mujhpe utra azaab ho jaise

Mujh ko manzil dikhayi deti hai
Her qadem qamiyab ho jaise

Zindagi jis ko loog kehtay hain
Mehaz khuli kitaab ho jaise

Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: September 22, 2009, 02:50:21 AM »
Reply with quote

Tum door ho ke be mere pass rehte hoo
Mere dil mein baste ho mere saath rehte hoo

Shab-e-tanhi ke ik ik ghadi phool bantee hey
Khushbu bann ke tum mera angaan mehkate hoo
 
Tumare yaad ke hidatt se jab jalta hai dil mera
Tab tum payar ka sawan bann ke baras jate hoo

Shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum
Sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo

Tumare sard rawaye pe haan jalta hai jee mera
Kyu khud be tarapte ho aur mujhko be tarpate hoo

 
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: September 22, 2009, 03:04:26 AM »
Reply with quote

Mohabbat dil pe dastak hai!
Badan ko rooh ka
Raasta dikhati hai
Mohabbat ik dua hai

jo!

Hamesha saath rehti hai
Mohabbat thandi chaon hai

jo!

Sehraon ke saffar main
Kaam aati hai

Mohabbat us ka pallo hai
Jahan umeed ke kuch lafz
Bandhey hain
Mohabbat us ki aankhain hain

ki!

Jin main khuwab jaagtey hain
Mohabbat uska chehra hai

ki!

Jis main dil ki teh main
Rakhi khuwahisain
Saans leyti hain
Mohabbat dil pe dastak hai!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: September 22, 2009, 03:59:57 AM »
Reply with quote
nice sharing Roja
Logged
Sager4u
Guest
«Reply #21 on: September 22, 2009, 04:06:18 AM »
Reply with quote
Roja, collection of feeling
love u yaar
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: September 23, 2009, 02:57:26 PM »
Reply with quote
nice sharing Roja

Thank you di  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: September 23, 2009, 02:58:55 PM »
Reply with quote
Roja, collection of feeling
love u yaar

Thanks for reading my collections Sagar  Usual Smile
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #24 on: September 23, 2009, 03:03:58 PM »
Reply with quote
Tumhare siwa is zindagi ka koi faida nahi
Tumhare bina zindagi bhi lekin zindagi nahi

Jab tum pass hote ho to aisa lagta ke hum zinda hai
Jab tum humse dhur jate ho to aisa lagta hai
Ke ye zindagi. zindagi nahi

Tere naam  kiya hai apna sara jeevan sanam




bahut khub likha h apne roja ji meine bhi kuch koshish ki hai galti huvi ho to maf krna

Kyu ho jate ho aap mujhse dur
aapka bina bhi meri zidagi adhuri hai
aapke bina bhi ye koi meri zindagi hai
Mana ki kuch galtiya ho jati hai
per kya dur jane se duriya ghat jati hai
ab mat jao mujhse dur
aa jao laut ke ap hum hai
aapke bina kitne hai majboor
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: September 23, 2009, 03:04:28 PM »
Reply with quote
Suno tum laut aao na woh dekho chaand nikla hai
Sitaare jagmagaye hain,hamari muntazir aankhein,

Duaein mangti hain aankhein,tumein hi sochti hain aankhein.
Tumein hi dhoondti aankhein,tumein wapis bulati hain,

Yeh dil jab bhi dharhkta hai,tumhara hi naam leta hai.
Yeh aansoo jab bhi behte hain,tumhare dukh mein behte hain.

Ke barish jab bhi hoti hai, tumein yaad karti hai,khushi koi jo aaye bhi
Tumhare bin adhoori hai suno tum laut aao na...
Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: September 23, 2009, 03:05:50 PM »
Reply with quote
bahut khub likha h apne roja ji meine bhi kuch koshish ki hai galti huvi ho to maf krna

Kyu ho jate ho aap mujhse dur
aapka bina bhi meri zidagi adhuri hai
aapke bina bhi ye koi meri zindagi hai
Mana ki kuch galtiya ho jati hai
per kya dur jane se duriya ghat jati hai
ab mat jao mujhse dur
aa jao laut ke ap hum hai
aapke bina kitne hai majboor

Rishi ji ye mera collections hai. thanks aapne pada aur aapne be bahut accha likha hai... sabhash  Clapping Smiley Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: September 23, 2009, 03:08:39 PM »
Reply with quote
Ham apne gham ko sajaa kar bahaar kar lenge
Tere khyaalon ko thora sa pyaar kar lenge

Muhabbaton ki kahani tujhe sunaeinge
Hawa chale gi to aanchal ki yaad aaye gi
Ghata uthe gi to kaajal ki yaad aaye gi

Tere haseen tasawwar ko pyaar kar lenge
Yoon yaad hum bhi tujhe baar baar kar lenge

Jo pyaar karte hain woh in ghamon ko sehte hain
Muhabbaton mein toofan aate hi rehte hain
Tumhare naam ko dharkan ke saath rakh lenge

Tumhare chehre ko darpan ke saath rakh lenge
Yeh dooriyon ka samundar bhi paar kar lenge
Tamaam umar tera intezaar kar lenge
Logged
Roja
Guest
«Reply #28 on: September 27, 2009, 06:15:23 AM »
Reply with quote
Chandni raat aur mere hatho me tumhara hath
Noor hi noor bikhra hai harsu kitni suhani hai ye raat

Sabse juda hokar hum teri dhadkano me sama gaye
Khud ko kho diya humne na jaane kaisi hui tumse mulaakaat

Tere haatho ki laqeero me dekha hai apna naseeb
Tere hi naam se shuru hokar tujh par aake khatam ho meri har ek baat

Payar ke safar ke hum do raahi chale hai ek duje ke sath
Dil ki duniya bhi basai hai humne deke dil ki saugaat

Falak par yu umad aaye baadal ban ke payar
Bheege hum bhi raat hui kuchh aisi barsaat

Tassavvur me rehti hai hardum ban ke hum khayal
Apne chand se apne mahboob se meri ye mulaakaat


Logged
Roja
Guest
«Reply #29 on: September 27, 2009, 06:16:05 AM »
Reply with quote
Nasha hai dil mein aur hai ek khumar
Dil toh bas hai aapse milne ko bekarar
Na jaane dil kaise kare aapse ye ikrar
Ki pyar hai is dil mein aapke liye beshumar
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:01:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer