...:::WorrieS-SorrowS-And-TearS:::....

by rkswatian on July 16, 2009, 04:59:37 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 6116 times)
rkswatian
Guest
«Reply #105 on: September 10, 2009, 02:13:45 PM »
Reply with quote






~*-Hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin-*~


hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin
main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yad nahin

main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin

kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen
kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin

sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin

zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin

ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
log kehte hain k sagar ko khuda yad nhi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
I Am Sorry My Tears.... by Sonu in English « 1 2 ... 7 8 »
Tears !!!!!!! by Ninaah in General Stories « 1 2 ... 10 11 »
Will you ever see my tears by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Why worries come true... by mrkotians in Inspirational Stories and real life Incidences.
Deep Waves of Sorrows. by R.M. Dixit in English
rkswatian
Guest
«Reply #106 on: September 10, 2009, 02:15:18 PM »
Reply with quote





chhupaaye dil main Gamon kaa jahaan baiThe hain

chhupaaye dil main Gamon kaa jahaan baiThe hain
tumhaarii bazm main ham bezabaan baiThe hain

ye aur baat ki manzil pe ham pahuNch na sake
magar ye kam hai ki raahon ko chhaan baiThe hain

fuGaaN hai dard hai soz-o-firaaq- o-daaG-e- alam
abhii to ghar main bahut meharabaan baiThe hain

ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii
luTaa ke ishq me.n naam-o-nishaan baiThe hain

vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai
jise shariat-e-ehasaas maan baiThe hain

hai maikadon kii bahaaro.n se dostii 'Sagar'
baraaye had-e-yaqiin- o-gumaan baiThe hain,
Logged
Roja
Guest
«Reply #107 on: September 10, 2009, 03:27:09 PM »
Reply with quote
Aal nazms and ghazals are superb....  Thumbs UP
Ek se badkar ek raha. Very good collections Rks ji  Thumbs UP
Thank you very much for these lovely sharing.

Logged
rkswatian
Guest
«Reply #108 on: September 11, 2009, 01:08:52 PM »
Reply with quote
Aal nazms and ghazals are superb....  Thumbs UP
Ek se badkar ek raha. Very good collections Rks ji  Thumbs UP
Thank you very much for these lovely sharing.




Ooyee Shukriya Janaab Aap ka...
Chalo Koi Tu Hain Jis Ko Humari Collection pasand Aa hi Gaya..

Warna Yahan Tu.......................................
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #109 on: September 11, 2009, 01:31:54 PM »
Reply with quote





Ek din youn hee mere zindagi mae ajao gee
Mere Sansoon mae dhadkanoon mae youn samajao gee
Mere ratoon ki neend chura jao gee
Merae dil ka sakoon chheen jao gee
Tum mere zindagi hee ban jao gee
Hur pal ko iss tarah mahka jao gee
Nigah pertae hee apna aadi bana jao
Tum mere zindagi mae kab aoo gee
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #110 on: September 11, 2009, 01:34:01 PM »
Reply with quote





HAR SAKHS KEH RAHA HAI TUJE DEKHNE K BAAD
WADA MERA WAJAH HAI TUJHE DEKHNE K BAAD
 
AA KAR TUMHARE SEHAR SE WAPAS NA JAYENGE
YE FAISLA KIA HAI TUJHE DEKHNE K BAAD
 
SAJDA AGAR KARENGE TO QAFIR KAHENGE LOG
YE KOUN SOCHTA HAI TUJHE DEKHNE K BAAD
 
KAHTE THE TUJHKO LOG MASIHA MAGAR YAHAN
EK SAKHS MAR GAYA HAI TUJHE DEKHNE K BAAD
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #111 on: September 11, 2009, 01:38:34 PM »
Reply with quote





Mery Jazbon Ki Sachai Ab Bhi Waisi Hay,
Us Bin Meri Tanhai Ab Bhi Waisi Hay,

Ab Kya Ehsaas Dilana Us ko Apne Dard Ka,
Us ki Laparvahi Ab Bhi Waisi Hay,
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #112 on: September 11, 2009, 01:39:32 PM »
Reply with quote





Narazgi b teri gwara na kar sake,
Aur teri mohabton se kinara na kar sake,

Mere tamam khwab adhore hi rah gae,
Hum khwab me b khud ko tumhara na kar sake.
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #113 on: September 11, 2009, 01:40:11 PM »
Reply with quote





Aaj Phir Teri Yaad Aayi Chand Ko Dekh Kar
Ankh Phir Num hui Chand Ko Dekh Kar

Roye Is Qadar Teri Yaad Me Hum
Kay Chand Bhi chup gaya tanhai ko dekh kar
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #114 on: September 11, 2009, 01:40:51 PM »
Reply with quote






Wo To Deewana Tha mujhe TANHA Chhor Gaya,
Khud Na Ruk Saka  Apna SAYA Chhor Gaya,

Dukh Nahi Gham is Baat Ka Hai,
Aankhon Se Kar K WADA Baaton Se TOR Gaya?
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #115 on: September 11, 2009, 01:41:22 PM »
Reply with quote






Us ne hmare zakhmon ka kuch yun ilaj kiya "FARAZ"
Marham bhi lgaya to kanton ki nok see....
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #116 on: September 11, 2009, 01:42:12 PM »
Reply with quote





TANHAE

•"Muskurane ki adat b kitni mehngi pari hum ko "Hafeez"
•"Chor gya wo ye soch kr k judai main b khush hon main!
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #117 on: September 11, 2009, 01:43:01 PM »
Reply with quote






JUDAI

Kabi jo waqat par jaye , Tumhain mujh se bichrna ho,
Tumhain waday se phirna ho, To beshak dair mat krna,

Mujhay naraz kr dena, Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chat dena,

Magar jab lout k aana, Tumhain mitti k teely par,
Main shaid na dikhain doun,

Magar heran mt hona, Whain do char qadmoun pr,
Mazaar-e-bekran ho ga, Whain ik phool rakh dena,

Aur ik shama jala dena,
Aur apna rukh badal lena!!!
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #118 on: September 11, 2009, 01:43:59 PM »
Reply with quote





~*Khawab*~

Khawab ki tarha bikhar jane
ko je chahata hay

Asi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay


Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye

Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay


Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun

Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #119 on: September 12, 2009, 12:48:24 PM »
Reply with quote





Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
Usko gham tha itna ziyadah, khud wo rona bhool gaya
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:10:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer