...:::WorrieS-SorrowS-And-TearS:::....

by rkswatian on July 16, 2009, 04:59:37 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10
ReplyPrint
Author  (Read 6193 times)
rkswatian
Guest
«Reply #120 on: September 14, 2009, 01:32:31 PM »
Reply with quote





Aap hi apna daman bhara degiye


Asheyan jal gaya gulsitaan lut gaya
Hum kafas se nikal kar kidhar jayeen ge
 Itne manoos saiyaad se ho gaye
Ab rehayi mile gi to mar jayeen ge
 Aur kuch din yeh dastoor_e_ mehkhana hay
Tashnakami k yeh din guzar jayeen ge
 Mere saqi ko nazreen uthane to do
Jitne khali hain sab jaam bhar jayeen ge
 Aye naseem_e_sahar tuj ko un ki kasam
Un se ja kar na kehna mera haal_e_ghum
 Apne mitne ka ghum to naheen hay magar
Dar yeh hay un k gasuu bikhar jayeen ge
 Ashqe ghum le k akhir kahan jayeen hum
Aansuon ki yahan koy kimat naheen
 Aap hi apna daman bahra degiye
Warna moti zameen par bikhar jayeen ge
 Kale kale woh gesu shikandar shikan
Woh tabasum ka allam chamandar chaman
 Khanch li un ki tasveer dil ne mere
Ab woh daman bacha kar kidhar jayeen ge!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
I Am Sorry My Tears.... by Sonu in English « 1 2 ... 7 8 »
Tears !!!!!!! by Ninaah in General Stories « 1 2 ... 10 11 »
Will you ever see my tears by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Why worries come true... by mrkotians in Inspirational Stories and real life Incidences.
Deep Waves of Sorrows. by R.M. Dixit in English
rkswatian
Guest
«Reply #121 on: September 14, 2009, 01:34:43 PM »
Reply with quote





Zindagani Ke Safar Main Gardishoon Ki Dhoop Main
Jab Koye Saya Nahi Milta To Yaad Ati Hai Maa

Payar kahtay Hain Kise Aur Mamta Kiya Cheez Hai
Koye Un Bachoon Se Pochay Jin Ki Mar Jati Hai Maa

Ghar Se Jab PPardes Ja Ta Hai Kooye Noor-e-Nazar
Hath Main Qurn Le Ker Dar Pe Aajati Hai Maa

De Ke Bachay Ko Zamanat Main Razaye Pak Ki
Peechay Peechay Sir Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa

Kanpti Aawaz Se Kehty Hai Baita lwida?
Samnay Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa

Jab Perayshani Main Ghar Jatay Hain Hum Pardes Main
Ansoon Ko Poonchnay Khawaboon Main Aajati Hai Maa

Dair Ho Jati Hai Ghar Anay Main Aksar Jab Hamain
Rait Per MAchli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Martay Dum Tuk uska Bacha Na Ghar aye Pardes Se
Apni Dono Putliyaan Chokhat Pe Rukh Jati Hai Maa

Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #122 on: September 14, 2009, 01:36:52 PM »
Reply with quote





SAMAJH LENA MUHABBAT HEI...

Samaj lena Muhabaat hei
ager sansein mehak jayen

ager aankhen chalak jayen
ager khwaboon ki khuwahish hoo

ager pholon ki barish ho
ager hanste howe rone ko ji chahe akele man

ager tum pochne jao k akhir kiya haqiqat hei
aur us ka yeh jawab aaye

muje to tum se nafrat hei
TO
samaj lena Muhabbat hei...
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #123 on: September 14, 2009, 01:37:48 PM »
Reply with quote





Ashkoon Main Dhal Gaye Teri Surat

Hoti hay tere name se wahisht kabhi kabhi
Barhum huye hay yun bhi tabiyat kabhi kabhi
 Aye dil kise naseeb yeh tofeq azteraab
Milti hay zindagi main yeh rahat kabhi kabhi
 Tere karam se aye almhusne aaferin
Dil ban gaya hay dost ki khalwat kabhi kabhi
 Josh jannon main dard ki tagyanion k sath
Ashkoon main dhal gayi teri surat kabhi kabhi
 Tere kareb rah k bhi dil mutmahen na tha
Guzri hay muj pe yeh bhi qiyamat kabhi kabhi
 Kuch apna hosh tha na tumara khayal
Yun bhi guzar gaye shab_e_ farkat kabhi kabhi
 Aye dost hum ne tark_e_mohabbat k bawajood
Mehsoos ki hay teri zarorat kabhi kabhi!!!
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #124 on: September 14, 2009, 01:41:08 PM »
Reply with quote





Aye Dil


Aye dil kisi ki yaad main
Hota hay bekarar kyun

Jis ne bhula deya tujhe
Us ka hay intezar kyun
 
Woh na mile ga ab tujhe
Jis ki tujhe talash hay

Rahoon main aaj bekafan
Teri wafa ki lash hay

Yeh to zara bata mujhe
Tune kiya tha pyaar kyun
 
Aanso jo hain ruke huwe
Hans k inhen baha bhi de

Jitne hain dag pyaar k
Ro k unhen mitaa bhi de

Tu ne hay phir bana liya
Gham ko gale ka haar kyun
 
ayegi tuj main roshni
Ab na kisi k name se

Tu woh deya hay mere dil
Jo k buhja ho shaam se

Phute gi phir koy kiran
Tuj ko hay ehtbar kyun
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #125 on: September 14, 2009, 01:42:03 PM »
Reply with quote





“Chand Roz Aur"
"Faiz Ahmed Faiz"


chand roz aur merii jaan faqat cha.nd hii roz
zulm ki chhaon men damm lene par majabur hain hum

ik zara aur sitam seh len tarap len ro len
apne ajdaad ki meeraas hai maazoor hain ham

jism par qaid hai jazbaat pe zanjeer hai
fikr mahabuus hai guftaar pe taazeerain hain
aur apanii himmat hai keh ham phir bhi jiye jaate hain

zindagi kya kisi muflis ki qabaa hai
jis men har gharri dard ke paivand lage jaate hain

lekin ab zulm kii miyaad ke din thoray hain
ik zara sabr ki fariyad ke thoray hain

arsa-e-dahar ki jhulasi huyi veerani men
ham ko rehna hai par yoonhi to nahi rehna hai

ajanabi hathon ka benaam giraan-baar sitam
aaj sahana hai hamesha to nahi sahana hai

ye teri husn se lipati huyi aalam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumaar

chandni raaton ka bekaar dehakta hua dard
dil ki besud tarrap jism ki mayoos pukaar


chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz..!!
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #126 on: September 14, 2009, 01:42:48 PM »
Reply with quote





Mujhye Sakoon Chaye

Bharak rahi hay aag si hawaoon main
Sulag raha hoon baadlon ki chaaoun main
Bahar muj se cheen gaye
Mujhe bahar chaye
Mujhe sakoon chaye
Mujhe karar chaye
Kisi ki dil lagi ko pyaar jaan k
Main lut gaya hoon dil ki baat maan k
Na muj ko chaye wafa
Na muj ko pyaar chaye
Mujhe sakoon chaye
Mujhe karaar chaye

Najane kab yeh dil ka dard jaye ga
Rahoon ga hosh main to gham sataye ga
Mere liye to raat din bas ek khumar chaye
Mujhe sakon chaye
Mujhe karaar chaye
Tarap na mere dil kisi ki aas main
Hazar talkhiyan hain teri pyaas main
Tujhe to sari zindagi ka intezar chaye
Mujhe sakoon chaye
Mujhe karaar chaye
Logged
Roja
Guest
«Reply #127 on: September 14, 2009, 02:34:53 PM »
Reply with quote
Beautiful collections Rks ji  Applause
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #128 on: September 14, 2009, 02:36:26 PM »
Reply with quote
Beautiful collections Rks ji  Applause

Shukriya Janab Aap Ka...
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #129 on: September 15, 2009, 01:26:13 PM »
Reply with quote





~*Mujhay aap kiyun na samajh sake*~

Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua

Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua

Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua

Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua

Mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
Kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua

Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm- e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa

Yeh jo sar jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
Meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa

Mujhay ap kiyun na samajh sake ye khud apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula hua..........
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #130 on: September 15, 2009, 01:27:45 PM »
Reply with quote






~*Yun Ruth Na Gori Mujh Se*~


Yun ruth na gori mujh se
Dil tuut gaya tu tujh se
Jora na jaye ga

Tue choor ke jis ko chal de
Chahat to naheen woh daman
Zanjeer naheen hay lekin
Yeh piyar hay aisa bandhan
Tue chaye bhi to tujh seeee
Tuj se tora na jaye ga

Yeh piyar naheen woh kajal
Jo aankhon main chup chup jaye
Yeh sath naheen woh mahndi
Jo hathon se chot chot jaye
Yeh sath kabhi bhi tujh seee
Tuj se chora na jaye ga

Jo aaj ko tue ne khoya
To baad main ho ga sadma
Yeh baat bhi sun le meri
Jo beet gaya woh lamha
Aanchal ki tara phir tujh see
Tuj se mora na jaye ga...
Logged
Roja
Guest
«Reply #131 on: September 15, 2009, 01:55:20 PM »
Reply with quote


~*Yun Ruth Na Gori Mujh Se*~


Yun ruth na gori mujh se
Dil tuut gaya tu tujh se
Jora na jaye ga

Tue choor ke jis ko chal de
Chahat to naheen woh daman
Zanjeer naheen hay lekin
Yeh piyar hay aisa bandhan
Tue chaye bhi to tujh seeee
Tuj se tora na jaye ga

Yeh piyar naheen woh kajal
Jo aankhon main chup chup jaye
Yeh sath naheen woh mahndi
Jo hathon se chot chot jaye
Yeh sath kabhi bhi tujh seee
Tuj se chora na jaye ga

Jo aaj ko tue ne khoya
To baad main ho ga sadma
Yeh baat bhi sun le meri
Jo beet gaya woh lamha
Aanchal ki tara phir tujh see
Tuj se mora na jaye ga...


Wah this one is very very good.. Thanks for sharing RKS ji
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #132 on: September 15, 2009, 02:11:23 PM »
Reply with quote
U Welcome Roja Jee...

Wese Aap Ka Naam Bohut Acha Hain...
Magar Humain Aap ke Naam Ka Matlab Samajh Main Nahi Aaya...
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #133 on: September 16, 2009, 01:15:37 PM »
Reply with quote





kab yaad main teraa saath nahiin kab haath main teraa haath nahin

kab yaad main teraa saath nahiin kab haath main teraa haath nahin
sad shukr ke apanii raaton main ab hijr kii koii raat nahin

mushkil hai.n agar haalaat vahaa.N dil bech aaye.N jaa.N de aayeN
dil vaalo kuuchaa-e-jaanaaN main kyaa aise bhii haalaat nahin

jis dhaj se koii maqtal men gayaa vo shaan salaamat rahatii hai
ye jaan to aanii jaanii hai is jaaN kii to koii baat nahin

maidaan-e-vafaa darbaar nahion yaaN naam-o-nasab kii puuchh kahaaN
aashiq to kisii kaa naam nahiin kuchh ishq kisii kii zaat nahin

gar baazii ishq kii baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa
gar jiit gae to kyaa kahanaa haare bhii to baazii maat nahin
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #134 on: September 16, 2009, 01:30:17 PM »
Reply with quote





~*Jine Ki Tamana Koun Kare*~

Marne ki duayeen kyun mangon
Jine ki tamana koun kare
Yeh duniya ho ya woh duniya
Ab khuwaishe duniya koun kare

 
Jo aag lagayi thi tum ne
Us ko to bujhaya ashkon ne
Jo ashkoon ne bharkayi hay
Us aag ko thanda koun kare

 
Jab kashti sabit_o_salim thi
Sahil ki tamana kis ko thi
Ab asi shikesta kashti par
Sahil ki tamana koun kare

 
Duniya ne humain chora aye dil
Hum choor na deen kyun duniya ko
Duniya ko samjh kar bathe hain
Ab duniya duniya koun kare
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:10:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer