...:::WorrieS-SorrowS-And-TearS:::....

by rkswatian on July 16, 2009, 04:59:37 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 6111 times)
rkswatian
Guest
«Reply #15 on: July 16, 2009, 05:28:23 PM »
Reply with quote
~*Pathar ki dewaron ko*~

Ja apni hasratoon par

Aansu baha k sooo ja

Kaheen sun na le zamana

Aye dil khamosh ho ja
 Mil bhi gaya to phir kiya ho ga
Lakhon milty dekhe hain
phool bhi khilty dekhe hain
kiya ghum hay kiya khushi hay

Sab kuch bhula k so ja
 Geet suna mat aye dewane
Pathar ki diwaron ko
Soye huwe ghumkharon ko
Yeh shab na khatam ho gi

Shamain bhuja k soo ja




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
I Am Sorry My Tears.... by Sonu in English « 1 2 ... 7 8 »
Tears !!!!!!! by Ninaah in General Stories « 1 2 ... 10 11 »
Will you ever see my tears by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Why worries come true... by mrkotians in Inspirational Stories and real life Incidences.
Deep Waves of Sorrows. by R.M. Dixit in English
rkswatian
Guest
«Reply #16 on: July 16, 2009, 05:29:10 PM »
Reply with quote
Tujhe Pyaar Karte Karte Meri Umar Beeth Jay,,,
Mujhe Moot Jo Bhi Aya, Teri Bazowon Main Aya...
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #17 on: July 16, 2009, 05:29:58 PM »
Reply with quote
Zindagi Jabr e Musalsal Ki Tarah Katti Hian,,,
Jany Kis Jurm Ki Pai Hain Saza Yaad Nahin...
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #18 on: July 16, 2009, 05:31:27 PM »
Reply with quote
Us ko chaha bhi bohut magar woh mujhe meli hi nahin,
Laakh koshishein keye magar fasila metta hi nahin,

Us ko zamane ne majboor is qadar kardiya,
Ke meri kisi Sda pe woh tehri hi nahin,

Khuda se jholi phela phela kar manga tha use,
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahin,

Har ek se pucha sabab us ke na melne ka,
kar ek ne bataya ke woh tere liy bani hi nahin,

Main tamaam umar koshishoon ke bawajood haar gaya,
Woh use mil gai jis ne use manga hi nahin,

Itni shedat se chaha tha aur woh kisi aur ka hogaya,
Shayad is jahan main WAFA ka silha hi nahin........
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #19 on: July 16, 2009, 05:34:04 PM »
Reply with quote
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahin Karte,
Jaam Dosroo Se Cheen Kar Hum Piya Nahin Karte,
Un Ko Mohabbat Hain Tu Aakar Izhaar Kary,
Pecha Hum Bhi Kisi Ka Kia Nahin Karte....
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #20 on: July 16, 2009, 05:35:48 PM »
Reply with quote
Us Say Kahna Kay Sansain Ab Bhe
                    Tery hi nam Say Chalte hain

    Dil ab bhe tery nam sy darkta hay

                  Akhain ab bhe muntazar hain

     Sawan ab bhe barsta hay

                  Magar Us say Khna Ab Rat guzarte nahen

     Parenday geet gaty hain

                   Bahar ati hi nahen

     Magar us say khna Ab Rat guzarte nahen

                   Intazr tab bhe tha Intazar ab Bhe hay
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #21 on: July 16, 2009, 05:37:43 PM »
Reply with quote
Kisi Baat Per Mai Kisi Se Khafa Hoon

Main Zinda hoon Per Zindagi Se Khafa Hoon
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #22 on: July 16, 2009, 05:38:36 PM »
Reply with quote
To Ne Kuch Bhi Na Kaha Ho Jaise
Mere He Dil Ki Sada Ho Jaise

Yun Teri Yaad Se Jee Ghabraya
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #23 on: July 16, 2009, 05:39:12 PM »
Reply with quote
Teri Yaad To Aik Anmol Phool Hay
Main Aapko Bhool Jaun Yeh Aapki Bhool Hay

Koi Yaad Hamein Na Kere Gila Nahi
Ham Apnon Ko nahi Bhultay yeh Hamara Asool Hay
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #24 on: July 16, 2009, 05:39:38 PM »
Reply with quote
Badla Waffa ka Dein gay Bari Sadgi Se Hum
Tum Ham Se Rooth Jao Gay Aur Zindagi se Ham
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #25 on: July 16, 2009, 05:44:24 PM »
Reply with quote
Meri Saadgi Mera Jurm Hay

Yahan Chahton Ka Sila Nahi,

Yahan Dosti Ka Maza Nahi,

Yahan Janay Kesi Hawa Chali,

Rahi Dostoon Main Wafa Nahi,

Yahan Jal Gaya Mera Aashiana,

Abhi Badlon Ko Pata Nahi,

Teray Dar Pe Dastak De Sakon,

Ye Haq To Tum Ne Dia Nahi,

Main Raahi Hon Raah-e-Umeed Ka,

Mujhay Manzilon Ka Pata Nahi,

Be Bas hon Jahan Main Isqader,

Jaisay Mera Koi “KHUDA” Nahi,

MERI SAADGI MERA JURM HAi,

KOI AUR MERI KHATA NAHI.
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #26 on: July 16, 2009, 05:52:15 PM »
Reply with quote
~*Woh Tera naam Tha*~

Jis ki jhankaar main dil ka araam tha
Woh tera naam tha

Mere honton pe raksaan jo ek naam tha
Woh tera naam tha

Muj se mansoob theen dastaneen kahi
Aik se aik nayi

Khubsurat magar jo ek ilzaam tha
Woh tera naam tha

Kaise karta kisi aur ki gufhtguh
Yaad tha sirf tu

Muj ko mere janoon ka jo inaam tha
Woh tera naam tha

Suba se shaam tak jo mere paas thi
Woh teri aas thi

Shaam k baad jo kuch lab_e_baam tha
Woh tera naam tha

Dost jitne the na ashna ban gaye
Paarsa ban gaye

Jo mere sath ruswaa sar_e_aam tha
Woh tera naam tha

Gham ne tarikhiyon main uchala mujhye
Maar dala mujhye

Ek nayi chaandni ka jo pahgaam tha
Woh tera naam tha

Tere hi dam se hay yeh kateel aaj bhi
Shaeri ka wali

Is ki ghazloon main kal bhi jo alhaam tha
Woh tera naam tha
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #27 on: July 16, 2009, 05:58:34 PM »
Reply with quote
~*Tanha guzar rahi hay*~

Ketne badal gaye hain woh hallat ki tara
Jab bhi mele hain pahli mulaqaat ki tara
 Hum kiya kisi k husan ka sadqa utarte
Ek zindagi mili hay to khairaat ki tara
 Hum donon eik jasey iradon k hain magar
Donon alag alag hain din aur raat ki tara
 Tanha hoon is jahan main khud ki tara zafar
Tanha guzar rahi hay us ki zaat ki tara!!!
 


 
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #28 on: July 16, 2009, 08:03:29 PM »
Reply with quote
"Ghazal"


Ek hunar hay jo kar geya hoon main

Sub kay dil say utar geya hoon main


Kaisay apni hansi ko zabt karoon

Sun raha hoon kay ghar geya hoon main


Kya bataoon keh marr nahi pata

Jeetay ji jub say marr geya hoon main


Ab hay bus apna saamna darpaish

Her kisi say guzar geya hoon main


Woh hi naaz-o-adaa, woh hi Ghamzay

Sar-ba-sar aap per geya hoon main


Ajab ilzaam hoon zamanay ka

Keh yahan sub kay sar geya hoon main


Kabhi Khud tak pohanch nahi paya

Jub keh waan ummar bhar geya hoon main


Tum say janaan mila hoon jis din say

Bay-tarah, Khud say darr geya hoon main


Koo–e–janaan main soag barpa hay

Keh achanak, sudhar geya hoon main..!


Poet:
‘Jon Elia’
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #29 on: July 16, 2009, 08:06:20 PM »
Reply with quote
~*Aankhon Ne Kahen Aankhon Ne Suni*~

Jo haal poucha to hum haal_e_dil suna na sake
Zubaan pe aye fasane ko lab hilaa na sake
 Kuch bhi na kaha aur kah bhi gaye
Kuch kehty kehty rah bhi gaye
 Bateen jo zubaan tak a na sakeen
Aankhon ne kaheen aankhon ne suni
 Kuch honton par kuch aankhon main
Ankahey fasane rah bhi gaye
 Dekheen ge unheen dil kahta tha
Jab dekha to dakha na gayaaa
 Kuch nikle kuch bechain huwe
Kuch armaan dil main rah bhi gaye
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:31:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer