rkswatian
Guest
|
«Reply #30 on: July 16, 2009, 08:40:03 PM » |
|
~*Yun Hi Kisi Ne Poukara Ho*~
Samandar ho aur kanara ho Ek ghum k bas humara ho Duub hi jane ko kabhi Koy to ek sahara ho EK haadsa eisa bhi guzra K jee chaye dobara ho Kabhi to yun dekh jao tum K akela suba ka sitara ho Sanbhul sakon na phir kabhi Koy eisa bhi khasara ho Neend yun khul jaye jaise Yunhi kisi ne pukara ho Urta rahoon par baras na paon jaise badal ek awara ho Har ek moor par hum ne socha Koun sa rasta tumara ho Ahmer jis main bahta jaon Wafa ka koy to dhara ho!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #31 on: July 16, 2009, 09:57:35 PM » |
|
Wah RKS ji,kamaal ka thread open kiya aapne,excellent,very nice and beautiful creation, :clapping:aise hi likhte rahena.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #32 on: July 17, 2009, 06:40:28 AM » |
|
Bahut Khoob RKS Ji Umda peshkash hain aap ke
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #33 on: July 17, 2009, 06:44:33 AM » |
|
Wah RKS ji,kamaal ka thread open kiya aapne,excellent,very nice and beautiful creation, :clapping:aise hi likhte rahena. Shukriya Aap sab ka jo humain itna sammaan diya... thank very much
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #34 on: July 17, 2009, 06:54:41 AM » |
|
Ik Aas Ik Ahsaas Meri Soch Aur Bus Tum......... ......... ..!
Ek Sawal Ik majal Tumhara Khayal Aur Bus Tum......... ......... ..!
Ik Baat Ik Shaam Tumahara Sath Aur Bus Tum......... .....!
Ik Dua, Ik Faryad Tumhari Yaad Aur Bus Tum......... .....!
Mera Junoon Mera Sakoon Bus Tum Aur Bus Tum......... ......!
SIRF TUM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #35 on: July 17, 2009, 06:55:36 AM » |
|
Akailay Pan Se Darti Hoon Juda Hone Se Darti Hoon
Meri Aankhein Btati Hayn K Main Sonay Se Darti Hoon
Mera Hath Pakar Lena Mujhe Tanha Nahi Kerna Yeh dunya Aik mela Hay Tumhein Khone Se darti Hoon
Main Hansti Hoon To Aankhon K Goshay Bheeg Jatay hayn Tumhein Maloom Hay K Main Is Trah Rone Se Darti Hoon
Jab Se Khawab Dekha HayMujhe Tum Chor Jao Gay Main darti Hoon Ab Khawabon Se
Main Ab Sonay se darti hoon.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #36 on: July 17, 2009, 06:57:07 AM » |
|
Kabhi Ruthna Na Mujh Se
Mujhe Manana Nahi Aata
Is Dil Se Dur Na Jana
Mjeh Bhulana Nahi Aata
Phir Bhi Agar Rutho To
Yeh Soch Lena
Mujhe Sanson Ko Tum Bin
Chalana Nahi Aata.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #37 on: July 17, 2009, 06:59:39 AM » |
|
Wafa mein aab yeah hunar ikhtiyaar karna hai.. Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ? Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai
hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai
woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya khayaal tha ke ussay sharamsaar karna hai
misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai
tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai
chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai
kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon qaba samajh kay badan taar taar karna hai
khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #38 on: July 17, 2009, 07:08:46 AM » |
|
~*Pahle Kareeb Tha Koy*~
Hum se badal gaya
Woh nigaheen to kiya huwa
Zinda hain kitne loog
Mohabbat kiye bagaer Guzre dinon main jo kabhi
Gunje the kahkahey
Ab apne ikhtiyaar main
Woh bhi naheen rahe Kismat main rah gayi hain
Jo ahhain to kiya huwa
Sadma yeh jhelna hay
Shikayat kiye bagaer Woh samne bhi ho to na
kholeen ge hum zubaan
Likhi hay us k chehre pe
Apni hi dastaan Us ko taras gayi hain
Yeh baheen to kiya huwa
Woh looot jaye hum pe
Enayat kiye bagaer Pahly kareeb tha koy
Ab duriyaan bhi hain
Insaan k naseeb main
Majboriyaan bhi hain Apni badal chuka hay
Woh raheen to kiya huwa
Hum chup raheen ge
Us ko malamat kiye bagaer
|
|
|
Logged
|
|
|
|
SARVESH RASTOGI
Guest
|
|
«Reply #39 on: July 17, 2009, 07:52:24 AM » |
|
Good collection
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #40 on: July 17, 2009, 08:04:54 AM » |
|
Good collection
Bohut Bohut Shukriya Janab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #41 on: July 17, 2009, 08:17:22 AM » |
|
~*Tum se pyaar hay*~
Kabhi to tum ko yaad ayeen gi
Woh bahareen woh samaan
Jhuke jhuke badloon k niche
Mile the hum tum jahan jahan Tum se bichre sadiyaan biteen
Phir bhi humain yaad aty ho
Saya ban k ahat ban k
Aaj bhi tum tarpaty ho
Zindagi ketne beyzaar hay
tum ne bhi to muj se kaha tha
Tum se pyaar hay Kahan gayi woh pyaar ki kasmain
pyaar ka wahda kiya huwa
Bewafa bewafa Jitna tum ko apna samjha
Utne hi tum begane the
Hum ne kiya kiya aas lagayi
Hum kitne diwane the
Zindagi kitni beyzaar hay
Tum ne bhi to muj se kaha tha
Tum se pyaar hay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #42 on: July 17, 2009, 10:01:31 AM » |
|
Bikhar rahi hai meri zaat usey kehna Kabhi miley to yahi baat usey kehna
Who sath tha to zamana tha hamsafar mera Magar AB koi nahin merey sath usey kehna
Usey kehna k bin us k din nahin kat'ta Sisik sisik k kati hai raat usey kehna
Usey pukaaron k khud hi pohanch jaoon us k pas Nahin rahey who hallat usey kehna
Agar who phir b na lotey to aey meherban qasid Hamari zeest k halaat usey kehna
Her jeet us k naam ker raha hoon main Main manta hoon apni haar usey kehna
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aaina
Guest
|
|
«Reply #43 on: July 17, 2009, 02:57:14 PM » |
|
Us ne kaha kon ho tum? Maine kaha hasrat teri. Us ne kaha dekhte kya ho? Maine kaha surat teri. Us ne kaha karte kya ho? Maine kaha Puja Teri. Us ne kaha kaafir ho kya? Maine kaha U hi sahi. Us ne kaha chahte kya ho? Maine kaha Mohabbat teri. Us ne kaha Pachtawoge, Maine Kaha QISMAT meri...
very nice rkswatain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
rkswatian
Guest
|
|
«Reply #44 on: July 17, 2009, 03:31:45 PM » |
|
shukriya janab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|