...:::WorrieS-SorrowS-And-TearS:::....

by rkswatian on July 16, 2009, 04:59:37 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 6202 times)
rkswatian
Guest
«Reply #45 on: July 18, 2009, 04:03:25 AM »
Reply with quote
~*KHUDA kare*~

Kisi chaman main raho tum bahar ban k raho
KHUDA kare kisi dil ka karaaar ban k raho
 Hum apne pyaar ko dil se laga k jee lainge
Yeh zahir tum ne deya hay to hans k pi lainge
 Zamana de na tumain bewafayi ka ilzaam
Zamane bhar main wafa ka waqaar ban k raho
 Kisi k sath raho tum tumare sath hain hum
Tumara ghum hay salamat to phir humain kya ghum
 Tumari raah chamakti rahe sitaroon se
Diyaar_e_husn main husn_e_diaar ban k raho
 KHUDA kare kisi dil ka karaaar ban k raho
Kisi chaman main raho tum bahar ban k raho


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
I Am Sorry My Tears.... by Sonu in English « 1 2 ... 7 8 »
Tears !!!!!!! by Ninaah in General Stories « 1 2 ... 10 11 »
Will you ever see my tears by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Why worries come true... by mrkotians in Inspirational Stories and real life Incidences.
Deep Waves of Sorrows. by R.M. Dixit in English
rkswatian
Guest
«Reply #46 on: July 18, 2009, 04:05:13 AM »
Reply with quote
Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte
Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte

Door bhaga na karo shoq gazalon ki tarah
Ham ne chaha hai tumhe chahne walon ki tarah

Shama ummid ki is dil me jlayen kaise
Apni muhbbat ka eqin dilayen kaise......
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #47 on: July 18, 2009, 04:05:48 AM »
Reply with quote
Tum Na Mano Ye Hakikat Hai,
Dosti Insaan Ki Zarurat Hai
Kisi Din Aao Humari Mehfil Me
Jan Jao Ge Zindagi Kitni Khubsurat Hai
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #48 on: July 18, 2009, 04:06:35 AM »
Reply with quote
Kisi ke Roke kabhi, Rukta nahi yeh Dil
Kabhi Dariya to kabhi Hawa, lagta yeh Dil

Aapke supurd ho gayi, zindagi ki khilkhilahat
Aapki aahton per ab, machlta hai yeh Dil

Kuchch na soche, na samjhe kuchch bhi
Pani ki dhaar sa allahd sa, chalta yeh Dil

Kabhi asaani se na ho saki, hasil Mohabbat
Soch yeh baat machal, aag sa badhtaa yeh Dil

Yakayak yun hi kabhi koi, kahin jata hai mil
Na jane hota hai kya ki, mil khil jate do Dil

Aap bhi soch me meri, shamil hain hardam
Aap ko soch kar likhta hai, hamesha yeh Dil
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #49 on: July 18, 2009, 04:08:56 AM »
Reply with quote

~*Jahan Hay Manzel*~

 

Najane kaisa safar hay mera

Jahan hay manzel waheen lutera

Eik hawa ka jhonka aya

ghar k deep bujhane
 Keh na sakon main chup jo rahoon

To pyaar mera na mane

Jis ko dena tha sahara

Luut gaya ghar mera
 Kiya kahon main bhaed kiya tha

koy samjh na paya

Esi manzil payi hay k

Ruuth gaya mera saya
 Sathi rutha suraj duba

kaise ho ga saweraa

Najane kaisa safar hay mera

Jahan hay manzil wahen lutera
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #50 on: July 18, 2009, 04:24:07 AM »
Reply with quote
~*Sakoon Pane k Waaste*~

 

Lafaz lafaz likhte ro raha houn

Ghazal main aansu piro raha houn

Qalam main khunjigar bhara hay

Ghazal bhi khun se bhigo raha houn

Mile hain muj ko yeh zakham kyunkar

Ghamoon ki aandhi main jo raha houn

Bas ab na chairo k magan houn

Ghazal main zakhmon ko kho raha houn

Sukoon pane k wasaste kuch

Ghazal main khud ko dabo raha houn

Na kuch bhi zahid zubani poucho

Ghazal main har dukh samo raha houn



Logged
rkswatian
Guest
«Reply #51 on: July 18, 2009, 04:27:13 AM »
Reply with quote
Tumhara Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon

Tumhein jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon

Boht si aisi Baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain

Magar jab Tum se milta hoon, Sunana bhool jata hoon

Tumhare baad ab her Pal bari Mushkil se Kat-ta hai

Mai aksar Tum ko Khuwabon mai, Batana bhool jata hoon

Mai her Shaam kehta hoon Tum ko bhool jaoonga

Magar jab Subah hoti hai, Iraada bhool jata hoon
Logged
Roja
Guest
«Reply #52 on: July 18, 2009, 06:13:34 PM »
Reply with quote
Kisi ke Roke kabhi, Rukta nahi yeh Dil
Kabhi Dariya to kabhi Hawa, lagta yeh Dil

Aapke supurd ho gayi, zindagi ki khilkhilahat
Aapki aahton per ab, machlta hai yeh Dil

Kuchch na soche, na samjhe kuchch bhi
Pani ki dhaar sa allahd sa, chalta yeh Dil

Kabhi asaani se na ho saki, hasil Mohabbat
Soch yeh baat machal, aag sa badhtaa yeh Dil

Yakayak yun hi kabhi koi, kahin jata hai mil
Na jane hota hai kya ki, mil khil jate do Dil

Aap bhi soch me meri, shamil hain hardam
Aap ko soch kar likhta hai, hamesha yeh Dil


Wah ... bahut khoob  Applause You have wonderful collections RKS ji
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #53 on: July 19, 2009, 06:09:18 AM »
Reply with quote
Shukriya aap ka ,,,jo aap ne itna waqat deya humary poems ke ley...
Logged
hgfhhh
Guest
«Reply #54 on: July 23, 2009, 05:47:02 AM »
Reply with quote
Hello  mere pyare dosto kese mizaaj hain sab ke? umaeed hain teek taak hongey...aaj hum aap ko kuch peesh karna chahtey hain , kuch aasey alfaaz jis ko sun kar aap ko bhi lagey ga ke kia khoob kaha hain kisi ne...
ye alfaaz humary apne nahi hain
lekin hum dil o jaan se is ko pasand kartey hain aur hamesha kartey hi rahengey...
tu aap ko bhi chahey ke isey padh kar samjhey aur samajh kar Hawsala Afzai kary Likhney Waley ka...

Dosto agar aap ke paas bhi Na bhoolne wale alfaaz hain tu beshak aap bhi is main add kar saktey hain...humain bohut khushi hogi...


Aap Ka Apna
Silent Lover

Logged
rkswatian
Guest
«Reply #55 on: July 24, 2009, 08:41:10 AM »
Reply with quote
kya matlab hain is ka janab?
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #56 on: July 24, 2009, 09:19:05 AM »
Reply with quote
~*Chup chaap jal rahi hay jo*~ 

 

Bhuli huy houn daastaan

Guzra huwa khayal houn

Jis ko na tum samjh sake

Main aisa ek sawal houn

Mana main bewafa sahi

Aur muj se tum khafa sahi

Tum ko magar naheen khabar

Guzri jo mere haal par

Aye kaash tum bhi dekhte

Majboriyon k silsaly

Bejurm ek saza houn main

Benaam ek malaal houn

Tum se naheen gilah mujhye

Milna tha jo mila mujhye

Hay rang_o_gham meri zindagi

Ek dard ban k rah gayi

Dil jal gaya utha dhunwaan

Khamosh hay magar zubaan

Chup chaap jal rahi hay jo

Us shama ki misaal houn
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #57 on: July 24, 2009, 09:25:44 AM »
Reply with quote
Ba-zid hai dil us ke bin guzara ho nahi sakta

Magar hum jantey hain wo hamara ho nahi sakta

 

Us ke bin bari be-rang hogi zindagi apni

Us ke baad koi bhi sahara ho nahi sakta

 

Us ka bhi to hoga hath meri iss tabahi mein

Faqat taqdeer ka he khail sara ho nahi sakta
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #58 on: July 31, 2009, 08:57:46 AM »
Reply with quote
Rootha jo pyar hum se dobara nahi mila
Kya bewafa tha shaks dobara nahi mila

Ek baar aa gaya tha sailab ankh mein
Darya ko us ke baad kinara nahi mila

Mujh ko bhi raas aata nahi doosra koi
Us ko bhi mere jaisa sahara nahi mila

Barson se phir raha tha main jis ki talash mein
Wo mil gaya to us se sitara nahi mila
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #59 on: July 31, 2009, 08:58:41 AM »
Reply with quote
Jab tere shahir se guzarta hoon

 

Kis tara rokta hoon ashq apne
Kis tara dil pe jabr karta hoon
Aaj bi kaarzaar hasti main
Jab tere shehir se guzarta hoon
 
Is qadar bhi naheen mujhe maloom
Kis muhaly main hay makan tera
Koun batlaye ga nishan tera
Teri ruswaiyon se darta hoon
Jab tere shehir se guzarta hoon
 
Haal dil bhi na keh saka, garch
Tu rahi mudaton kareeb mere
Tu mujhe choor kar chali bhi gayi
Khair kismat meri naseeb mere
 
Go zamana teri mohabbat ka
Ek bhuli huy kahani hay
Kis tamana se tuj ko chaha tha
Kis mohabbat se haar mani hay
 
Ashq palkon pe a nahen sakty
Dil main hay teri aabro ab bhi
Tuj se roshan hay kayenaat meri
Tere jalwe hain char suu ab bhi
Ab bhi main tuj ko pyaar karta hoon
Jab tere shehir se guzarta hoon
 
Aaj bhi kaarzaar hasti main
Tu agar ek bar mil jaye
Aarzuon ko chain a jaye
Hasratoon ko karaar mil jaye
Jane kiya kiya khiyaal karta hoon
Jab tere shehir se guzarta hoon
 
Tuj se koy gilah naheen hay muj ko
Main tujhe beywafa naheen kehta
Warna eik beynawa mohabbat main
Dil k lutne pe kiya naheen kehta
 
Koy poursaan haal ho to kahon
Keisi aandhi chali hay tere baad
Din guzara hay kis tara main ne
Raat kaise dhali hay tere baad
 
Rooz jita hoon rooz marta hoon
Jab tere shehir se guzarta hoon!!!

Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:10:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer