A Naat - Dil jis se zinda hai

by @kaash on February 14, 2010, 09:49:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 8647 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
its a Naat in praise of prophet Muhammad

dil jis se zinda hai wo tamanna tumhi to ho
hum jis mein bas rahay hein wo dunya tumhi to ho

dil jis se zinda hai
dil jis se zinda hai

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

teri zulf gar shab-e-qadr hai
tera chehra badr-e-muneer hai
tere sadqe jaaon mein ya-nabi
tu habib-e-rabb-e-qadeer hai

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

tera husn jalwa e toor hai
teri chakal surah e noor hai
ke jahaan mein koi aaj tak
teri misl hai na nazeer hai

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

teri deed jisko naseeb hai
wo naseeb qabil-e-deed hai
tera dekhna meri eid hai
tera rukh kalam-e-majeed hai

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

teri deed karne ko khud khuda
tujhe paas apne bula liya
to bitha ke saamne yeh kaha
meri aaj arsh pe eid hai

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

tera noor noor-e-qadeem hai
tera husn husn-e-kamaal hai
nahi jiski koi misaal hai
tu he aamina ka wo laal hai

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

shahsawara raazdaraa Hoo
shahsawara raazdaraa Aaa
shahsawara raazdaraa rub diya
taajdaara dardmanda sub diyaa

ay alam nashra de seene waliya
ay shahenshah madina waliya
aavi ja wal fajr chehre waliya
aavi ja yasin sehre waliya
yaad teri da mei deeva waliya
aavi ja hun kaali kamli waliya

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

ya habibi marhaba marhaba marhaba, marhaba marhaba
marhaba marhaba, marhaba marhaba
marhaba marhaba, marhaba marhaba
marhaba marhaba, marhaba marhaba..

roya shab e hijraan mein bohot ashq bahaya
itni mein musawwir ko rehm jo aaya
naqshe kayi tasveero ke wo saamnay laaya
bola ke yeh yusuf hai yeh eesa hai yeh musa
mein ne kaha in mein se kisi per nahi sheda
jab saamnay laya wo shabeeh e shah e wala
besaakhta us waqt zubaan se meri nikla...

mujh chand bashar shasaniye
matthe chamke laath nooraniye
kali zulf te akh mastaniye
makhmor akhi hinmat bharya
teri surat nu mein jaan akha
jaana ke jaane jahan akha
sach aakha te rub di shaan akha
jis shaan to shana sub banya

subhanallah, ma ajmalaka,
ma ahsanaka, ma akmalaka
kithe mehr ali kithe teri sana
gustaakh akhi kithe ja ariyan

Glory be to God, what wondrous beauty,
what elegance, what perfection?
What is poor Mehr Ali to utter your praises,
o where have these bold eyes alighted.

marhaba marhaba, marhaba marhaba
marhaba marhaba, marhaba marhaba

subhanallah ma ajmalaka, ma ahsanaka, ma akmalaka
subhanallah allah allah subhanallah allah allah

jine dekhiya kamli waliya nu
noohu nikliya wah subhanallah
noori mukhre te kayi chamk diye
kaise zulf e siyaah subhanallah

lab'laal-e-yemen qadsarv-e-chaman
ey naafa kutan ate her hai badan
tere husn di ki tareef karaan
kahay uthiya khuda subhanallah

bus Allah Allah subhanallah
Allah Allah subhanallah

farishta dar pe basad ehtiraam aata hai
khuda ke baad tumhara he naam aata hai
kaleem hoon ge tumhein kya kaleem se nisbat
tumhara ghar mein khuda ka kalaam aata hai

bus allah allah subhanallah allah allah
subhanallah allah allah (Sufi chants)

tu ne qabl az do jahaan shan e tajalla dekhi
arsh banta howa sajti howi dunya dekhi
tere qadmo mein jhuki saray rasoolon ki jabeen
sub ne allah ko mana teri dekha dekhi

allah allah subhanallah allah allah
subhanallah bus allah allah (Sufi chants)

her ik kundal kundal uthe aashiq ta dil dolay
husn tere di sift di aakha kaafir kalma bolay aakhe

allah allah subhanallah

subhanallah, ma ajmalaka
ma ahsanaka, ma akmalaka
kithe mehr ali kithe teri sana
gustaakh akhi kithe ja ariyan

marhaba marhaba

ya noor ul ainee marhaba
jaddil hussaini marhaba

ya imam ul qiblatain
ya nabi ul harmein

aap hein aankhon ki thandak
aap hein her dil ka chein

innaka shams ud duha
innaka badr ud doja
innaka noor ul huda
innaka sadr ul ula
az ibtida ta intiha
tu ya muhammad mustafa

dil jis se zinda hai wo tum ho
dil jis se zinda hai wo tum ho

mujh purkhata ki laaj tumhare he haath hai
mujh nange do jaha ka wasila tumhe to ho

jo dastageer hai wo tumhara he haath hai
raaga

jo dastageer hai wo tumhara he haath hai
jo doobne na de wo sahara tumhe to ho

dunya mein rehmat-e-do'jahaan aur kon hai
jiski nahi nazeer wo tanha tumhe to ho

phoota jo seena-e shab-e-tare alast se
us noor-e-awwaleen ka ujala tumhe to ho

chalte hein gibrael ke par jis maqaam per
uski haqeeqaton se shanasa tumhe to ho

sub kuch tumhare waastay paida keya gaya
ay taajdar e yasrab o bat'ha tumhe to ho

dil jis se zinda hai wo tumhe to ho
dil jis se zinda hai...

NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naat-e Paak by seraj325 in Shayari-e-Parastish
Naat is a poetry that praises prophet Muhammad by @kaash in Poetry Knowledge & Lessons exclusively for Yoindians.
A Naat by @kaash in Shayari-e-Parastish
NAAT SHARIF by jellani in Other Languages
****** NAAT ******* by Nooruddin Noor in Miscellaneous Shayri
thinkhattk
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2010, 09:54:12 AM »
Reply with quote
 Applause    Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2010, 10:01:39 AM »
Reply with quote
BEAUTIFUL POETRY.THANKS FOR SHARING KAASH JI.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: February 14, 2010, 05:25:38 PM »
Reply with quote
Wah wah Kaash ji. Bahut achhi Naat aapne share ki hai. Allah aapko jaza-e-khair se nawaze.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: February 14, 2010, 06:23:23 PM »
Reply with quote
Moved to appropriate section!

Thnx!
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #5 on: February 14, 2010, 07:04:55 PM »
Reply with quote
Masha Allah bohat achi naat hai ye do naat hai ye ek hi hai?aur ye net par kahan se download kar sakte hai plzzz batayega...thxx
Logged
king.Of.Love
Guest
«Reply #6 on: February 14, 2010, 08:55:20 PM »
Reply with quote
wah
mashallah
@kassh ji
nice sharing
jazak allah khair
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: February 15, 2010, 10:10:21 AM »
Reply with quote
Nice sharing Kaash Ji
Logged
azmatabrar
Guest
«Reply #8 on: April 27, 2010, 01:37:43 PM »
Reply with quote
ghhhgh
Logged
najir khan
Guest
«Reply #9 on: April 17, 2011, 09:36:25 AM »
Reply with quote
kya baat hai khumaar jiiiiiiiii
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #10 on: April 17, 2011, 11:58:21 AM »
Reply with quote
Bahut umda naat share ki hai khumar ji bahut shukriya...
Logged
Malik Zubair Hanif
Guest
«Reply #11 on: August 08, 2011, 04:22:17 AM »
Reply with quote
mashallah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:31:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer