Afsos Nahi

by Roja on September 09, 2009, 02:43:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2135 times)
Roja
Guest
Reply with quote
Zindigi Tujh Ko Jiya Hay Koi Afsos Nahin
Zehar Khud Main Nay Piya Hay Koi Afsos Nahin

Main Nay Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Dunya Main
Bas Ye Hi Jurm Kiya Hay Koi Afsos Nahin

Meri Qismat Main Likhay Thay, Yeh Un hi K Aansoo
Dil K Zakhmon Ko Siya Hay Koi Afsos Nahin

Ab Giray Sang K Sheshon Ki Ho BARISH
Ab Kafan Orh Liya Hay Koi Afsos Nahin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**AFSOS** by harshmeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AFSOS by Guest in Shayri-E-Dard
Afsos by Guest in Shayri-E-Dard
AFSOS NAHI (CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Use jara bhi afsos nahi hai ki wo mujhe kitna satata hai...Raaj by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #1 on: September 09, 2009, 02:46:55 PM »
Reply with quote
dekh lo khuvab magar kuvab ka charcha na karo
log jal jaengay suraj ki tamnna na karo

waqt ka kia hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se tu tum mujh pe bharosa na karo

kirchiyan toty howay aks ki chubh jaen gi
aur kuch roz abhi aaena dekha na karo

ajnabi lagnay lagay khud tumhain upna hi wajood
upne din rat ko itna bhi akela na karo

khuvab bachon k khilono ki tarha hotay hain
rakh guzray howay lamhon ki kureda na karo

mom k rishtey hain garmi se pighal jaen gay
dhop k shehar main 'Aarz' yeh tamasha na karo
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2009, 06:36:54 AM »
Reply with quote
Na to shaitan chaiye, na hi bhagwan chahiye
Dilon pe raaj karne ko - fakat insaan chahiye

Dilo se baat jo nikle, dilon tak jaa pahunchti hai
Usse sunne ke vaste - na koyi kaan chahiye

Mohabbat ki emarat khoob sunder ban sakegi per
Nigahon mein jo jajta ho, vohi samaan chahiye

Kasam, Wade sabhi jhoote, dillasa de nahi paate
Barosa jeetne ko bas - khara emaan chahiye

Zamane se juda ek dost, kyu ho nahi sakti
Magar dono ke dil mein, "Ek se" armaan chahiye

Meri darkhvasth us ki samaj mein aa hi nahi paati
Tumhi bolo mujhe ab kaun si jubaan chahiye
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2009, 12:15:14 PM »
Reply with quote
Jugnoo hi deewaane nikle..
Andhiyaaraa jhuthlaane nikle.
Oonche log sayaane nikle..
Mehlon mein tahkhaane nikle.
Wo to sabki hi zad mein tha..
Kiske theek nishaane nikle.
Aahon ka andaaz nayaa tha...
Lekin zakhm puraane nikle.
Jinko pakdaa haath samajh kar ..
Wo... kewal dastaane nikle.....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: October 17, 2009, 06:24:07 PM »
Reply with quote
bahoot hi umda sharing hai roja
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: October 23, 2009, 01:09:07 PM »
Reply with quote
bahoot hi umda sharing hai roja


Thanks Bhaiya
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: October 23, 2009, 01:12:40 PM »
Reply with quote
Muhabbat Hum Se Karni Hai To Phir Wada Nahi Karna
Yeh Wade Hum Ne Dekhe Hai Ke Aksar Toot Jaate Hai

Muhabbat Hum Se Karni Hai To Phir Zid Bhi Nahi Karna
Yeh Zid Bhi Hum Ne Dekhi Hai Ke Saathi Choot Jaate Hai

Muhabbat Hum Se Karni Hai To Phir Tohfa Nahi Dena
Yeh Tohfe Hum Ne Dekhe Hai Ke Bahut Majboor Karte Hai

Muhabbat Hum Se Karni Hai To Phir Shikwa Nahi Karna
Yeh Shikwe Hum Ne Dekhe Hai Ke Dilon Ko toda Karte Hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: October 24, 2009, 02:31:25 PM »
Reply with quote
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai,
Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai

Kitna aasaan hai tasveer banana oron ki,
Khud ko pas-e-aaiana rakhna kitna mushkil hai

Tumnay mandir dekhay hongay, yeh mera aangan hai,
Ek diya bhi jalta rakhna kitna mushkil hai !

Chulu mein ho dard ka darya, dhyaan mein uskay honth,
Yun bhi khud ko pyassa rakhna kitna mushkil hai !

Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai,
Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai !

 
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: October 25, 2009, 01:25:15 PM »
Reply with quote
Main Samandaroun Ka Mizaj Hun Abhi Iss Nadi Ko Pata Nahi
Sabhi Nadiyaan Mujh Say Milli Magar Main Kissi Se Jaa Mila Nahi

Mere Dil Ka Simat Na Dekh Too Kissi Or Ka Yeh Muqam Hai
Yahan Uss Ki Yadein Muqeem Hain Yeh Main Ne Kissi Ko Diya Nahi

Mujhe Dekh Ke Na Jhuka Nazar Na Qawar(Door) Dil Ka Tu Bund Kar
Tere Ghar Main Aaon Ga Kis Tarah Ke Main Aadmi Hun Hawa Nahi

Mere Dil Ko Khusboo Se Bhar Gaya Woh Qareeb Se Yun Guzar Gaya
Woh Meri Nazar Mein To Phool Hai Ussey Main Kya Laga Pata Nahi

Yeh Moqadaroun Ki Likhawatain Joo Chamak Gayee Woh Padhi Gayeen
Joo Meri Qalam Se Likha Giya Ussey Kyun Kissi Ne Padha Nahi

Ya Badar Abh Bhi Yeh Sawal Hai Ke Yeh Berukhi Hai Ya Pyaar Hai
Kabhi Paas Uss Kay Gaya Nahi Kabhi Door Uss Se Raha Nahi……..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:36:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer