bana gulaab (by Obaidullah Aleem)

by vb on April 21, 2011, 03:28:54 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1083 times)
vb
Guest
Reply with quote


Banaa gulaab tu kaantay chubhaa gaya ik shakhs
Hovaa chiraagh tu, ghar he jalaa gaya ik shakhs

Tamaam rang meray aur saaray khaab meray
Fasaanay thay k fasaanay banaa gayaa ik shakhs

Main kis hawa main uroon kis fizaa main lehraaon
Dukhon kay jaal har ik soo bichhaa gayaa ik shakhs

Palat sakoon na he aagay main barh sakon jis par
Mujhay ye konsay rastay lagaa gayaa ik shakhs

Muhabbaten bhi ajab us ki nafraten bhe kamala
Meri he tarha ka, mujh main samaa gaya ik shakhs

Muhabbaton ne kisi ki bhulaa rakhaa tha usay
Milay wo zakhm k phir yaad aa gayaa ik shakhs

Wo maahtaab thaa, marham badast aayaa thaa
Magar kuchh aur sivaa, dil dukhaa gaya ik shakhs

Khulaa ye raaz k aaeenaa khaanaa hay duniyaa
Aur is men mujh ko tamaashaa banaa gaya ik shakhs


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Ghazals
nikhat aleem Just joined Yoindia by iAdmin in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
GULAAB by α.в... in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek gulaab ki kahani by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard
mamta bajpai
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2011, 01:05:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
VB Jee is naayaab peshkash ke liye aap ko jitni bhee daad dee jaaye .kam hai..........behad umdah gazal .......
Logged
vb
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2011, 06:31:39 AM »
Reply with quote
jee... daad k laaiq hain Obaidullah Aleem sahab ...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: April 28, 2011, 01:19:30 AM »
Reply with quote
VB Jee! ek baar fir aap ko shukriyaa adaa karnaa chaahtee hooN...Aleem saaheb ke or kalaam paRhne kee behad ichchha hai...agale kalaam ke intezaar me ......
Logged
vb
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2011, 09:26:16 AM »
Reply with quote
mamta bajpai jee! hum kisi shaair kay aisay khubsurat kalaam, jis k lafzon say he khushbu aayay, ko faqat yahan paste kar denay say, khud ko shukriya ka mustahiq nahi samajh saktay... daad, shukriya ya phir jo bhe is kalaam ki keemat lagay, faqat is shaair ka he haq hay...

aap ka shukriya k isay parha / waqt diya aur kuch lafz apnay yahan chhoray...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: April 28, 2011, 09:33:22 AM »
Reply with quote


Banaa gulaab tu kaantay chubhaa gaya ik shakhs
Hovaa chiraagh tu, ghar he jalaa gaya ik shakhs

Tamaam rang meray aur saaray khaab meray
Fasaanay thay k fasaanay banaa gayaa ik shakhs

Main kis hawa main uroon kis fizaa main lehraaon
Dukhon kay jaal har ik soo bichhaa gayaa ik shakhs

Palat sakoon na he aagay main barh sakon jis par
Mujhay ye konsay rastay lagaa gayaa ik shakhs

Muhabbaten bhi ajab us ki nafraten bhe kamala
Meri he tarha ka, mujh main samaa gaya ik shakhs

Muhabbaton ne kisi ki bhulaa rakhaa tha usay
Milay wo zakhm k phir yaad aa gayaa ik shakhs

Wo maahtaab thaa, marham badast aayaa thaa
Magar kuchh aur sivaa, dil dukhaa gaya ik shakhs

Khulaa ye raaz k aaeenaa khaanaa hay duniyaa
Aur is men mujh ko tamaashaa banaa gaya ik shakhs




sher saare ache hain per matla samajh nahin aaya
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:33:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.083 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer