Batwaare Ka Karb,. India-Pak,.

by Jaanasheen on September 24, 2009, 08:11:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4379 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Subahn Allah, Kya KHoob Shabina Ji Ne, Sawal Chede Hain, India Aur Pak Ke Beech,.

Agar Dehshat Phailaane Waale Ya Nafrat ke Poojari Jaan Jaaye To Ladaai Ka Masla Hi Nahi Hoga,.

I Loved It,.

Wakhai Kya Tumhe Hum Yaad Nahi Aate Hain,.
Hum To Aankhon Ko Tumhaare Liye Chalkaate Hain,.
Wakhai Kya Tumhe Hum Yaad Nahi Aate Hain,.

Bombay Chordke, Aabaad Karaachi Karli,.
Tum Ne Kis Taraah, Ye Manzoor Judaai Karli,.

Kya Wahaan Dil KO Yahaan Jaisa Sukoon Milta Hai,.
Kya Wahaan Jheelon Mein Rangeen Kawal Khilta Hai,.

Sach Bataao, Wahaan Nashaad Nahi Ho Tum Bhi,.
Kya Hamari Taraah, Barbaad Nahi Ho Tum Bhi,.
Wakhai Kya Tumne Hum Yaad Nahi Aate Hain,.

Khush Ho Ya, Ghamzada Dil Cheer Ke Dikh Laao To,.
Wahan Kis Haal Mein Ho, Aaj Ye Batlaao To,.

Kya Tumhe Apne Paraaya Bhi Nahi Yaad Aate,.
Budhe Bargat Ke Wo Saaye Bhi Nahi Yaad Aate,.

Kya Hamaare Liye, Ab Hosh Nahi Khote HO,.
Yaad Karke Hume, raaton KO Nahi Rote Ho,.
Wakhai KYa Tumhe Hum Yaad Nahi Aate Hain,.

KHoon Chalak Jaata Hai Aankhon Se Ye Kehte Kehte,.
Ek Hi Mulk Mein Mil Jhulke Agar Hum Rehte,.

Khauf Zindagi Ka, Na Ghar Jalne Ka Khatra Hota,.
Na Ayodhya Ka, Na Kashmir Ka Jhagda Hota,.

Mulk Bat Ta Na To, Phitr Pyaar Ki Taakhat Hoti,.
Hind Mein Ahle-e-Mohabbat Ki Hukumat Hoti,.
Wakhai Kya Tumhe Hum Yaad Nahi Aate Hain,.

Us Taraf Tum Ho Pareshaan, Idhar Hum Paagal,.
Tum Se Kehta Hain, In Aankhon Ka Ye Bheega Kaajal,.

Ye Mohabbat Ki Kahaani Hai, Adhoori Na Rahe,.
Pyar Ka Khaas Takhaaza Hai ke Doori Na Rahe,.

Aao Mil Jhulke, Ye Deewaar-e-Judai Torde,.
Tordke Sarhadein Aao Naye, Rishte Jorde,.
Wakhai KYa Tumhe Hum Yaad Nahi Aate Hain,.

-Shabina Adeeb- 




 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Air India lol by prempagla in SMS , mobile & JOKES
~~~Plz!!! $aVE Yo!India~~~ by Tosha in Yoindia's News and Announcement « 1 2  All »
india is the best,............ by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Tanhaaiyon ka karb....!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Ek Karb E Wafa by raHie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 24, 2009, 08:55:57 AM »
Reply with quote
Bahut khoob,very beautiful sharing Azeem bhai.wonderful creation by Shabina ji, icon_thumleft Applause Applause Applause Applause :clap:excellent
Logged
Yoindia Support
Guest
«Reply #2 on: September 24, 2009, 10:10:37 AM »
Reply with quote
Moved to Shared Poetry Section.
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: September 24, 2009, 10:35:19 AM »
Reply with quote
Very nice sharing Azeem
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2009, 12:56:44 PM »
Reply with quote
Khoobsurat sharing hai Azeem.. Really touching... Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:55:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer