Dil to tootega

by sonalxoxo on November 21, 2011, 05:20:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 945 times)
sonalxoxo
Guest
Reply with quote
teri aawaaz mein uski baatein sunai deti hai
teri aakhon mein uske sapne sajte hai
saanse teri badd jaati hai jab woh nazdeeq ho
jism kahi jaan kahi teri jab wo duur ho
mujhse jo wada kiya hai, jaanti hu nibhayega
marr jayega par dagaa nahi karega
zindagi muskuraa ke bitaa lega tu
hooton pe mera, dil me uska naam rakh ke ji lega tu
par khud ka kya karu mein
is sacchai ki saath kaise jeelo mein
dil tere saath rehke bhi tootega
dil tujhse judaa hoke bhi tootega
yeh soch kar hamesha ke liye azaad kar diya tujhe
ab kya kahe is zamanne se, jo bewafaa kehta hai mujhe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DIL TO TOOTEGA by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
Judega Jo toh tootega nahi. ..... by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: November 21, 2011, 05:50:09 AM »
Reply with quote
uff kya likha hai apne sonal ji.

Hume wafa na mil saki to ismein uska kya kasoor tha .

Pyar karte hain tumse aisa usne kiya na koi ikrar tha
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #2 on: November 21, 2011, 06:06:16 AM »
Reply with quote
Shukriya Saahil ji, aapki likhai to waise bhi lajawab hai..

pyar kehne se ikrar hota nahi
yeh ek ehsaas hai jo lawzo mein bayaa hota nahi
maangte to jaan bhi haazir thi
parr aapne maanga bhi to...koi aur thi
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: November 21, 2011, 06:09:34 AM »
Reply with quote
ehsas jo ap mera samj jate to yun bewafa ka iljam na de pate .

Dekh lete jo dil ki aankhon se to hamare dil apni tasveer paate
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #4 on: November 21, 2011, 06:21:30 AM »
Reply with quote
bewafaai ka daag aap pe na lage to khud yeh ilzaam le liya
jo aankhon mein dekha tha ussi ke waje se to yeh zeher pi liya
azaadi di, dhua-ye di
aur aap kehte hai humne kabhi pyar ka izhaar na kiya
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #5 on: November 21, 2011, 06:28:13 AM »
Reply with quote
izhaar jo kiya tha usme naam na mera tha.

Bewafai karna na kaam mera tha .

Thi kismat aisi hamari hamare hise mein zehar tha .

Aankhon ke nasha jisme milaya woh jaam na mera tha
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #6 on: November 21, 2011, 06:42:49 AM »
Reply with quote
jaante hai bewafaa aap nahi
maante hai nashe ka jaam piya nahi
humare izhaar ko na samamjh paye aap
iqrar aapne bhi to kiya nahi
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #7 on: November 21, 2011, 06:50:13 AM »
Reply with quote
yeh iljaam na do humko ke ikrar hum na kar paye ,

yeh maana hum honthon se na kuch paye .

Aankhon ne jo kiya izhaar use samj nahi ap paye
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #8 on: November 21, 2011, 06:59:44 AM »
Reply with quote
na samjha na jaana, keh diya kasoor humara hai
chalo, aapki yeh bhi baat hume manzoor hai
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #9 on: November 21, 2011, 07:13:31 AM »
Reply with quote
ilzaam tumko na denge hum .

Dil ki dil mein bas rakh lenge hum
Logged
love4u
Guest
«Reply #10 on: November 29, 2011, 09:12:48 AM »
Reply with quote
Iss pyar ko chupaana asaan nahi hota,
ye pyar labzon main bayaan nahi hota,
ek baar aankhon se izhaar karke dekh lete,
fir hamare pyar se aapka aitbaar kahi na khota.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:43:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.214 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer