duniya ka dastur

by shfiq khan on May 28, 2011, 03:04:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2129 times)
shfiq khan
Guest
Reply with quote
aaj is sansar ko kya ho gaya h

ye sansaar kaise andhkaar me kho gaya h

maanta h jo beti ko abhishap(cursh)

pata nahi in ye sansaar kis toofaan me kho gaya h



beti jo ghar me khushiya hi khushiya laati h

jiske aane se har insaan ki kismat khul jaati h

wahi to h jo hamesha sab ka khyaal rakhti h

jiske aane se ghar me paiso ki chamak aa jaati h



jo kabhi beti,to kabhi bahu ka roop leti h

jo kabhi bahan to kabhi maa ke roop me  hoti h

hamehsa jo jalkar dushro ko roshni deti h

jo hamesha ghar ek naye chiraj ko janam deti h



bade khush kismat wo jinke ghar beti hoti h

wahi to h jo hamesha  ek chirag ko hath me liye hoti h

jo karti rahti hamesha ghar ko roshan  

isliye bolta hoo har ghar ko is roshni ki jarurat hoti h
 


lekin aaj insaan barbaadi ki taraf jaa raha h

jo aaj beti ko janam se pahle hi maar raaha h

khatm kar raha h wo is sansaar ki roshni ko

pata nahi kyo wo is sansaar me andhera kyo laa raha h



insan is sansaar me barbaadi ko bulawa de raha h

kyo khuda ke kahar ko wo aawaj de raha h

insan itna beraham kaise ho gaya h

apne ghar ke chirag ko mita raha h



agr aise hi jamana chalta chala jaayega

ye sansaar jald hi khatm ho jaayega

rahenge saare bete tumhare bhi kanware  

jab insan is tarah betiyo ko maarta chala jayega



bin betiyo ke ye sansar suna pad jaayega

apne bete ke liye bahu kaha se laayega

rakhna us bete ko zindagi bhar kanwara

warna wo bhi aapke ghar achcha saa damad laayega

socho jab aisa hoga to kya izzat rahegi tumhari

is tarah har ek insaan ka vansh khatm ho jaayega  



wo ek chiraj ko mita raha h

ek maa ki kokh ujaad raha h

jis maa ne hame janam diya h

us maa ke roop ko mita raha h


aaj bhi waqt h shudar jaao

is shama ko aise naa mitao

ye to khuda ki naimat h yaaro

is beti ko aise naa mitaao

ye to tumhare ghar ki khushiya h

kisi ke armano ko is tarah naa mitaao







 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dastur.........(K_A) by khamosh_aawaaz in Ghazals
woh dastur buzurgon ke nibhana na bhuliye,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sunil by sunildehgawani in Miscellaneous Shayri
Milke Bichhdna Dastur Hain Zindagi Ka by sinha_0005 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kaisa dastur by Asif samani jaunpuri in Shairi for Manzar -e- Kudrat
*Zamane Ka Dastur* by malli in Miscellaneous Shayri
sarfira
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2011, 07:03:41 PM »
Reply with quote
mai smjh gaya…
dubara kaha to mai suside kar lunga sharam se……
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:18:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer