Ghazal collections

by @kaash on May 25, 2009, 11:10:59 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4506 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: June 05, 2009, 11:57:27 AM »
Reply with quote
Beautiful ghazals Kaash Ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My Collections by riya_shah21 in SMS , mobile & JOKES
Gazal ..... Sonia's Collections. by Sonia01 in Ghazals « 1 2 3 4 »
my collections!!!!! by ZIddi~Ladki in Shayri for Dard -e- Judai
Dard (collections) by salma786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Collections Of Sad Shayaries... by Roja in Share: Poetry of Pain « 1 2 ... 12 13 »
Talat
Guest
«Reply #16 on: June 05, 2009, 08:19:03 PM »
Reply with quote
kabhi aansoo kabhi Khushi bechi


kabhi aansoo kabhi Khushi bechi
ham Gareebon ne bekasii bechi


chand saanse Khareedne ke liye
roz thodi si zindagi bechi


jab rulaane lage mujhe saaye 
main ne uqtaa ke raushani bechi


ek ham the ke bik gaye Khud hi
varana duniya ne dosti bechi
 


Abu Talib


Very beautiful ghazal..Thanks for sharing Kaash Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: July 15, 2009, 01:43:03 PM »
Reply with quote
Beautiful sharing Kaash Ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khaas kar ye sher dil chhu gaya:

yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #18 on: August 08, 2009, 03:37:19 PM »
Reply with quote
...nice going everyone here...it's nice reading...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #19 on: August 11, 2009, 12:32:47 PM »
Reply with quote
:Mirza Ghalib:


Zikr us pari-wash ka aur phir bayaan apna,
Ban gaya rakeeb aakhir tha jo raazdaan apna,
Kisr ek bulandi par aur hum bana sakte,
Arsh se udhar hota kaash ke makaan apna,
De woh jis kadar zillat hum hansi mein taalenge,
Baar-e-aashna nikla uska paasbaan apna,
Dard-e-dil likhu kab tak, jaau unko dikhla du,
Ungliyaan figaar apni, khaama-khuchkaan apna,
Hum kaha ke daana the, kis hunar mein yakta the,
Besabab hua ‘Gaalib’ dushman aasmaan apna...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #20 on: August 11, 2009, 12:34:02 PM »
Reply with quote
:Pandit Harichand Akhtar:


Shabaab aaya kisi boot par fida hone ka waqt aaya,
Meri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aaya,
Unhe dekha to kaha jaahid ne imaan ki yeh hai,
Ki ab insaan ke sajda rawa hone ka waqt aaya,
Takallum ki khamoshi keh rahi hai harf-e-matlab se,
Ke ashq-aamez nazro se ada hone ka waqt aaya,
Khuda jaane yeh hai auj-e-yakeen ya pasti-e-himmat,
Khuda se keh raha hoon, nakhuda hone ka waqt aaya,
Hame bhi aa pada hai dosto se kuchh kaam, yaani
Hamare dosto ke bewafa hone ka waqt aaya...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #21 on: August 11, 2009, 12:35:27 PM »
Reply with quote
:Manzoor Hashmi:


Abhi yeh khel talatum bahut dikhayega,
Kabhi doobayega mujhko kabhi bachayega,
Tilisme koh-e-nida jab bhi toot jaayega,
To karwaan-e-sada bhi palat ke aayega,
Khichi rahegi saro par agar yeh talwaare,
Mata-e-jist ka ehsaas badhta jaayega,
Yuhi doobota raha kashtiyaan agar sailaab,
To satah-e-aab par chalna bhi aa jaayega,
Kiwaad apne isi darr se kholte hi nahi,
Siwa hawa ke inhe kaun khatkhatayega...


Meanings:
tilisme:-jaadu / koh-e-nida:-aawaz ka pahaad / mata-e-jist:-zindagi ki punji / karwaan-e-sada:-aawaz ka kaafila / satah-e-aab:-paani ki satah.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #22 on: August 11, 2009, 12:36:28 PM »
Reply with quote
:Parvin Shakir:


Raasta bhi kathin, dhoop mein shiddat bhi bahut thi,
Saaye se magar usko mohabbat bhi bahut thi,
Kheme na koi mere musafir ke jalaye,
Zakhmi the paaon, musafat bhi bahut thi,
Sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the,
Din mein to safar karne mein dikkat bhi bahut thi,
Kuchh to tere mausam hi mujhe raas kam aaye,
Aur kuchh meri mitti mein bagaawat bhi bahut thi,
Is tarq-e-rifakat pe pareshaan to hoon lekin,
Ab tak ke tere saath pe hairat bhi bahut thi,
Khush aaye tere sheher-e-munafik ki amiri,
Hum logo ko sach kehne ki aadat bhi bahut thi...


Meanings:
musafat:-doorie / muntazir-e-parda-e-shab:-raat hone ka intezaar / tarq-e-rifakat:-saath chhodna / khush aana:-shubh hona / sheher-e-munafik:-aisa sheher jiske log upar se kuchh ho, andar se kuchh / amiri:-shaashan.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #23 on: August 11, 2009, 12:37:31 PM »
Reply with quote
:Aamin E Zina:


Sukoon milega mujhe dil pe chot khaane se,
Milega chain ashq do bahane se,
Sawaali ban ke na kabhi aaya tha na aaunga,
Garaz naahi thi, naahi hai, tere khazane se,
Tere aane se jab kuchh fark pada hi nahi,
Padega fark bhala kya tumhare jaane se,
Mile mile na mile, aur kuchh mile na mile,
Kahani milti hai meri tere fasane se,
Na fal gire na phool gire, kya gira dekho,
Shajar hi gir gaya ek shaakh ko hilaane se,
Na apni kehta hai na meri suntan hai,
Zamana mast hai masti mein ek zamane se...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #24 on: August 11, 2009, 12:38:15 PM »
Reply with quote
:Aamin E Zina:


Meri nazar se usko, uska shabaab dekho,
Duniya ko bhool jaao jannat ka khwaab dekho,
Raato ka chaand hai woh, suraj hai woh sahar ka,
Ab aaftaab dekho ya maahtaab dekho,
Humse woh tal rahe hai, tan tan ke chal rahe hai,
Unki adaaye dekho, unka ruaab dekho,
Socha tha choom lunga, do pal jhoom lunga,
Aise mein rukh pe usne dala naqaab dekho,
Gar jaan na hai ye zindagaani kya hai,
Paani mein uttha-phutta bas ek hubaab dekho...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #25 on: August 19, 2009, 07:12:23 AM »
Reply with quote
...fabulous one dude...loved it very much...
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: August 21, 2009, 05:14:45 PM »
Reply with quote
Very nice Ghazals Kaash Ji, JHL Ji..Good work.
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: August 27, 2009, 12:48:29 PM »
Reply with quote
Nice Sharing Kaash Ji
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #28 on: August 28, 2009, 09:15:40 AM »
Reply with quote
:Aamin E Zina:


Bahut si baatien aisi hai jinka koi hal nahi milta,
Hazaro lamhe milte hai par haseen ek pal nahi milta,
Jaha bhi jaata hoon tapta hua suraj milta hai,
Jo thandi hawa de hame aisa koi baadal nahi milta
Deewane to tere naam ke mil jaate hai lekin,
Tumhare naam ka hum sa koi paagal nahi milta,
Tumhare chehre ki surkhi kaha goom ho gayi bolo,
Tumhari aankh mein kyu aajkal kaajal nahi milta,
Phir aisi mehnate karne ki mehnat kyu kare insaan,
Musalsal mehnato ke baad bhi gar phal nahi milta,
Jo guzre kal ke saaye selipat kar baithe hai,
Wo bhatke laakh, unko aane waala kal nahi milta...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #29 on: August 28, 2009, 09:16:23 AM »
Reply with quote
Kyu hamare zikr par bhi woh khafa hone lage,
Baawfa jo the kabhi kyu bewafa hone lage,
Har gali har rehguzar mein saaye apne the kabhi,
Waqt ne pheri jo aankhen sab juda hone lage,
Zikr gairo ka kare kyu apne bhi kuchh kam nahi,
Bas zara sach kya kaha hum behaya hone lage,
Haan hamare saamne hi ho raha tha katl par,
Kaatllo ke khauf se hum besada hone lage,
Naaz hai humko dusmano ki baaton par,
Dosti ki chaal se hum bemaja hone lage...
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:09:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer