Haan Maine Gujraat Ka Manzar Dekha Hai,.

by Jaanasheen on September 24, 2009, 07:38:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 14476 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Kya Khoob Ek Shayara Ne, Haqeeqat Ko Lafzon Mein Jorda Hai, Kitne Pyare Andaaz Se Khauf Naak Manzar Ka Zikr Kiya Hai,.

Rab Khair Kare,.

Khoon Mein Dooba, Ang Ka Paikar Dekha Hai,.
Zakhmi Zakhmi Ek Kabutar Dekha Hai,.

Jalti Haweli Jalta Chapar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Naam Mera Mazloom Hai, Main Ek Lardki Hoon,.
Jo Dekha Hai Maine, Wo Batlaati Hoon,.
GHar Ghar Aag Lagaai Hai, Gaddaron Ne,.
Izzat Looti Dharm Ke Theke Daaron Ne,.

Dharti Pe Shaitaano Ka Lashkar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Sharm Se Gardan, Dhaamp Rakhi Hai Haiwaano Ne,.
Aisa Ghinona Khel, Rachaa Insaano Ne,.
Koi Dareenda, Bhi Na Kare, Wo Kaam Kiya,.
Maa Ke Pait Ko Cheer Ke Bachcha Maar Diya,.

Masoomo KO Talwaaron Par Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Aaine Ki Aard Mein Sab Patthar Dil The,.
Wardi Mein Bhi Masoomon Ke Katil The,.
Bachche Peer Jawaanon Ke Sar Kaat Diye,.
Insaano Ke Khoon Se Dariya Baant Diye,.

Aankhon Ne Laashon Ka Samader Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Jisne Dekha Manzar Aag Ugalta Hua,.
Jisne Dekha Ghar waalon KO Jalta Hua,.
Leke Shole Wo Bhi Nikal Aaye Na Kahin,.
Rukh Tasweer Ka Ulta Ho Jaaye Na Kahin,.

Sheeshe Ki Aankhon Mein Patthar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

-Shabeena Adeeb-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ak din maine ak sapna dekha by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aisa Maine Manzar Dekha,. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
~~~Maine Dekha~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
Haan maine wo aag pee hai by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Yeh manzar mein ne wahan dekha by M.ASGHAR MIRPURI in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 24, 2009, 10:39:14 AM »
Reply with quote
Bohot hi dardnak Nazm hai......Dil hila dene waali sachchi tasveer hai....Very nice sharing
Azeem
Logged
minhaj.saif
Guest
«Reply #2 on: September 24, 2009, 10:42:24 AM »
Reply with quote
Kya Khoob Ek Shayara Ne, Haqeeqat Ko Lafzon Mein Jorda Hai, Kitne Pyare Andaaz Se Khauf Naak Manzar Ka Zikr Kiya Hai,.

Rab Khair Kare,.

Khoon Mein Dooba, Ang Ka Paikar Dekha Hai,.
Zakhmi Zakhmi Ek Kabutar Dekha Hai,.

Jalti Haweli Jalta Chapar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Naam Mera Mazloom Hai, Main Ek Lardki Hoon,.
Jo Dekha Hai Maine, Wo Batlaati Hoon,.
GHar Ghar Aag Lagaai Hai, Gaddaron Ne,.
Izzat Looti Dharm Ke Theke Daaron Ne,.

Dharti Pe Shaitaano Ka Lashkar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Sharm Se Gardan, Dhaamp Rakhi Hai Haiwaano Ne,.
Aisa Ghinona Khel, Rachaa Insaano Ne,.
Koi Dareenda, Bhi Na Kare, Wo Kaam Kiya,.
Maa Ke Pait Ko Cheer Ke Bachcha Maar Diya,.

Masoomo KO Talwaaron Par Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Aaine Ki Aard Mein Sab Patthar Dil The,.
Wardi Mein Bhi Masoomon Ke Katil The,.
Bachche Peer Jawaanon Ke Sar Kaat Diye,.
Insaano Ke Khoon Se Dariya Baant Diye,.

Aankhon Ne Laashon Ka Samundar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Jisne Dekha Manzar Aag Ugalta Hua,.
Jisne Dekha Ghar waalon KO Jalta Hua,.
Leke Shole Wo Bhi Nikal Aaye Na Kahin,.
Rukh Tasweer Ka Ulta Ho Jaaye Na Kahin,.

Sheeshe Ki Aankhon Mein Patthar Dekha Hai,.
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

-Shabeena Adeeb-

u hav penned reality ,,nice to see this type of poetry in this room,there was a error in one line ,i hav made correction,
ankaaon se laashaon ka samader(samundar )dekha hai,,
n e ways its heart touching .. tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed
Logged
asgar azmi
Guest
«Reply #3 on: May 25, 2010, 02:47:56 PM »
Reply with quote
Bohot hi dardnak Nazm hai......Dil hila dene waali sachchi tasveer hai....Very nice sharing
Azeem

Logged
Md.Asif
Guest
«Reply #4 on: March 08, 2011, 10:01:03 PM »
Reply with quote
Itne acche lage mujhe k main explane nahi kar sakta.saare haqikat ko is tarah likhe ki sunkar dil machal jata hai.aur ankho se ansu aajate hain.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 09, 2011, 07:48:30 PM »
Reply with quote
Shukriya Minhaj Ji,.

Asgar Azmi Ji,.

Md.Asif Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: December 05, 2012, 06:12:34 PM »
Reply with quote
Bahot dard bhari aur haqeeqat par mabni  nazm share ki Azeem ji. Likhne wale ne ek lailaj dard ki tasveer pesh ki hai. Sharing ke liye shukriya.
Logged
Umesh 531983
Guest
«Reply #7 on: April 25, 2013, 04:56:37 PM »
Reply with quote
Shaayra ka naam Sabeena Adeeb hai aur pehle sher mein ang nahin amn hai,
Logged
Zeeshan husain
Guest
«Reply #8 on: October 24, 2014, 12:26:28 PM »
Reply with quote
 :sad10:very heart touching shabeena mam...when i listen this so i feel like crying..Thank you mam.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:18:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer