Humara Salam Akhri Hai

by Kashifib on November 19, 2009, 04:07:41 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4850 times)
Kashifib
Guest
Reply with quote
Humara tum ko ye salam akhri hai
Suno aaj tumse kalaam akhri hai

Agar ho sake toh bhula dena humko
yehi ek chota sa kaam baki hai

Abhi arzoo'on ke sehra hain pyasey
Magar ansoo'on ka ye jaam akhri hai

Mareez-E- Mohabbat ki ayi chara sazoo
Tumhare Shehar mein ye shaam akhri hai

Zara deir tehro kaza ke farishton
Laboon pe humare ye pyaam akhri hai

Koi mil sake ga na Kashif ke jaisa
Tere husn ka ye gulaam akhri hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Akhri Waqt by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
akhri telephone by faiiz_76 in Miscellaneous Shayri
Akhri-Akhri by anush in Shayri-E-Dard
akhri khat by Neharika in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
AKHRI SALAM by Asif samani jaunpuri in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2009, 05:12:26 AM »
Reply with quote
Nice one Khasifib Ji
Welcome to yoindia
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #2 on: November 19, 2009, 08:35:35 AM »
Reply with quote
Woh toh kehta tha usse buhat si duaein yaad hain
Faraz
Kiya bichar kar phir milne ki dua usse yaad nahi
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #3 on: November 19, 2009, 08:38:27 AM »
Reply with quote
Main Khuda ki nazron mein kaise na gunahgaar hota
Faraz
Ab toh sajdon mein bhi woh yaad aane lage
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #4 on: November 19, 2009, 08:40:07 AM »
Reply with quote
Sawaab jaanke woh dil ko paash paash karte rahe
Kashif
Kabhi na tokah unhe jaankar gunaah humne
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #5 on: November 19, 2009, 08:42:13 AM »
Reply with quote
Woh kehte hain ke pathar dil log kabhi rote nahi
Kashif
Usse kya khabar chasmay hamesha patharon se nikalte hain
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #6 on: November 19, 2009, 08:44:24 AM »
Reply with quote
Naraz kyun hote ho chale jaate hain teri mehfil se
Kashif
Apne toote hue dil ke tukre utha lene do
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #7 on: November 19, 2009, 08:46:02 AM »
Reply with quote
Phir itne mayoos kiyon ho uski bewafai par
Kashif
Tum khud hi toh kehte the woh sab se juda hai
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #8 on: November 19, 2009, 08:47:49 AM »
Reply with quote
Sabab yeh hai meri barti hui udaasi ka
Kashif
Har Shaam se hi naye din ke intezaar mein hoon
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #9 on: November 19, 2009, 08:49:07 AM »
Reply with quote
Har Shab meri ek azaab mein guzri
Tere baad teri hi yaad mein guzri
Main ek phool hon woh mujhe rakh ke bhool gaya
Tamaam umer uski kitaab mein guzri
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #10 on: November 19, 2009, 08:59:37 AM »
Reply with quote
Samadar mein fanaa hona to kismat ki kahani hai
Kashif
Jo marte hai kinaaron pe mujhe dukh unpe hota hai
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #11 on: November 19, 2009, 09:02:06 AM »
Reply with quote
Usse bas inta hi kaha tha ke barson se hum pyase hain
Kashif
Usne honton pe rakh ke hoonth mujhe khamosh kar diya
Logged
Kashifib
Guest
«Reply #12 on: November 19, 2009, 09:04:10 AM »
Reply with quote
Bhoole hain rafta rafta unhein muddaton mein hum
Kashif
Kiston mein khudkushi ka maza hum se poochiye
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: November 19, 2009, 07:24:24 PM »
Reply with quote
Humara tum ko ye salam akhri hai
Suno aaj tumse kalaam akhri hai

Agar ho sake toh bhula dena humko
yehi ek chota sa kaam baki hai

Abhi arzoo'on ke sehra hain pyasey
Magar ansoo'on ka ye jaam akhri hai

Mareez-E- Mohabbat ki ayi chara sazoo
Tumhare Shehar mein ye shaam akhri hai

Zara deir tehro kaza ke farishton
Laboon pe humare ye pyaam akhri hai

Koi mil sake ga na Kashif ke jaisa
Tere husn ka ye gulaam akhri hai


Bahut khoob Kashifib.....

umdaaa...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: November 19, 2009, 07:36:28 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Kashif ji,dil ko chu gayi aapke dard bhari kavita,lovely creation,excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:49:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer