Maanti hu ki Mujhe mohabbat ho gayi hai

by Shalu RV on June 02, 2011, 07:15:38 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2645 times)
Shalu RV
Guest
Reply with quote
Maanti hu main ki mujhe mohabbat ho gayi hai....

Maanti hu ki Mujhe mohabbat ho gayi hai,
Tumhare kareeb rehne ki aadat ho gayi hai,
Dhadkan bhi ab ruk ruk ke chalne lagi hai,
jaane kyun isey bhi hichkiyaan lene ki aadat ho gayi hai..

Dil mein chehre rahe nahi kabhi,
kitaabi baatein lagti thi hamesha,
Par jabse tumhara chehra bas gaya hai is dil mein,
Apni toh "Deewani" si haalat ho gayi hai...

Aaoge aaj shaam tum mujhse milne,
ye soch kar ghar se chal padi hu,
Subah se intezaar kar rahi thi is shaam ka,
Jaane kyun baar baar Waqt dekhne ki aadat so ho gayi hai..

Milo jo aaj toh ek vaada dete jaana,
Har Janam aise hi chahoge humein,
Pata hai humein tum toh aaoge bas do pal ke liye,
Par dil ko dilasa dete rehne ki aadat si ho gayi hai...

Mumkin nahi ki phoolon ko aise hi ruswa kar jaun,
Tumhare liye is dunia mein aau aur tumhe na paau,
Mar jaane ka gam nahi hai Janaab humein,
Bas "Tum Sang Jeene ki" aadat si ho gayi hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
rula gayi mujhe woh aankhen by salil2002 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
mohabbat ho gayi hai kya.................................... by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mohabbat mout se ho gayi... by theyash in Miscellaneous Shayri
Chodh Gayi Mujhe by songwriter_123 in Share:Poetry of Separation
Fir se mohabbat ho gayi! by mohdabrar in Shayri-E-Dard
sbechain
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2015, 07:22:44 PM »
Reply with quote
Maanti hu main ki mujhe mohabbat ho gayi hai....

Maanti hu ki Mujhe mohabbat ho gayi hai,
Tumhare kareeb rehne ki aadat ho gayi hai,
Dhadkan bhi ab ruk ruk ke chalne lagi hai,
jaane kyun isey bhi hichkiyaan lene ki aadat ho gayi hai..

Dil mein chehre rahe nahi kabhi,
kitaabi baatein lagti thi hamesha,
Par jabse tumhara chehra bas gaya hai is dil mein,
Apni toh "Deewani" si haalat ho gayi hai...

Aaoge aaj shaam tum mujhse milne,
ye soch kar ghar se chal padi hu,
Subah se intezaar kar rahi thi is shaam ka,
Jaane kyun baar baar Waqt dekhne ki aadat so ho gayi hai..

Milo jo aaj toh ek vaada dete jaana,
Har Janam aise hi chahoge humein,
Pata hai humein tum toh aaoge bas do pal ke liye,
Par dil ko dilasa dete rehne ki aadat si ho gayi hai...

Mumkin nahi ki phoolon ko aise hi ruswa kar jaun,
Tumhare liye is dunia mein aau aur tumhe na paau,
Mar jaane ka gam nahi hai Janaab humein,
Bas "Tum Sang Jeene ki" aadat si ho gayi hai...



bahut achi nazm per mujhe tajjub hai kisi ne comment nahin kiya ab tak itni achi nazm ko icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:12:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer