Mohabbat ki tabiyat main (by Amjad Islam Amjad)

by vb on June 03, 2011, 02:12:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2383 times)
vb
Guest
Reply with quote


Mohabbat Ki Tabiyat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hay

Ke Ye Jitni Purani Jitni Bhi Mazbut Ho Jaayay
Ise Taaid-E-Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai
Yaqeen Ki Aakhri Had Tak Dilon Main Lahlahati Ho
Nigaahon Say Tapakti Ho Lahu Main Jagmagaati Ho
Hazaaron Tarah Say Dilkash Haseen Haalay Banaati Ho
Usay Izhaar Kay Lafzon Ki Haajit Phir Bhi Rehti Hay

Mohabbat Maangti Hay Yun Gavaahi Apnay Honay Ki
Kay Jaisay Tifl-E-Saada Shaam Ko Ik Beej Boyay
Aur Shab Main Baura Uthay
Zameen Ko Khod Kar Dekhay
Kay Pauda Ab Kahaan Tak Hay

Mohabbat Ki Tabiyat Main Ajab Takraar Ki Khu Hay
Kay Ye Iqraar Kay Lafzon Ko Sunanay Say Nahi Thakati
Bicharnay Ki Ghari Ho Ya Koi Milnay Ki Saa'at Ho
Isay Bas Ake Hi Dhun Hay
Kaho Mujh Say Mohabbat Hay
Kaho Mujh Say Mohabbat Hay

Tumhain Mujh Say Mohabbat Hay
Sumander Say Kahin Gehri,Sitaron Say Siwa Roshan
Pahaaron Ki Tarah Qaaim , Hawaaon Ki Tarah Daaim
Zameen Say Aasman Tak Jis Qadar Achhay Manaazir Hain
Mohabbt Kay Kanaye Hain Wafa Kay Ista'aaray Hain
Humaray Hain
Humare Wastay Ye Chandni Ratain Sanwarti Hain
Sunehra Din Nikalta Hay
Mohabbt Jistaraf Jayay Zamaanaa Sath Chalta Hay

Kuchh Aisi Bay-sakuni Hay Wafa Ki Sarzaminon Main
Kay Jo Ehal-e-Mohabbat Ko Sadaa Bay-chain Rakhti Hay
Kay Jaisay Phool Main Khushboo, Kay Jaisay Haath Main Paaraa
Kay Jaisay Shaam Ka Taara
Mohabbat Karnay Waalon Ki Sahar Raaton Main Rehti Hay
Gumaan Kay Shak-chon Main Aashiyaan Banta Hay Ulfat Ka
Ye Ain-e-Vasl Main Bhi Hijr Kay Khadshon Main Rahti Hay

Mohabbat Kay Musaafir Zindagi Jub Kaat Chukatay Hain
Thakan Ki Kirchiyaan Chuntay Wafa Ki Angrakhay Pahnay
Samay Ki Rahguzar Ki Aakhri Sarhad Pay Ruktay Hain
To Koi Dubti Saanson Ki Dori Thaam Kar
Dheere Se Kahta Hay
Kay Ye Sach Hay Na
Hamari Zindagi Ik Doosray Kay Naam Likhi Thi
Dhundhalkaa Sa Jo Aankhon Kay Qareeb-o-Dur Phaila Hay
Isi Ka Naam Chaahat Hay
Tumhen Mujh Say Mohabbat Thi
Tumhen Mujh Say Mohabbat Hay

Mohabbat Ki Tabiyat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hay
*------------*



Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: June 03, 2011, 04:54:47 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurati se bahut gehrai se madi hi mazedaar aur lachhedaar bhasha mein likhi hai vb ji .
bahut sunder
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:05:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.082 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer