My Most Fav Poetries...."khwaish"

by khwaish on May 23, 2011, 09:12:17 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 6756 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Iss Thread mein Main Apne sabse fav Poetries Sharne karna chaahta hoon,
 main Yahan jo bhi shayar ki Ghazals post kar raha hoon woh mere sabse pasandida shayar hai..
jinhe main huemsha padhta rehta hoon..

Har Ek chehre Ko zakhmo Kaa Aaena Naa Kaho
Yeh Zindagi To Hai rehamat Isse Saza Na Kaho

Naa Jaane kaunsi Majburiyon Ka Qaidi Ho,
Woh saath chhod Gaya Bewaffa Naa Kaho

Tamaam Shehar Ne Nezo Par kyon Uchaala Mujhe
Yeh Ittefaq Tha Tum Isse Haadsa Naa Kaho

Yeh Aur baat Ke Dushman Hua hai Aaj magar
Woh Mera Dost Tha Kal Tak,use Bura Naa Kaho

Humare Aib Humein Ungliyon Mein Ginvaao
Humari pith Ke piche Humein Bura Naa Kaho

Main Vaqiyaat Ki Zanjeer Ka Nahi qaayal
Mujhe bhi apne Gunaaho Ka Sisila Naa Kaho

Yeh shehar Woh hai jahan Rakhshas bhi Hai "Raahat"
har Ek tarashe Hue But Ko devtaa Naa Kaho

            ~~~~~Raahat Indori~~~~~ 
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: May 23, 2011, 09:34:55 AM »

BAHUT ACHI SHARING. ABB MUJHE PATA CHALA AAP KA BHI LIKHNE KA ANDAAZ DR. RAHAT INDORI SAHAB SE KUCH MILTA JULTA KYON HAI.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: May 23, 2011, 09:39:32 AM »
Reply with quote
BAHUT ACHI SHARING. ABB MUJHE PATA CHALA AAP KA BHI LIKHNE KA ANDAAZ DR. RAHAT INDORI SAHAB SE KUCH MILTA JULTA KYON HAI.

Sheba Ji..Sooooo Kind Of you ke Aapne yeh Baat Kahi..Raahat Saheb ka Main bahut Bada Fan Hoon..mujhe unka likha aur unka kalaam ko padhne ka tareeka bahut pasand hai..Agar Mere lekhni kein aapko unki jhalak Nazar aati hai to Mujeh Aur kya Chahiye...aapki yeh baat main humesha yaad rakhunga..

Aapka bahut bahut aur bahut shukriya.. icon_flower

Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: May 23, 2011, 09:43:16 AM »
Reply with quote
Sheba Ji..Sooooo Kind Of you ke Aapne yeh Baat Kahi..Raahat Saheb ka Main bahut Bada Fan Hoon..mujhe unka likha aur unka kalaam ko padhne ka tareeka bahut pasand hai..Agar Mere lekhni kein aapko unki jhalak Nazar aati hai to Mujeh Aur kya Chahiye...aapki yeh baat main humesha yaad rakhunga..

Aapka bahut bahut aur bahut shukriya.. icon_flower

MAINE BHI UNHEIN SUNA HAI KAI BAAR. ABB MAIN AAP KE HAR GHAZAL KO USI ANZAAD MEIN DEKOON GI.WAISE EK BAAT MAIN UNKE BAARE MEIN YEH KAHNA CHAHATI HOON KI WO APNE ASHAR PADHNE MEIN OVERACTING ZARA KARTE HAIN AAPKA KYA KHYAAL HAI. BQQAI TO KYA KAHNE
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: May 23, 2011, 09:59:06 AM »
Reply with quote
Lawajab sharing hai dost..
Bahaut bahaut sadgi se likhi gayi kalam ko daad dil se..
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #5 on: May 23, 2011, 10:02:30 AM »
Reply with quote
MAINE BHI UNHEIN SUNA HAI KAI BAAR. ABB MAIN AAP KE HAR GHAZAL KO USI ANZAAD MEIN DEKOON GI.WAISE EK BAAT MAIN UNKE BAARE MEIN YEH KAHNA CHAHATI HOON KI WO APNE ASHAR PADHNE MEIN OVERACTING ZARA KARTE HAIN AAPKA KYA KHYAAL HAI. BQQAI TO KYA KAHNE
Hahaha..Haanji Thoda Woh Overreact karte hai par Uski ek wajeh hai..unka Confidence Level bahut hight rehta hai..He Know's ke woh agar kisi mehfil mein aa gaye to log unhe suune ke liye Khaas taur Par Baithe Rehte Hai..Waise aapke fav shayar kaun Hai??

Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2011, 10:06:21 AM »
Reply with quote
wah wah bahut badiya shering hai... Dr. raahat indori sahab ko suna hai kai baar kamaal ke shayar hain wo.... aur shebaji ne jo kaha ekdam sahi hai.....
aap bhi kamaal ka likhte hain...
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: May 23, 2011, 10:08:09 AM »
Reply with quote
Hahaha..Haanji Thoda Woh Overreact karte hai par Uski ek wajeh hai..unka Confidence Level bahut hight rehta hai..He Know's ke woh agar kisi mehfil mein aa gaye to log unhe suune ke liye Khaas taur Par Baithe Rehte Hai..Waise aapke fav shayar kaun Hai??

ho sakta hai.

mere kai hain..... AHMED FERAAZ, MUNAWWER RANA, WASEEM BARELVI, MANZAR BHOPALI, PARWEEN SHAKIR, SHAGUFTA GHAZAL, MAHENDRA SINGH BEDI, KRISH BIHAARI NOOR ..........LAMBI FEHRIST HAI
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: May 23, 2011, 11:48:34 AM »
Reply with quote
Lawajab sharing hai dost..
Bahaut bahaut sadgi se likhi gayi kalam ko daad dil se..
Khush rahiye..!
bahut bahut shukriya Bhai Rahim..Bhai, aap bhi apne pasandida shayar ke kuch kalaam yahan zaroor Share kijiye.. icon_flower icon_flower

wah wah bahut badiya shering hai... Dr. raahat indori sahab ko suna hai kai baar kamaal ke shayar hain wo.... aur shebaji ne jo kaha ekdam sahi hai.....
aap bhi kamaal ka likhte hain...

Thankyou Sooooooooo Much Anju ji...Jo aapne yeh sharing pasand farmayi..aur thanks a million jo aapko mera likha pasand hai..thankyou icon_flower[/color][/b]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #9 on: May 24, 2011, 07:31:26 AM »
Reply with quote
Log Har Mod Pe Rukh Rukh Ke Sambhalte Kyon Hai
Itna Darte Hai To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hai

Main Naa Jugnuu Ho,Diya Hoon Naa Koi Taara Hoon
Raushni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hai

Neend Se Mera Ta'alluq Hi Nahi Barso Se
Khwaab Aa Aakar Mere Chat Pe Tahalte Kyon Hai

Mod Hota Hai jawaani Ka Sambhalne Ke Liye
Aur Sab Log Yehi Aakar Phislate Kyon Hai

         ~~~~~Raahat Indori~~~~~
Logged
manjum
Guest
«Reply #10 on: May 24, 2011, 08:56:06 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #11 on: May 25, 2011, 08:30:46 AM »
Reply with quote
Yeh Mere Aur Ek sabse Pasandida Shayar Nida Fazli ji..Inki yeh Ghazal Bahut Pasand Hai Mujhe..

safar Mein Dhoop To Hogi Jo Chal Sako To Chalo
Sabhi Hai Bheed mein Tum bhi Nikal Sako To Chalo

kisi Ke Vaaste Raahein Kaha Badalti Hai
Tum Apne Aap Ko Hi badal Sako To Chalo

Yahan Kisi Ko Koi Raasta Nahi Deta
Mujhe Giraake Agar Tum sambhal Sako To Chalo

Yehi Hai Zindagi, Kuch Khwaab Chand Umeedein
Inhi Khilone Se Tum Bhi Behal Sako To Chalo

Kahin naa Kahin Koi Suraj,Dhuan Dhaun Hai Fiza
Khud Apne Aap Se Bahaar Nikal Sako To Chalo..

Safar Main Dhoop To Hogi Jo Chal Sako To chalo....

            ~~~~~Nida Fazli~~~~~
Logged
manjum
Guest
«Reply #12 on: May 25, 2011, 08:38:02 AM »
Reply with quote
ek ghazal jo hame pasand hai.... ye ghazal Dr Shailesh Shevastava ki likhe hui hai... aur unka ghazal padne ka andaz bhi bahut hi badiya hai....

Gul pe pahra laga hai kharon ka.
kya bharosa yahan baharon ka.

chand jab badalon ke ghere main,
kon charcha kare sitaron ka.

kashti tufan ke hawale kar di,
kon ehsan le kinaron ka.

desh ki palki kya hoga,
aacharan hai galat kaharon ka.

dard-e-dil apna sunaen kisko,
koi hamdam na gham ke maron ka.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2011, 08:40:20 AM »
Reply with quote
Log Har Mod Pe Rukh Rukh Ke Sambhalte Kyon Hai
Itna Darte Hai To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hai

Main Naa Jugnuu Ho,Diya Hoon Naa Koi Taara Hoon
Raushni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hai

Neend Se Mera Ta'alluq Hi Nahi Barso Se
Khwaab Aa Aakar Mere Chat Pe Tahalte Kyon Hai

Mod Hota Hai jawaani Ka Sambhalne Ke Liye
Aur Sab Log Yehi Aakar Phislate Kyon Hai

         ~~~~~Raahat Indori~~~~~

haal hi mein sunaa hai
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: May 25, 2011, 08:41:45 AM »
Reply with quote
ek ghazal jo hame pasand hai.... ye ghazal Dr Shailesh Shevastava ki likhe hui hai... aur unka ghazal padne ka andaz bhi bahut hi badiya hai....

Gul pe pahra laga hai kharon ka.
kya bharosa yahan baharon ka.

chand jab badalon ke ghere main,
kon charcha kare sitaron ka.

kashti tufan ke hawale kar di,
kon ehsan le kinaron ka.

desh ki palki kya hoga,
aacharan hai galat kaharon ka.

dard-e-dil apna sunaen kisko,
koi hamdam na gham ke maron ka.

very nice
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:35:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer